Brown Rice khane ke 12 behatarin fayde.
Brown rice ko chhilke wala chawal ya bhoora chawal bhi kaha jata hain. Brown rice mein dimaag ko badhaane wale poshak tatv paaye jate hain. Safed chawal ke mukable brown rice ko pakaane mein chahe zyada waqt lage, Lekin sehat ko hone wale fayde ke mamle mein yeh Safed chawal ko bahut peeche chhod deta hain.
Brown rice mein Vitamin B, Phosphorus, Selenium, Manganese, Potassium aur Magnesium samet kai dusre nutrients bhi bharpoor matra mein paye jate hain. Yeh dietary fiber aur Phtonutrients ka bahut hi good source hain, Jo weight ko manage karne ka bhi kaam karta hain.
Aaiye jante hain Brown rice (bhoore chawal) khane ke fayde :- Benefits of Brown Rice in Hindi/Urdu.
• Haddiya strong banaye :- Brown rice Magnesium ka good source hain, Jo bones ko healthy banaye rakhne mein ahem role ada karta hain. 1 Cup brown rice khane se body ko daily jaroorat ka 21% Magnesium milta hain. Magnesium Calcium ko sokhne ke liye bahut hi jaroori hota hain, Jisse haddiya majboot banti hain. .
• Pittashay ki patthari ke khatre ko kam kare :- American Journal of Gastroantrology mein published ek research ke according Brown Rice wale Fiber se bharpoor diet ko lene se ladies mein pittashay ki patthari hone ka khatra kafi kam ho jata hain. .
• Blood Sugar level ko kam kare :- Brown Chawal mein mauzood fiber blood sugar level ko control karke Type-2 Diabetes ko rokne mein madad karte hain. Diabetes ke patient ko agar Chawal khane ka mann kare to vah Safed chawal ki bajaye brown rice ka sewan kare. .
• Wazan ko control mein rakhta hain :- Brown rice mein Fiber zyada matra mein paya jata hain, Isliye yeh aapke jariye li jane wali calories ki quantity ko control karta hain aur aapke pet ko kafi der tak bhara hua rakhta hain. Is tarah se aap over eating yani ki zyada khane se bach jate hain. Howard ke researchers ne apni research mein yeh paya ki jin aurato ne apni diet mein brown rice ka istemal kiya unka wazan normal rakhne mein unhe jyada success mili. .
• Nervous system ko majboot banaye :- Brown Rice mein Manganese acchi matra mein paya jata hain, jo nervous system ko healthy banane mein kafi madadgar hota hain. Poshak tatv Fatty Acid ka production badhaa kar aur Cholesterol ko paida karke sex hormones ke production ko bhi badhaate hain. .
• Heart ki bimariyo se bachaye :- Fiber ki zyada matra hone ki wajah se brown rice hame dil ki bimariyo se bachata hain. Temple University ke researchers ne apni research mein yeh paya ki Brown rice ko khane se blood pressure kam ho jata hain aur dhamniyo mein plague banne ke khatre ko kam kiya ja sakta hain, Is tarah yeh hame heart ki bimariyo ke khatre se hame bachata hain. .
• Diet ki jaroorato ko pura kare ;- Dietary guidelines ke according Anaaz ka din mein 3 baar sewan karne ki salah di jati hain. Brown rice ½ cup dusre anaazo ke 3 baar sewan karne ke barabar hain. Isliye apni daily nutrients ki jaroorato ko pura karne ke liye Brown rice khana ek accha kadam saabit ho sakta hain. .
• Breast cancer se bachaye ;- Brown rice mein mauzood Phytonutrients breast cancer aur heart ki bimariyo se ladne mein help karte hain. Jyada umar ki ladies par kiye gye research se yeh baat saabit huyi ki Brown rice ko khane se Enterolactone ka level badhta hain, jisse breast cancer ke khatre ko kam karne mein madad milti hain.
• Asthma ke symptoms ko kam kare ;- Brown rice mein Magnesium jyada hota hain, isliye yeh asthma ke symptoms ko kam karne mein help karta hain. Kai researches yeh baat proof ho chuki hain ki brown rice ko khane se Asthma ke patient ko kafi aaram milta hain. Brown rice mein mauzood Selenium bhi Asthma ko door karne mein madad karta hain. .
• Pet ke cancer se bachaye :- Brown rice mein Selenium paya jata hain jo pet ke cancer hone ke khatre ko kam karta hain. Chawal mein mauzood Fiber ki jyada matra Aant ke cancer ko rokne wale chemicals par asar daalta hain, Is tarah yeh pet ke cancer ko rokne mein helpful hota hain. .
• Kabz door kare :- Fiber ki jyada matra hone ki wajah se brown rice digestive system ke liye faydemand hota hain. Yeh mall tyaag ko badhaata hain, Is tarah yeh kabz ko rokne mein madadgar hota hain. .
• Cholesterol level kam kare ;- Peese huye brown rice mein mauzood oil Cholesterol ka level kam karne mein madad karta hain. Brown rice mein Fiber hota hain jo LDL yani Bad Cholesterol ko kam karne mein madad karta hain.
Post a Comment