Header Ads

Kele ke patte ke fayde (Benefits of Banana Leaf)

Kele ke patte ke fayde. Kele ka ped bahut lamba aur bada hota hain, Iske ped ko dharmik kaamo ke liye bahut hi pavitra ped mana jata hain. Iske alawa hamare desh ke south parts mein log kele ke patte par khana bhi khate hain. Yeh ekaisa ped hain jo shaadi-vivah, Mandir aur dusre utsavo par bhi istemal kiya jata hain. Kele ke ped ko ghar ke saamne aur bageecho mein ugana shubh mana jata hain.

Kele ke patte sahi roop mein kitchen mein istemal ke liye hain. Aap kele ke patte ko neeche rakh kar isme plate ki tarah khana paros sakte hain aur baad mein ise container mein daalne ke liye fold bhi kar sakte hain. Yeh non sticky liner streamer tray ke roop mein bhi kaam kar sakta hain aur bio-degradable bhi hain.

Kele ka ped ka har hissa kisi na kisi roop mein faydemand hain. Iske ugate huye tane ke beech ka hissa khane layak hota hain. Iske phool ki sabzi bhi banayi ja sakti hain. Bharat mein kuch jagaho par kele ki pattiyo aur tane ko jaanwaro ke chaare ke roop mein bhi istemal kiya jata hain. Isse milne wale fiber ka istemal chataai, dariaan, Mote paper aur paper pulp banane ke kaam mein aata hain.

Aaiye jante hain Kele ke patte ka istemal aur iske fayde :-

► Skin ke liye faydemand ;- Kele ke patto mein kafi matra mein Epigallocatechin gallate aur EGCG jaise Polyphenols paye jate hain jo ki green tea mein bhi paye jate hain. Polyphenols ek acche Anti-Oxidants hote hain jo pattedar bhojan mein paye jate hain, Isliye yeh skin ke liye bhi faydemand hote hain. 

Kele ke patte par khana khane se fayda :- Kele ke patte par khana khana swasthyavardhak mana jata hain. Kele ke patte par garam khana parosne se yeh patte mein mauzood poshak tatv bhi khane mein mil jate hain, Jo ki health ke liye acche hote hain. 

Sabzi ke roop mein :- Kacche kele ki sabzi bhi banti hain. Kele ke sewan se khoon saaf hota hain aur ratondhi jaisi bimariyo se chutkara milta hain. 

Bhojan ko kharab hone se roke :- Agar aap bhojan ko kele ke patte mein lapete toh yeh kharab nahi hota hain. 

Fode, Funsi aur Jalne mein istemal :- Skin par fode-funsi, nishaan aur jalne par kele ke patte par nariyal ka tel daal kar lapetne se skin se related problems se jald nijat milti hain. 

Sharir ke jal jane par ;- Sharir mein kanhi bhi jal jane par kele ke patte par Adrak ka tel chhidak kar upar se neeche tak lapetane se garmi aur iski jalan se chutkara milta hain. 

Baal banaye kaale :- Rojana kele ke patto par khana khane se baal jaldi hi kaale aur chamakdaar ban jate hain. 

Shishu ke liye faydemand ;- Kele ke patte par Adrak ka tel chhidak kar upar se neeche tak navjaat bachhe ko isme lapet kar khule mein suraj ki roshini ke saamne rakhna bacche ki skin ke liye accha hota hain aur isse bharpoor matra mein Vitamin D milta hain.