Header Ads

Stretch marks door karne ke 10 asaan gharelu upay aur nuskhe.

How to remove Stretch Marks in Hindi/Urdu.
Stretch Marks ko kaise hataya jaye? Stretch Marks ko door karne ke liye gharelu nuskhe kya hain? What is the Home Remedies for remove stretch marks in Hindi/Urdu. Agar aap sabhi in swaalo se ka jawaab janna chahte hain toh yeh post jaroor padhe. 


Skin ki 3 main layers hoti hain Epidermis, dermis and hypodermis. Inme se skin ki jis parat mein lachak nahi hoti hain, Oos par stretch marks padte hain. Stretch marks khas taur par skin ki middle parat Dermis par hote hain. Yeh stretch marks young age aur pregnancy ke dauran hote hain. Inhe door karne ka sabse accha tarika natural nuskhe hain. Aaiye jante hain kuch aise hi gharelu nuskhe aur upay ke bare mein jinhe apna kar aap stretch marks se chhutkara pa sakte hain. (Home Remedies for Stretch Marks in Hindi/Urdu.) :-

1) Ande ka safed bhaag stretch marks par lagaye. Jab yeh sookh jaye toh ise ragadkar saaf kar le. Aisa 2 hafto tak lagatar kare.

2) Tattoo karwa kar bhi stretch marks se chhutkara paya ja sakta hain. Tavcha ki sahi dekh-bhaal aur paani peene se dheere-dheere sharir par pade stretch marks door ho jate hain. Isliye aapko din mein kam se kam 8 glass paani peena chahiye.

3) Badam tel mein mein 1 chammach Chini milaye. Phir usme kuch boonde Nimbu ke ras ki dale aur acche se mila le. Is mishran ko stretch marks wale hisso par acchi tarah se laga le. Nahane se 10 minutes pahle rojana ise lagaye aur halka sa ragde. Ek mahine lagatar iska istemal karne se stretch marks halke ho jate hain.

4) Tanning Lotion aur Tanning Spray bazaar mein asaani se mil jate hain. Iska istemal lagatar karne se sharir par pade nishaan dheere-dheere kam hone lagenge.

5) Jaitoon ke tel ko stretch marks par lagaye aur halki maalish kare. Tel ko aadha ghanta ya usse zyada der tak tavcha par laga rahne de. Isse blood circulation sahi hota hain aur stretch marks halke hote hain.

6) Aloe Vera ka juice stretch marks par lagaye. Kuch minutes baad gungune paani se dho le. 1 Cup Aloe Vera Jell, 1 Cup Jaitoon ka tel, 10 Vitamin E Capsules, 5 Vitamin A capsule le kar mix kare. Is mishran ko stretch marks par tab tak lagaye jab tak aapki tavcha usay sokh na le.

7) Stretch Marks se chhutkara pane ke liye Arandi ka tel bahut hi kargar mana jata hain. Iske liye prabhavit hisso par arandi ka tel lagaye, Phir oos hisso plastic bag se lapet de. Ab hot water bottle se kareeb aadhe ghante tak sekaai kare aur halka ragde. Dheere-dheere stretch marks door ho jayenge.

8) Cleanser se stretch marks ko chhupaya ja sakta hain. Skin tone se match karta hua cleanser khareediye. Usay Stretch marks par laga lijiye.

9) Medium size ke Aaloo ko thoda mota kaat le. Uske baad Aaloo ke tukde ko stretch marks par lagaye. Kuch minutes baad oos jagah ko gungune paani se dho le.

10) Taaze kate Nimbu ke ras ko stretch marks par lagayiye. Nimbu ke ras ko kam se kam 10 minutes tak laga rahne de, uske baad paani se dhoye. Iske alawa Kheere ka ras aur Nimbu k eras ki barabar matra ko le aur stretch marks par lagaye.