Wajan ghatane ke liye khayiye yeh cheeze.
Agar aap bhi wajan ghatana ya kam karna chahte hain toh aapko hamesha yahi khyaal rahta hain ki wajan kam karne ke liye kaun sa food khaye. Weight loss karne ke liye kya khaye? Wajan ghatane ke liye kaun si cheezo ko khana chahiye ? to aaj ki post aapke liye hain, In cheezo ko apni diet mein istemal kare aur kuch hi hafte mein apna wajan kam kare.
Wajan ghatane (Kam karne) ke liye Food (Food for Slim/Weight loss in Hindi/Urdu.) :-
• Agar aap tea peena like karte hain to weight loss karne ke liye aap Saunf ki chaai pijiye. Khas karke tab jab aapne heavy food ya khana khaya ho. Khana khane ke 15 minutes baad Saunf wali chaay piye. Yeh garam bhojan ko jaldi hajm karne mein madad karti hain aur weight kam karne mein kargar saabit hoti hain.
• Karonda (Cranberries) ek tarah ka ber ke jaise dikhne wala khatta phal hota hain, jisse achaar aadi mein istemal kiya jata hain. Karonda bahut hi khatta hota hain, Khatta phal hone ki wajah se isme Vitamin C bharpoor matra mein paya jata hain. Wajan kam karna chahte hain toh karonde ka juice try kare. Sharir ka metabolism theek ho jata hain aur khana jaldi pachta hain.
• Kheera wajan kam karne ka sabse asardaar nuskha mana jata hain. Kheere mein 90% tak paani hota hain, Isliye khane se pahle Kheere ka salad khaye taki pet bhara-bhara mahsoos ho. Ise niyamit khane se hafte mein 2 Kg. weight loss kiya ja sakta hain.
• Agar aap Dieting kar rahe hain toh aap Aadoo har roja khaye, Kyonki yeh wajan kam karta hain. Ek Aadoo mein kewal 70 calorie hoti hain, Jo wajan ko badhne nahi deti hain. Wajan ghatana koi easy task nahi hain, Lekin ise easy banaya ja sakta hain. Aadoo wajan kam karne mein bahut hi faydemand phal hain.
• Lal mirch ka sewan jyada nahi karna chahiye, Lekin wajan ghatane ki baat ki jaye toh daily lal mirch ka sewan kijiye. Rojana Lal Mirch ko khane se body ka metabolism ki activity fast ho jati hain aur khana khane ke baad extra calorie burn ho jati hain.
• Dahi ke jariye bhi aap apna wajan kam kar sakte hain. Dophar ke khane mein regularly dahi ka sewan kare. Dahi wajan kam karne mein madad karta hain aur isme mauzood calcium aur protein, Fat ko kam karte hain.
• Raagi wajan kam karne mein behtarin kaam karta hain. Isme Calcium, Vitamin B1, B2, Phosphorus aur Iron sahi matra mein hote hain. Raagi bhookh ko control karta hain, agar bahut jyada bhookh lagti ho toh khane mein raagi mila kar khaye. Isse pet jaldi bhar jayega aur aap asaani se wajan ko kam kar sakte hain.
• Tamatar bhi weight loss karne mein help karta hain. Agar aap daily tamatar ko kacche salad ke roop mein khate hain toh aap asaani se weight loss kar sakenge. Tamatar mein Beta-Carotene aur Lycopene hota hain jo weight ko control karta hain. Tamatar mein Fiber jyada hota hain jo Metabolism ko tez karne mein kargar hain.
• Agar aap apne lagatar badh rahe wajan se preshan hain toh Ber ke patte aapki bahut acchi madad kar sakte hain. Ber ke patte wajan kam karne mein magic ki tarah kaam karte hain. Iske liye aap inhe raat ko bhigo de. Subah khali pet bhigoye huye ber ke patto ko chaankar kar iska paani pee le. Ek mahine tak aisa karne se aapka wajan tezi se kam hone lagega.
Post a Comment