Header Ads

Body ki Immunity ko boost karne wale best food.

Body ki immunity badhaane wale food. Best food for increase Immune System in Hindi/Urdu.
Kya aap apne Immune system ko majboot banana chahte hain? Kya aap janna chahte hain ki kaun se phal (Fruits) aur food hain jinhe khane se body ki immunity badhti hain? Body ki immunity system ko increase karne ke liye kya khana chahiye? Best food for Strong Immunity in Hindi/Urdu. Aaiye aaj in sabhi swaalo ka jwaab janne ki koshish karte hain.

Body ki immunity system ko majboot banane ke liye aapko apni diet par khas dhyaan dene ki jaroorat hain. Aise mein kai saare aise food hain jinhe kha kar aap kamjor immune system ko strong bana sakte hain. Jaise Ki Vitamin C wale food apni diet mein shamil kijiye. Vitamin C wale fruit jaise Nimbu, Orange, Papita, Amrood aur Strawberry Body ke immune system (Prti-raksha pranali) ko badhane mein madad karte hain.

Immunity badhaane ke liye Vitamin C aur Beta-Carotene best hain jo ki aapko Mosambi, Nimbu aur Santre jaise khatte phalo se mil jate hain. Vitamin K bhi immunity ko boost karne mein madad karta hain. Aaiye jante hain Immune system ko majboot banane ke liye kya khana chahiye?

Body ki immunity badhane wale best food :-


Hari Patteda Sabziya :-

Apni diet mein hari pattedar sabziyo ko jaroor shamil kare. Inme Vitamin aur Minerals jyada matra mein paye jate hain. Iron, Vitamin A, Vitamin B Complex, Vitamin C, Calcium aur Fiber bahut hi acchi quantity mein paye jate hain. In Hari sabziyo mein powerful Antioxidants paye jate hain jo cancer ki wajah banne wale Free radicals ko khatm karte hain ya phir unko badhne se rokte hain. Green Vegetables ko khane se digestion system healthy rahta hain aur isse pet saaf rahta hain. Kabz door karne ke liye Hari Pattedar Sabziyo mein Fiber bharpoor matra mein paya jata hain.


Alsi ke beej :-

Alsi sach mein guno ka khazana hain. Iske guno ke baare mein bahut kam log hi jante hain. Alsi ka regularly istemal karne se yeh hame kai tarah ki bimariyo se chhutkara dilate hain. Alsi mein Alpha Linolenic Acid, Omega 3 Fatty Acid hota hain, jo hame kai tarah ki bimariyo se ladne ki power deta hain. Omega-3 Hamari body ke ander nahi banta hain, Ise khane ke jariye hi paya ja sakta hain. Vegetarian logo ke liye Alsi Omega-3 Fatty Acid ka sabse best source hain.


Sea Food aur Mutton :-

Zinc Non-Vegetarian Food items mein paya jata hain. Zinc body mein Hormones ko balance mein rakhne, Skin ko healthy banaye rakhne, Body ko infection se bachaane aur Body ki immunity power ko badhaane mein madadgar hota hain. Isliye apne khane mein Sea food jaise Kekda, Jhinga, Seap aur Bakre ka meat (Mutton) aadi ko jaroor shamil kare. Vegetarian logo mein khas karke Zinc ki kami hone ka khatra rahta hain, Isliye Vegetarian log Hari phallidar Sabziya, Saabut anaaz jaise Rajma, Chhole aadi aur Dry Fruits ko jaroor khaye.


Vitamin C :-

Vitamin C fruits, Green Vegetables, Tamatar, Shimla Mirch, Raseele aur Khatte phalo mein paya jata hain. Vitamin C khoon mein Cholesterol ko control karta hain. Vitamin C white blood cells ke acche se kaam karne mein help karta hain. Vitamin C se aapka immune system majboot banta hain Aur kisi bhi tarah ke infection se ladne mein yeh kafi faydemand hota hain.


Badam :-

Badam Vitamin E ka good source hain. Vitamin E body mein natural roop se paye jane wale Natural Killer Cells ko badhane mein madad karta hain. Badam Body mein B type Cells ke count ko increase karne ka kaam karta hain. Yeh Cells Antibodies banati hain, Jo body mein mauzood nuksaandeh bacteria ko khatm karne mein madadgar hota hain.


Green Tea :-

Green Tea mein Antioxidants sabse jyada paye jate hain. Isliye yeh kafi faydemand hoti hain. Isme Calorie bhi nahi hoti hain. Green Tea mein Polyphenols aur Antioxidants paye jate hain, Jo sharir ke bacteria ko khatm karke immune system ko majboot banate hain. Yeh aam jukam-khansi mein bhi bahut faydemand saabit hoti hain, Isme aap Nimbu aur Shahad ko bhi mila kar pee sakte hain.


Lahsun :-

Lahsun mein Antioxidants hote hain jo hamari body ke immune system ko bimariyo se ladne ki power dete hain. Isme Allicin naam ka aisa tatv paya jata hain, Jo body ko infection aur bacteria se ladne ki power deta hain. Rojana khane mein lahsun ka istemal karne se Pet ka ulcer aur Cancer se bachav hota hain. Rojana subah khali pet lahsun ki 2-3 kacchi kaliyan khane se High blood pressure control mein rahta hain aur isse lambe waqt tak immune system bhi strong banta hain.


Dahi :-

Dahi mein doodh ke mukable zyada Calcium paya jata hain. Dahi ke bacteria aur poshak tatv body ke liye Antibiotic ka kaam karte hain aur saath hi bimariyo se ladne ki capacity bhi increase hoti hain. Doodh ke mukable Dahi mein Protein, Lactose, Calcium, Iron, Phosphorus aadi kai vitamins hote hain, Isliye Dahi ko poshak mana jata hain. Dahi ko khane se sharir ki bimariyo se ladne ki power mein badhotari hoti hain.


Haldi :-

Haldi mein khoon ko saaf karne wala gun hota hain, Isse sharir ki rangat ko sudhaarne mein madad milti hain. Yeh bahut hi powerful Antibiotics hain, saath hi yeh cancer se lekar Alzheimer tak kai saari bimariyo ko theek karne ke liye bhi istemal hoti hain. Haldi mein mauzood Curcumin Blood Sugar level ko kam karta hain aur Glucose ke Metabolism Rate ko badha kar Diabetes ko control mein rakhta hain.