Header Ads

Janiye @ "At the rate of" ke baare mein interesting facts.

@
Internet, E-mail aur Social network ke is yug mein hum @ symbol ka khoob istemal karte hain. Lekin kya aapne socha hain ki iss @ Yani ki "At the rate of " sign ka istemal pahli baar  kab hua? English mein yeh symbol word kaha se aaya? Agar aap English nahi bolte hain toh iske baare mein aapko jankar  bahut hi dilchasp lagega. 

Toh chaliye jante hain @ "at the rate of " se jude interesting  facts  ke baare mein :- 

Duniya bhar ke alag-alag  zubaane bolne wale is "At the rate  of " ko alag-alag naamo se bulate hain. Maslan, Armenian language mein ise "dubka hua kutte ka baccha" kahte  hain. Vahi China mein ise "Ghumaavdaar A" kahte hain. Taiwan mein bole jane wali Chinese language mein ise chota chooha kahte hain. Vahi Danish zubaan mein ise Haathi ki soondh kaha jata  hain. 

Europe ke ek aur country mein @ ko keeda kahte hain. Vahi Middle East Asian County Kazakhstan mein Chaand ka kaan, Germany mein Spider Monkey yani ki makdi ki tarah chipakne wala bandar. Yunani @ ko battakh ke naam se bulaate hain. 

Aisa nahi hain ki har desh mein @ yani ki At the Rate of Symbol ko jaanwaro  wala naam hi diya gya ho. Bosnia mein ise jhakki A kahte hain. Vahi Slovakia mein Achaari Fish roll, Toh Turkey mein Khubsoorat wala A kahkar bulaate hain. 

Symbols ke Morse Code  mein first world war ke baad koi naya symbol juda hain toh veh  @ hi hain. 

Iss "At the  Rate  of " yani ki @ ke istemal ki shuruvat ki kahani aur iska itihaas (History) bhi kafi interesting hain. 

Keith Houston ke famous blog "Shady Characters" mein iske baare mein dilchasp kahani likhi gyi hain. E-Mail address ke liye sabse pahle @ symbol ka istemal 1971 mein hua. 29 saal ke Computer Engineer Ray Tomlinson  ne sabse pahle E-mail Address ke liye iss symbol ka istemal kiya. Ray ne ise apne naye email system mein use karne ke choose kiya. Aaj yeh symbol whole  world mein Email ke address ke  taur  par istemal ho raha hain. 

Oos waqt Email ka bahut zyada istemal nahi hota tha, Kyonki oos waqt Internet hi nahi tha. Ray Tomlinson ne is symbol ko chahe jo bhi sochkar  choona ho, magar yeh  khoob steek baithta hain ki aap fala E-mail ya domain ko mail send kar rahe hain. 

E-mail ka pata batane ke liye istemal hone se pahle bhi @ symbol ka English mein istemal ho raha tha. Lekin yeh zyadatar  price batane ke liye hi use hota tha, jaise 10 cent per roti ke bhaav se  20 rotiyo ko bhaav  batana. Yani ki 20 rotiya @ 10 cent. 

Vaise @ "At the rate  of  " symbol ka sabse pahle istemal ka zikr saal 1536 mein milta hain. Jab  Italy ke Florence City ke ek businessman ne, apni chitthi mein Wine ka rate batane ke liye @ symbol ka istemal kiya. 

English ke  is symbol word ka mool Spanish aur Portuguese language mein hain. Dono hi zubaano mein wajan tolne ke liye is @ symbol ka istemal hota hain. Jis dabbe ya bartano ko wajan kiya jata hain, Vo bhi iske istemal se hi juda hain. Aise dibbo mein aksar Wine ka karobaar  hota tha. Greece aur Roman samrajya, dono jagah purane  zamane mein aise hi dibbe  chalan mein thay. Inhi se yeh  symbol @, Angrejo ke desh pahucha. 

Ab pyaare kutte se lekar choti  battakh aur  achaari  fish roll se lekar ghonghe  tak, puri duniya email ka pata batane wale @ ko alag-alag naam se janti-maanti hain. 

Aaj aap bade aaram se ek button dabaate hain, Iss @ symbol ka mail ke address mein istemal karte hain. Phir aapka email sahi aadmi tak  pahuch jata hain. Sochiye zara Mediterranean Sea mein wine ke boxes se hota hua yeh 'At the  Rate of ' yani ki @ puri duniya par hukumat kar raha hain.