Header Ads

Wajan kam karne ke liye Amla ka istemal.

Weight kam karne ke liye AmlaAmla (Awla) sehat ke liye bahut hi faydemand hota hain. Roz Amla khane se ya Amla Juice peene se skin ko young aur healthy rakha ja sakta hain, Kyonki Amla Vitamin C se bharpoor hota hain. Saath hi isme
Anti-Oxidants aur Anti-Aging tatv hote hain.

Amla body ko healthy aur tavcha ko young rakhne ke saath Wajan ghatane mein bhi kaam aata hain. Agar sahi tarike se Amla ka istemal kiya jaye toh yeh unchahi Fat ko burn karke aapko slim bana sakta hain.

Aaiye jante hain Wajan kam karne (Weight kam/ghatane) ke liye Amla (Amle, Awla) ka sahi istemal :-

Sookha Amla :- Chunki Amla saal ke 12 mahino nahi milta, isliye ise mausam ke dauran sookha kar rakh liya jata hain. Agar aap meethe ke saukeen hain toh sookhe Amle ko shakkar mein paka kar aur agar aap namkeen khana pasand karte hain to namak-zeere ke saath Amle ki goliya bana kar roj khaye. Aisa karne se weight kam hota hain. Daily Subah-subah Amle ka murabba khane se sharir ko energy aur takat milti hain. Saath hi extra fat bhi kam hone lagti hain.

Amle ka Juice :- Agar aapko Amla ka swaad pasand nahi hain toh aap Amla ka Juice nikal kar usko pee sakte hain. Amla Juice jaldi kharab nahi hota, Isliye aap ek baar Amla Juice nikaal kar fridge mein rakh kar 4 din tak iska use kar sakte hain. Lekin ise paani mein mila kar pina chahiye. Ek hissa Amla juice aur 3 hissa paani mila kar Amla juice ka sewan har din karne se wajan kam hone lagta hain aur kamjori bhi nahi aati hain.