Bharat mein subah-subah hi fansi kyon di jati hain?
India mein sabse badi punishment maut ki saza hain, Dusre desho mein maut ki punishment kai tarike se di jati hain. Lekin Bharat mein muzrim ko fansi ke fande par hi latkaya jata hain. Lekin aapne kabhi yeh socha hain ki Aakhir Bharat mein fansi subah-subah suraj nikalne se pahle hi kyon di jati hain? Aaiye jante hain Fansi se jude kuch general knowledge.
Aaiye jante hain ki fansi ke waqt kya-kya hota hain?
Subah ke waqt hi di jati hain fansi :- Fansi dene ka waqt subah hi mukararr isliye kiya jata hain kyonki jail manual ke tahat jail ke baaki kaam suraj nikalne ke baad kiye jate hain. Fansi ki wajah se jail ke baaki kaamo par asar na pade, Isliye suraj nikalne se pahle subah-subah fansi di jati hain.
Fansi dene se pahle jallaad kya kahta hain?
Fansi dene se pahle jallad kahta hain, "Mujhe maaf kar diya jaye. Hindu bhaai ko Ram-Ram, Musalman bhai ko salam, Hum kya kar sakte hain, Hum to Hukm ke gulam hain."
Kitni der ke liye fansi dene ke baad dead body fande par latke rahti hain?
Dead body kitni der ke liye rassi par latkaye rakhna hain, iska koi rule nahi hain. Lekin fansi dene ke 10 minutes baad medical team dead body ki jaanch karti hain.
Fansi ke waqt kin logo ka hona jaroori hain?
Fansi dete waqt vaha par Executive Magistrate, Jailer aur Jallad ka mauzood rahna bahut hi jaroori hota hain. Inme se kisi bhi kami mein fansi nahi di ja sakti hain.
Fansi ki punishment dene ke baad judge apne pen ki nib kyon tod deta hain?
Hamare law mein fansi ki sazaa ko sabse badi sazaa mana gya hain. Isliye judge is death punishment ko likhne ke baad pen ki nib tod deta hain, taki uska istemal dobara se na ho sake.
Fansi dene se pahle criminal ki aakhiri khawaaish kya kuch hoti hain?
Jail Administration Fansi se pahle aakhiri khwaahish puchhta hain, Jo jail ke andar aur manual ke tahat hota hain, Isme veh apni family se milne, koi special dish khane ke liye ya phir koi religious holy book padhne ki iccha kar sakta hain. Agar yeh sabhi desires jail administration ke manual mein hain to veh ise pura karti hain.
Post a Comment