Tarbooz ka juice aur Kali mirch powder ko ek saath mila kar piye aur mast jiye.
Lijiye garmiyo ka mausam aa gya hain. Is mausam mein body ko thandak pahuchane wale phalo mein Tarbooz bhi ek khas phal hain. Is mausam mein phalo ke alawa inke juice bhi garmi se hame rahat dilate hain. Garmi ke mausam mein Tarbooz ka juice hame active aur fit banaye rakhne mein help karta hain.
Ek research mein yeh bataya gya hain ki garmi ke dino mein rojana 2 glass tarbooz ka juice (Watermelon Juice) hame jaroor pina chahiye. Isse sharir ko thandak milti hain. Khali pet tarbooz ka juice peene se sharir se zehreele tatv bahar nikal jate hain. Agar aapko Kidney ki problems hain toh aapko Tarbooz ka juice jaroor hi peena chahiye.
Lekin kya aapko pata hain ki Tarbooz ke juice mein agar Kali Mirch powder aur namak mila kar piya jaye toh yeh tarbooz ka juice sharir ko dugna fayda pahuchaata hain.
Tarbooz ka juice aur Kali Mirch powder ko ek saath mila kar peene se sharir mein calcium, Magnesium, Potassium, Copper, Zinc aur Iron ki bahut acchi matra sharir ko prapt hoti hain. Saath hi isse Vitamin C, Vitamin B1, B2, B3, B5 aur B6 bhi prapt hote hain.
Aaj ki post mein hum janenge ki Tarbooz ka Juice + Kali Mirch Powder ko ek saath mila kar peene Ke (Se) body ko kya-kya fayde hote hain. (Benefits of Watermelon Juice & Black Pepper powder together in Hindi/Urdu.)
• Sharir ko dehydrate hone se bachaye :- Tarbooz ka juice peene se body ko hydrate rakhne mein madad milti hain. Isse sharir ko paani ki kami door hoti hain. Ladies ko khas karke periods ke time Tarbooj ka juice kali mirch ke saath mila kar jaroor peena chahiye.
• Cancer se bachaye :- Watermelon Juice aur Black pepper powder ko mila kar peene se cancer cells ko khatm karne mein madad milti hain. Kyonki Tamatar mein paya jane wala Lycopene Anti-oxidant Tarbooz mein bhi kafi acchi matra mein paya jata hain, Jo body ki immunity ko strong karne mein bahut hi labhdayak hain.
• Wajan kam karne mein sahayak :- Agar aap wajan kam karne ki soch rahe hain toh Tarbooz ka juice jaroor piye. Isse sharir ko bina kisi kamjori se aap apna extra weight kam kar sakte hain.
• Pet ki problems ko door kare :- Pet mein kabz, gas aadi ki problems hone par tarbooz ka juice fayda pahuchata hain.. Isse pet ko liquid milta hain aur body ko jaroori energy milti hain.
• Asthma mein faydemand :- Kai logo ka manna hain ki Tarbooz ka thanda juice asthma mein nuksaan pahucha sakta hain, Lekin aisa nahi hain. Balki tarbooz ka juice peene se aapko labh hi milta hain.
• Cholesterol ko control kare :- Watermelon juice peene se cholesterol control mein rahta hain aur isse HDL balance mein rahta hain. Saath hi yeh dil ki sehat ke liye bhi faydemand hain.
• Dil ka daura padne se roke :- Tarbooz mein high quantity mein folate hota hain jo body mein blood circulation ko sahi banaye rakhta hain, Jisse heart attack aane ki sambhavna kafi kam ho jati hain.
• Garmiyo mein hone wali bimariyo se bachaye :- Tarbooz ka juice peene se garmiyo mein hone wali bimariyo se aap bach sakte hain. Ise peene se aapko loo aadi bhi nahi lagti hain.
Toh dosto aapne dekha ki tarbooz ka juice hamare liye kaise faydemand hain, Aaiye jante hain ise kaise banaya jata hain.
Tarbooz ka juice ya sharbat aise banaye :-
Samagri (Ingredients) :- 2-3 Kilo taaza fresh kata hua tarbooz, 1 Nimbu, 1 cup Ice cube, swaadanusaar Chini, 1/4 chammach Kali mirch powder aur kuch pudine ki pattiya.
Tarbooz ka juice (sharbat) banane ki vidhi (Recipe) :-
Sabse pahle tarbooz ko dhokar, chhil kar uske chote-chote tukade kar lijiye. Ab Mixy mein pees lijiye. Jab tarbooz ka guda juice ready ho jaye, tab ise chhalni se chhan lijiye aur isme nimbu nichode aur acche se milaye.
Ab ise kaanch ke glass mein daal de. Upar se ice cube daale, Kali mirch chhidke aur Pudine ki 2-3 pattiyo ke saath sajaye. Lijiye pesh hain Tarbooz ka thanda-thanda Cool-cool Juice taiyaar hain. Ab khud bhi piye aur mehmaano ko bhi pilaye aur apni aur mehmano ki sehat ko badhaye.
Agar aapko Tarbooz ka juice ya sharbat kam meetha lag raha ho toh aap isme swaadanusaar Chini (Sugar) add kar sakte hain.
Post a Comment