Header Ads

Kishmish khane ke fayde. (Benefits of Raisins in Hindi.)

Kishmish ke fayde (Benefits of Raisin in Hindi).
Dry Fruits sehat ke nazriye se bahut hi faydemand mane jate rahe hain. Unhi dry fruits mein se Kishmish bhi ek khas dry fruit hain. Kishmish jise English mein Raisin kahte hain, Kishmish khane ke bahut hi fayde hote hain. Angoor ko sookha kar Kishmish banaya jata hain, Yeh soft  aur meetha hota hain, Kai baar khatta-meetha bhi hota hain. Yeh kai tarah ke pakwaano aur meethaiyo ko banane mein upyog kiya jata hain. 

Iska taste badhiya hota hi hain, saath hi yeh aapke health ke liye bhi bahut accha hota hain. Agar aap Kishmish ke guno ke baare  mein nahi jante hain toh yeh post jaroor padhe. 

Aaiye jante  hain Kishmish khane se  kya kya fayde hote hain. (Benefits  of  Raisin in Hindi/Urdu.) :- 

• Kishmish mein natural sugar  kafi  acchi matra mein hoti hain, jo body mein energy ko badhati hain. Agar aap duble  patle  aur kamjor  hain toh aapko kishmish jaroor khana chahiye, Kyonki yeh wajan badhane mein bahut hi faydemand hain. 

• Baccho ko kishmish jaroor khilana chahiye, Kyonki yeh unke dimaag ko tez banata hain. Isme  bahut hi jyada Boron paya jata hain jo dimaag ke liye bahut hi labhdayak hota  hain. 

• Isme Flavonoids aur Anti-Oxidants kafi acchi quantity  mein paye jate hain, Jo skin par hone  wali jhurriyo ko khatm karne  mein madad  karte  hain. Yeh Anti-aging ka bhi kaam karta hain aur aap apni badhti  umar  se jyada jawan dikhaayi dete  hain. 

• Kishmish ka sewan karke  aap cancer jaisi janlewa  bimari se bach sakte hain. Yeh aapko free  radicals se bachata hain aur cancer cells  ki growth  ko bhi rokta hain. Isme Anti-Oxidants bharpoor  matra mein paye jate hain. 

• Kishmish ka paani rojana peene  se aap apne liver ko healthy rakh sakte hain. Isse aapka liver sahi dhang se kaam karta hain. Saath hi yeh aapke metabolism ke level  ko control karne mein help karta hain. 

• Kishmish mein Fiber bahut hi acchi matra mein hota hain, Jo pachan ko durust karne mein madad karta hain. Agar aapko kabz rahti hain toh kishmish ka istemal kare, aapko fayda hoga. Agar aap rojana Kishmish ka paani kuch dino tak subah ke samay peete hain toh aapko kabz, acidity aur  thakaan se nijaat mil jayegi. Ji haan yeh  bahut  hi kargar nuskha hain. 

• Agar aapko bhookh nahi lagti ho toh aapko Munnakka khana chahiye, Kishmish ka ek roop munnakka bhi hain. Bhookh na lagne ki problem ko door karne ke liye munnake ko bhoon kar usme Kali mirch aur sendha namak mila kar khaye. Aisa karne se aapki bhookh badh jayegi. 

• Kishmish ka sewan aankho ki problems ko door karta hain. Kishmish mein Vitamin A, Beta-Carotene, Carotonoid aur Anti-Oxidants mauzood  hote hain jo aankho ki muscles ko kamjor hone se bachate hain, Saath hi aankho ki sabhi problems se chhutkara dilate hain. 

• Jin logo ka cholesterol level jyada rahta hain, unhe kishmish ka paani rojana peena chahiye. Yeh aapki body se Triglyceride level ko kam karne mein madad karta hain. 

• Kishmish ka sewan body mein khoon badhaata hain. Isme Iron bahut hi acchi matra mein paya jata hain. Kishmish iron ka bahut hi accha source hain, Isliye agar  aapme iron ki kami ho toh aap kishmish khayiye. 

Kishmish ka paani kaise bananye ? 

Kishmish ko paani mein 20 minutes tak daal kar ubaale aur raat bhar ise rakh de, Subah hote hi is paani ko piye. Isse sehat ko bahut hi jyada fayde hote hain.