Header Ads

Kya Sugar free drink health ke liye acche hote hain ?

Sugar Free Cold DrinkAajkal market mein diabetes ke mareezo ko dhyaan mein rakhte huye khane-peene ke kai sugar free product aate hain jinme sugar free soft drink bhi kafi popular hain, Lekin inme calorie ki matra jyada hoti
hain. Bazaar mein inki demand lagatar badhti chali ja rahi hain kyonki inhe sadharan (ordinary) drink se better mana jata hain. Lekin kya sugar free drinks health ke liye faydemand hoti hain ? Kya inhe peene se body ko poshak tatv milte hain ? Is mamle mein kai baar vichar kiya ja chuka hain. Kuch logo ka manana hain ki Sugar free drink Regular drink ki tulna mein jyada acche hote hain kyonki inme calorie aur fat na ke barabar hota hain. Lekin hakikat mein inhe health ke view se behtar nahi mana ja sakta hain. 

Agar aapko sugar free drink peene ki aadat hain to is aadat ko dheere-dheere kam karde ya phir ise band karde. Isse aapki body ko extra calorie nahi milegi aur fat bhi kam hoga. Is article mein kuch aise points bataye ja rahe hain, aakhir Sugar free drink healthy kyon nahi hain :- 

1) Gastric problem :- Sugar free drink mein carbon dioxide, Acid, Additives, Preservatives, Artificial sweetener aadi hota hain. Iske sewan se health par negative asar padta hain. Kyonki in sabhi padartho se pet mein gas ki problem paida hoti hain. Kai baar iske chalte dehydration, sardi-jukaam aadi ki samsya ho jati hain aur kafi kamjori aati hain. Sugar free drink aam cold drinks se behtar to ho sakti hain, lekin healthy nahi ho sakti hain. 

2) Wajan ghatna :- Kam calorie wali drink ko peene se wajan kafi kam hota hain. Agar aap duble-patle aur kamjor hain to Sugar free drink ke sewan karne se bache warna aapka wajan badhne ki bajaye ghatne lagega. Kai log sochte hain ki sugar free drink unke sehat ke liye acchi hogi lekin iska ulta ho jata hain.

3) Daanto ko kharab kar sakti hain :- Sugar free drink peene se daant kharab ho sakte hain. Kyonki isme acid ki thodi si matra mili hoti hain aur kafi preservative bhi mile hote hain jo daanto ko kharab kar dete hain. Sugar Free drink mein Acid ko flavor ke liye dala jata hain, Jo daanto mein bacteria ko panpane deta hain, Jisse daanto mein sadan hoti hain aur daant mein keede bhi lag jate hain ya daant gal jate hain. Ise peene se mooh mein banane wali lar mein bhi acid ki jyada matra banti hain. Isse sabit hota hain ki sugar free drink health ke liye hanikarak hote hain.

4) Haddi kamjor kare :- Sugar free drink mein Carbon Dioxide hoti hain, Jo calcium ko ghula kar peshab ke jariye sharir se bahar nikaal deti hain. Aapko pata hi hain ki hamari haddiya calcium ki bani huyi hain. Calcium ke ghulane ke karan isse haddiya kamjor ho jati hain. Jisse aapko Arthritis aur Thyroids jaisi bimariya jakad leti hain.