Header Ads

Shatavari ke anmol fayde.

Shatavari ke fayde.
Shatavari ek aisa paudha hain jiska zikr Ayurveda mein kiya gya hain. Shatavari ka Scientific name Asparagus racemosus hain. Shatavari mein aise gun hain jo aapki bimariyo ko yunhi gayab kar sakte hain. 

Shatavari vaise toh mahila-purush dono ke liye upyogi hain, , lekin phir bhi yeh aurato ke liye vishesh roop se upyog hain. Aamtaur par Shatavari ko mahilaon ki jadi-booti mana gya hain, halaki yeh paudha purusho ke hormone level ko bhi badha kar unki kaamukta mein ijafa karta hain. Yeh paudha tamam tarah ke mahilon ke rogo mein jaise baanjhpan, Nayi naveli maa mein doodh ki kami ko pura karta hain. Aaiye jante hain Shatavari se hame aur kya-kya fayde hote hain. 


• Khansi mein Shatavari pak mahila aur purush dono ke liye labhdayak hota hain, Isliye iss paak ka istemal jaroorat  ke mutabik kare. 

• Ghee mein Shatavari ka churan mila kar subah shaam chaat kar Doodh peene se sharirik thakaan, kamjori, Peshab mein rukavat, Anindra, Dhaatoo ka khatm hona jaisi problems mein fayda milta hain. 

• Shatavari ko thandi taaseer wala mana gya hain, Isliye yeh bukhaar, Jalan aur pet ke ulcer ko door kar sakti hain. 

• Yeh Jadi-booti Haija, Typhoid bukhaar, Diarrhea jaise rogo mein faydemand mani gyi hain. 

• Agar aap nayi-nayi maa bani hain aur aapko doodh nahi ban pa raha hain ya kam doodh ban raha ho, toh Shatavari ke jado ka churan din mein kam se kam 4 baar jaroor khaye. Shatavari ka churan raat ko 5 se 10 gram phaank kar upar se doodh peena aur doodh daliya khana chahiye. Isse nayi bani maaon ka doodh badhta hain. 

• Agar aapko peshab mein khoon aa raha hain toh shatavari ka sewan niyamit roop se kare. 

• Yeh infertility (Baanjhpan)  ko door karta hain aur fertility yani ki prajnn dar ko badhata hain. 

• Agar Jaccha-Baccha  ko khansi ho toh Shatavari Churan, Adoosa ke patte aur Mishri ko barabar matra mein  mila kar koot le. 10 Gram churan ko ek glass paani mein ubaal kar kadha bana le. Ise din mein 3-4 baar 2-2 chammach maa ko pilaye aur 5-5 boond Shishu ko maan ke doodh mein mila kar pilaye. Isse sookhi khansi mein aaram milta hain.

• Aisa mana jata hain ki Shatavari ki jado ka churan bina chini milaye doodh ke saath niyamit roop se peene se Diabetes mein fayda milta hain.

• Shatavari mein Vitamin A paya jata hain, Jo sharir  ko beautiful banata hain. Yeh chehre se wrinkles ko mitata hain.

• Ladies mein periods  ke dauran extra paani ki wajah se jo wajan badhta hain, shatavari usay kam karti hain.

• Rojana subah-shaam shatavari churan (5-10 gram) ki matra mein thoda shuddh ghee mein mila kar chaatne se aur upar se gunguna garm meetha doodh peene se pradar rog (Leuccorrhoea) se jaldi chhutkara milta hain.

• Agar iske patto ke 2 chammach ras ko doodh mein mila kar din mein 2 baar piya jaye toh yeh shakti deti hain.

• Shatavri ki taazi jado ko mota mota koot le aur phir iska ras nikaal  le aur ise barabar matra mein til ka tel mila kar paka le. Is tel ko migraine  jaise seerdard  mein lagane se aapko gajab ka fayda  milta  hain.