Header Ads

Job karte huye stress free life jeene ka tarika

Office Stress ko door karne ke tarikeBewaqt ki bechaini, gussa, udasi, chidchidahat mahsoos ho, kaam sahi tarike se karne mein preshani ho rahi ho, neend aur thakaan ki wajah se kisi bhi kaam ko karne mein mann nahi lag raha ho, toh yeh kisi bimari ke alawa yeh job ya kaam (workload) ka stress ho sakta hain. Stress physically aur mentally hamari life par asar dalte hain. Agar aapke saath bhi kuch aisa hi hua hain to Doctor se contact kare aur is sambandh mein advise le. Iske alawa kuch khas tips apnakar stress ko door kiya ja sakta hain.

Stress ko door karne ke tips :-

Kaam ko taale nahi :- Kisi bhi kaam ko agle din ke liye na taale. Aaj ka kaam aaj hi kare, varna work-load badhta chala jata hain aur kai jaroori kaam nahi ho pate hain.

Emotional Intelligence :- Office ke mamle aur ghar ke mamle ko ek dusre se alag rakhe, Tabhi kisi kaam smartly kiya ja sakta hain. Office mein agar aap kisi aisi position mein hain, jaha decision aapko khud lena hota hain, tab aap apne dimaag ko stress free rakhe. Decision lene se pahle uske acche bure ke baare mein soch le, taki koi galti hone ki sambhavna na rahe. Team work karna seekhe. Isme kaam jaldi bhi hota hain aur saath hi stress bhi kam hota hain.

Break lete rahe :- Lagatar seat par baithe rahne se aankho, Pet aur peeth se judi kai tarah ki problems shuru ho jati hain. Isse motapa badhne ke saath hi back pain bhi ho jata hain. Aankho ki visibility kam hone lagti hain. Isliye beech-beech mein seat se uthate rahe aur lunch ke baad jaroor tahle.  

Jaldi uthane ki aadat daale :- Subah jaldi uthane se office jane ke liye hone wali bhaag-daur se bacha ja sakta hain. Saath hi time par bhi pahuchenge. Din ki shuruvat bhi acchi hogi toh pura din fresh rahta hain. Jaldi uthkar meditation ke saath exercise karna health ke liye accha rahega.

Puri neend le ;- Stress sabse pahle neend chura leta hain. Iska health par bahut hi kharab asar padta hain. Isliye professional aur personal life mein balance bana kar rakhne ke liye puri neend lena bahut hi jaroori hain. Time ko is tarah se manage kare ki 7-8 hours ki neend le sake. Isse dimaag shant rahega aur naye aur creative ideas aa sakenge.

Quantity se jyada quality par dhyaan de :- Aap kitna kaam kar rahe hain, usse koi fark nahi padta. Fark padta hain toh is baat se aap oos kaam ko kitne acche tarike se kar paa rahe hain. Isliye jyada kaam karne ki bajaye jitna bhi kaam kare, Usme hi apna best dene ki koshish kare.

Note banaye :- Kaam ko organize tarike se karne se hi stress ko door kiya ja sakta hain. Agle din karne wale sabhi kaamo ki list bana le. Jaroori kaamo ko pahle niptaane ki koshish kare. Isse kaam bina kisi galti ke asaani se aur jaldi kiya ja sakta hain.