Shahad ke gharelu nuskhe.
Shahad ko Ayurveda mein kai saari bimariyo mein Ramban mana gya hain. Yeh Fructose, Glucose, Sucrose, Maltose aadi sugars ka mixture hain. Isme 75% Sugar hoti hain. Iske alawa isme Protein, Albumin, Fat,Enzyme Amino Acid, Carbohydrates, Iodine, Iron, Magnesium, Potassium, Sodium, Phosphorus, Calcium, Chlorine jaise health ke liye jaroori minerals paye jate hain.
Saath hi Vitamin -Riboflavin, Vitamin A, B1, B2, B3, B5, B6, B12 aur Vitamin C, Vitamin H (Biotin) bhi mauzood hote hain. Vaise toh aapne Shahad ke baare mein kafi kuch suna hoga, Lekin aaj hum aapko batane ja rahe hain Shahad ke kuch aise uses jo aapke liye kafi upyogi saabit hongi.
Shahad ke gharelu nuskhe aur unke fayde (Home remedies of Honey and its benefits) :-
Saath hi Vitamin -Riboflavin, Vitamin A, B1, B2, B3, B5, B6, B12 aur Vitamin C, Vitamin H (Biotin) bhi mauzood hote hain. Vaise toh aapne Shahad ke baare mein kafi kuch suna hoga, Lekin aaj hum aapko batane ja rahe hain Shahad ke kuch aise uses jo aapke liye kafi upyogi saabit hongi.
Shahad ke gharelu nuskhe aur unke fayde (Home remedies of Honey and its benefits) :-
- Ek chammach Shahad mein ek-chauthaai chammach paani mila kar iss mishran ko acche se mix kare. Shampoo karne se pahle baalo mein lagaye. Kuch der rakhne ke baad baalo ko dho le. Baal bahut hi silky aur shiny ho jayenge.
- 2 Boond Shahad hatheli par lekar usme utna hi gunguna paani milaye. Ise dono hatho se acchi tarah milaye aur chehre par clockwise massage kare. Kuch der laga rahne de, phir saaf paani se chehra dho le. Chehra chamakne lagega.
- Neend na aane ki problem ho toh ek chammach Shahad mein thoda sa namak mila kar sewan kare. Gahri neend aa jayegi.
- Kisi jagah cut ya ghaav ho jane par Antibiotic cream ki tarah honey ka upyog kiya ja sakta hain, Kyonki Shahad ek natural Antibiotic hain. Rojana ghaav par ise lagane se ghaav jaldi bhar jata hain.
- Agar aapko cough ki problem ho toh ek chammach Shahad mein Nimbu ka ras ya thoda sa nariyal tel mila kar lene se bahut labh milta hain.
- Teen chammach Shahad aur 2 chammach Olive oil nahane ke paani mein milaye. Yeh aapki skin ko naturally moisturize kar dega aur aapki skin smooth lagne lagegi.
- Jab kabhi kamjori mahsoos ho toh ek chammach Shahad kha le. Kuch hi der mein energy se bharpoor mahsoos karenge.
- Shahad, Vinegar aur Paani, Teeno ko barabar matra mein mila kar paudho par istemal kare. Yeh ek natural keetnashak ke roop mein kaam karta hain.
- Agar koi jal jaye toh jale huye part par Shahad lagaye. Jale huye ka nishaan nahi rahega.
- Jab tension mahsoos ho toh Chai mein ek boond shahad daal kar piye, relax feel karenge.
- Wajan kam karne ke liye bhi shahad ek achook nuskha hain. Jaha bhi aap sugar use karte hain, vaha par aap shahad ka istemal kare. Badhta wajan jaldi se control mein aa jayega.
- Agar kisi party mein jana ho aur pimple nikal aaye toh thoda sa shahad lekar pimple par lagaye. Aadhe ghante ke liye laga rahne de, phir chhod de. Pimple baith jayega.
- Badam ka tel, Base Wax aur Honey teeno ko mila kar aap ghar par hi lip bam taiyaar kar sakte hain.
- Hangover ho jaye toh Breakfast mein Shahad lage toast le. Isse sharir ka metabolism tez ho jata hain, Jiski wajah se alcohol ka asar khatm ho jata hain.
Post a Comment