Header Ads

Hamesha jawan dikhna chahte hain toh jaroor khaye yeh cheeze.

young skin food list.
Agar aap umar bhar jawan bane rahna chahte hain toh apne khan-pan par dhyaan de. Kuch aisi cheeze hain jinhe apni diet ka hissa banane se aap badhti umar ke asar ko rok sakte hain. In khane wali cheezo mein Anti-Oxidants aur Phytochemical ki bharmaar hoti hain, jo badhti umar ke asar ko kam karne mein madad karte hain. Chaliye jante hain kuch aisi hi aam cheezo ke bare mein jinhe khane se tavcha hamesha jawan bani rahti hain.

• Macchli :- Fish mein Omega-3 Fatty Acid paya jata hain. Iske sewan se skin hamesha young bani rahti hain. Yeh gathiya, ulcerative Colitis aadi bimariya bhi door hoti hain.

• Hari sabziya :- Pattedaar Saag, Palak, Methi, Salad patta, Ajwain aadi mein Beta-Carotene bharpoor matra mein paya jata hain. Iske alawa isme Calcium, Iron, Folic Acid, Vitamin C aur bhi kai nutrients paye jate hain. Hari sabziyo ka niyamit sewan karne se skin hamesha young bani rahti hain.

• Peele rang ke phal :- Papita, Gajar, Orange aur sabziya jaise Kaddu, Aam, Khubani, Shakarkand, Beta-Carotene aur Vitamin C se bharpoor hote hain. Isliye in cheezo ko apne khane mein zaroor shamil karna chahiye. Tavcha jawan bani rahegi.

• Jayi (Oats) :- Roj aadha cup sukhi jayi ka choker ya ek cup sukha jayi ka daliya cholesterol ko control karta hain. Oats (Jaii) ke sewan se blood circulation sahi rahta hain. Saath hi skin bhi young bani rahti hain.

• Soya :- Soya products, Soyabean, Soya ka aata, Soya milk aur tofu kam fat aur calcium se bharpoor hote hain. Soya products mein genistein ki bharmaar rahti hain. Iske sewan se cancer door rahta hain aur skin young bani rahti hain.

• Olive Oil
:- Jaitun ya sarso ka tel khane aur chehre par lagane se chehre mein jhurriya nahi padti hain.

• Khatte Phal :- Khatte phalo mein Santra, Mosambi, Angoor, Nimbu aadi mein Vitamin C, Bioflavonoids aur Limonin acchi quantity mein paye jate hain. In phalo mein kafi acchi matra mein Antioxidants hote hain, jo ki tavcha ko lambe waqt tak jawan banaye rakhte hain.

• Gobhi :- Gobhi, Patta Gobhi, Broccoli, Brussels sprout aur gobhi family ki sabhi sabziya bimariyo se hame bachane mein madad karti hain. In sabziyo mein paye jane wale Beta-Carotene, indole glucosinolates aur Isothiocyanates (Jo khas karke broccoli mein paye jate hain) skin ko young banaye rakhte hain.

• Dahi
:- Dahi mein lactose bacteria hote hain jo pachan mein madad karte hain. Calcium ka yeh bahut accha source hain. Yeh tavcha ke liye bhi faydemand hota hain.

• Lahsun
:- Lahsun mein Allicin naam ka tatv paya jata hain. Yeh blood se bad cholesterol aur triglyceride ko kam karta hain. Yeh body ki immunity ko badhata hain. Saath hi isme Anti-Oxidants bhi bharpoor matra mein paye jate hain. Isliye lahsun ka niyamit roop se sewan karne se, skin lambi umar tak jawan bani rahti hain. Saath hi yeh dil se judi bimariyo ko bhi door karta hain.

• Tamatar :- Tamatar mein Lycopene paya jata hain, Yeh ek tarah ka Caretonoid hain. Saath hi Anti-Oxidants bhi mauzood hote hain, Jo skin ko young banaye rakhte hain.

• Apple aur Strawberry
:- Seb aur Strawberry mein ghulansheel fiber blood sugar level ko kam karta hain. Saath hi in phalo mein Bharpoor matra mein Anti-Oxidants paye jate hain. Isliye inke niyamit sewan se skin hamesha jawan dikhayi deti hain. Yeh Cancer se bhi ladne mein help karte hain, yeh cancer cells ko khatm karne ka kaam karte hain.

• Green Tea :- Green tea mein Polyphenols paye jate hain. Saath hi isme sahi matra mein Anti-Oxidants bhi mauzood hote hain. Isliye regularly grean tea peete rahne se tavcha hamesha jawan bani rahti hain. Saath hi pet se judi problems bhi door hoti hain.