Chini (Sugar) khane ke fayde.
Chini (Shakkar/Sugar) khane ke fayde bhi hote hain, Yakin nahi aata na. Health se judi koi baat ho toh Chini (Sugar, Shakkar) ko hamesha villain ki tarah treat kiya jata hain. Halaki ki yeh kai mamlo mein faydemand bhi hoti hain. Chini khane se wajan badhta hain, Lekin healthy rahne ke liye Chini (Sugar) bhi jaroori hain. Sugar (Chini, Shakkar) ke apne hi fayde hain, Jinko nazar-andaaz nahi kiya ja sakta hain.
Chini ya shakkar ke bina shayad hi hum jee sake. Jis tarah khane mein namak ka mahatv hota hain, usi tarah meethai, kheer aur candy aadi mein sugar ki importance hoti hain. Ganne ke ras se taiyaar ki jane wali Shakkar mein mainly :- Sucrose, Lactose aur Fructose mauzood hota hain. Yeh fruits, shahad aur dusre sources mein bhi paya jata hain.
Aksar log Chini khane se darte hain, Kyonki yeh motapa, Daanto ki sadan aur Diabetes jaisi bimari paida karti hain. Lekin agar sugar ko simit matra mein khaya jaye toh yeh hamare swasth ke liye bahut hi faydemand hoti hain. Aaiye jante hain Sugar (Chini ya Shakkar) khane ke fayde :-
1. Dimaag ke liye :- Hamara dimaag bina sugar ke kaam nahi kar sakta hain. Jab dimaag ko sugar supply band ho jati hain toh Black out ki situation paida ho jati hain. Aise mein yeh baat kahna galat nahi hoga ki dimaag ko active rakhne ke liye chini bahut jaroori hain.
2. Wajan badhaye :- Jin logo ko wajan bahut kam hain, Unke liye shakkar khana bahut hi faydemand hota hain. Isme bahut saari calorie hoti hain, Jo wajan ko badhati hain. Lekin jo log pahle se hi motape ke shikaar hain , Unhe chini kam khani chahiye.
3. Turant takat ke liye :- Agar aapko turant energy ki jaroorat ho to chini se behtar aur kuch nahi. Khoon mein pahuch kar Chini Glucose mein badal jati hain, Jo chini ka saraltam roop hota hain. Iske baad koshikayein chini ko absorb kar leti hain aur oorja ka sanchaar karti hain. Aapko jaankar hairaani hogi ki kai players turant thakaan mitane ke liye apne saath sugar cubes rakhte hain.
4. Bhookh mitaye ;- Chini mein bahut saari calorie hoti hain, Isliye isse bhookh mitati hain. Agar aapke paas khane ke liye kuch nahi hain aur zordar bhookh lagi hain toh simit matra mein chini ka sewan kare.
5. Depression door karne ke liye ;- Depression ko door karne mein bhi sugar bahut madadgar hain. Aapne suna hoga ki depression se joojh rahe logo ko apne paas chocolate rakhni chahiye. Isse mood accha hota hain, Isme mauzood meethas turant udasi door karti hain.
6. Low Blood pressure walo ke liye :- Jin logo ko low blood pressure ki shikayat hoti hain, Unhe apne saath Sugar cubes rakhne ki salah di jati hain. Ise khane se blood pressure badhta hain. Agar aapko black outs (Chalte-chalte aankho ke aage andhera chhaane) ki samsya hain toh isme chini madadgar hoti hain.
7. Sugar therapy : -Shayad aapko pata na ho lekin choti-moti chot par chini lagaana faydemand hota hain. Iske alawa sugar skin ke liye ek accha scrub bhi hain. Yeh skin se dead cells ko hatakar chamak deta hain.
8. Dehydration :- Agar garmi ke dino mein aapko dehydration ki samsya aa jaye aur aap chakkar kha kar gir jaye toh turant paani mein chini aur nimbu nichod kar pee lijiye. Isse sharir mein paani aur minerals ki kami puri ho jayegi.
To aapne dekha Shakkar (Chini, Sugar) hamare liye kitne hi jaroori hain, Inhe khane se aapko kaun kaun se benefits milte hain.

Post a Comment