Pairo ki badboo door karne ke 5 behtarin gharelu upay aur nuskhe.
Body se agar paseene ki badboo aaye toh hum perfume ya deo laga kar ise kam ya door kar lete hain, Lekin pairo se aane wali badboo ko door karne ke koi kargar upay na karne ki wajah se hum logo ke saamne sharmindagi mahsoos karte hain. Pairo se aane wali badboo ko ke bromhidrosis naam se jana jata hain. Pairo ki badboo ko door karne ke gharelu nuskhe aur upay janiye is post mein.
Aamtaur par yeh problem oon logo ko hoti hain jinke pairo ka paseena sookh nahi pata hain. Hum sabhi ki skin par bacteria rahte hain jab yeh bacteria paseene ke contact mein aate hain toh isse pairo se badboo aane lagti hain.
Market mein pairo ki badboo door karne ke koi kargar upay nahi hain, lekin kuch aise khas gharelu nuskhe hain, Jinhe ajma kar aap pairo ki badboo se nijat pa sakte hain.
• Fitkari :- Phitkari kasaili hoti hain aur isme Anti-Septic gun paya jata hain. Yeh bacteria ke growth ko rokti hain. Ek mug paani mein ek chammach fitkari powder mila kar pair dhone se kuch dino mein pairo se aane wali badboo ko door kiya ja sakta hain.
• Sirka aur Adrak :- Aap chahe toh paani mein Sirka daal kar pair dho sakte hain ya Adrak ke ras ko pairo mein mal le aur uske baad pairo ko gungune paani se dho le. Aisa karne se pairo ki badboo chali jati hain.
• Roda namak :- Roda namak pairo ki badboo ki samsya ko door karne mein bahut hi kargar hota hain. Yeh paseene se hone wale infection aur bacteria ko door karne mein madadgar hain. Iska istemal bhi fitkari ki tarah hi kiya ja sakta hain.
• Baking soda :- Sodium Carbonate ko aam bolchal ki bhasha mein Baking soda ya meetha soda kaha jata hain. Pairo se aane wali badboo ko door karne ke liye yeh kargar aur asaan upay hain. Yeh paseene ke pH level ko normal rakhta hain aur bacteria ko control karne mein effective hota hain. Halke gungune paani mein baking soda mila le. 15-20 minutes tak pairo ko paani mein duboye. Kuch hafto tak yeh upay karne se aap pairo se smell aane ki problem se chhutkara pa lenge.
• Lavender Oil :- Lavender oil na sirf acchi khushboo deta hain, Balki yeh bacteria ko khatm karne mein bhi effective hain. Is tel mein Anti-fungal gun paye jate hain, Jo pairo se aane wali durgandh ko door karne mein faydemand hain. Halke garm paani mein lavender tel ki kuch boonde dale aur kuch der tak oos paani mein apne pairo ko doobo kar rakhe. Din mein 2 baar aisa karne par aapko labh hoga.

Post a Comment