Header Ads

Type 2 Diabetes hone par body ke in parts par padta hain sabse bura asar.

Type 2 Diabetes hone par body ke in parts par sabse jyada bura asar padta hain.
Type 2 Diabetes ko sabse khatarnaak diabetes mana jata hain, Iske hone par logo ka blood sugar level itna jyada badh jata hain, jise control karna bahut muskil hota hain. Agar aapko is diabetes ke symptom apne aap mein dikhayi de, to ise andekha na kare, Isse aapki jaan ko bhi khatra ho sakta hain.



Type 2 Diabetes jinhe hain, Unhe har 3 mahine baad doctor se check up karwate rahna chahiye. Regularly checkup se aapke dil ko tasalli milti hain aur aap iske bare mein bhi puri tarah sure ho jate hain ki aapko koi khatra hain ki nahi hain.

Aaj hum aapko batane ja rahe hain ki Type 2 Diabetes hone par aapke sharir par kya bura asar padta hain. Janiye Type 2 Diabetes mein sharir ke kis ang (Body part) par sabse jyada effect padta hain.

Type 2 Diabetes hone par in body parts par padta sabse jyada bura asar :-


• Kidney fail ho jati hain :- Kidneys mein khoon ki dhamniya hoti hain jo khoon se gandagi ko saaf karne ka kaam karti hain. Jab diabetes ki bimari theek nahi ho pati hain to kidneys apna kaam karna band kar deti hain. Aur phir mareez ko apni kidney transplant karwana padta hain ya phir dialysis par depend rahna padta hain.

• Heart par asar padta hain :- Heart aur khoon ki dhamniyo par sabse pahle asar padta hain. Agar aap apni diabetes ka treatment nahi karwayenge to aane wale waqt mein 70% chances badh jate hain ki aapko heart attack, stroke ho sakta hain.

• Pairo ka khyaal rakhna hain jaroori :- Agar is bimari ke dauran aapke pairo mein koi chot ya infection ho gya ho to uska treatment jaldi karwaye. Nahi to aapko apne pairo se haath dhona pad sakta hain.

• Aankhein kharab ho jati hain :- Is bimari mein aankho par sabse bura asar padta hain. Iske alawa aankhon se related ek aur bimari diabetic retinopathy ho sakti hain. Is bimari mein aankho ki retina tak pahuchane wali khoon ki shiraayein kharaab ho jati hain. Agar aapka case bahut zyada kharaab ho gya to aapko motiyabind ya Cataract bhi ho sakta hain.

• Nerves par padta hain effect :- Body mein jyada sugar hone ki wajah se choti choti koshikaon ke diwaar kharab ho jati hain. Yeh kosikayein khas taur par pairo mein hoti hain. Yeh koshikayein nerves tak poshan pahuchane ka kaam karti hain. Agar aapki diabetes theek nahi hoti hain to aapke pair sunn ho jate hain aur aap kuch bhi mahsoos karne ki power kho denge.