Kela aur Kishmish se kam kare Badha hua heart beat rate..
Heart rate ko pulse rate ke naam se bhi jana jata hain. Heart rate dil ki dhadkan hoti hain. Is dhadkan ko 1 minutes mein dil ke dhadkane par count kiya jata hain. Is dil ki dhadkano ko hi heart rate kaha jata hain. University of Virginia Health System ke according Ek adult ki normal heart rate 60-80 dhadkan per minute hoti hain. Halanki yeh Athletes mein yeh heart rate kam yani ki 40 minute per minute ke hisaab se hoti hain. Dil ki lay aur flood flow ko power dene ke liye heart rate important hota hain.
Badhi huye heart rate ko Tachycardia ek adult mein per minute lagatar 100 se jyada baar dil dhadkta hain. Yeh Heart disease, stroke aur kidney disease ke khatre ko badha deta hain. Paseena aana, Matli aur Ulti jaise symptoms dekhne ko milte hain. Heart rate yani ki dil ki dhadkan ka badhna ek problem ki tarah hain, jise nazar-andaaz nahi kiya ja sakta hain. Lekin ghabraane ki jaroorat nahi hain kyonki exercise aur yoga ki tarah Kela aur Kishmish jaise food heart rate ko kam karne mein aapki help kar sakte hain . Aaiye jante hain heart rate ko kam karne ke liye Kismis aur Kela kaise aapki madad karte hain.
Vaise toh sodium body ke liye jaroori poshak tatv hain, Lekin body ko iski bahut hi kam matra ki jaroorat padti hain. Isliye blood pressure ko kam karne ke liye doctor namak ko kam khane ki salah dete hain. Kele mein sirf 1 milligram hi sodium hota hain, Isliye dil ke mareezo ko Kela khane ki salah di jati hain. Usi tarah Kishmish mein bhi Sodium kam matra mein paya jata hain.
Heart rate ko normal karne wale gharelu nuskhe aur upay :-
♦ Badam ko dil ke liye bahut hi faydemand mana jata hain. Yeh Antioxidants aur Vitamins se bharpoor hota hain jo heart disease, Bad Cholesterol level aur bhojan ki lalsa ko control karne mein madad karta hain.
♦ Magnesium se bharpoor food jaise ki kaddu heart rate ko kam karne mein aapki help karta hain. Magnesium heart rate ko control mein rakhta hain.
♦ Brazil nut jaisa powerful nut Vitamin aur Mineral khas taur par Magnesium se bharpoor hota hain. Natural taur par heart rate ko kam karne ke liye aapko yeh nut jaroor khana chahiye.
♦ Apni diet mein Doodh ko jaroor shamil kare. Doodh Calcium se bharpoor hota hain. Calcium ki kami heart rate badhne ki ek ahem wajah bhi ho sakti hain. Agar aap natural tarike se tez heart rate ko kam karna chahte hain toh apni diet mein Calcium se bharpoor cheezo ko jaroor shamil kare.
Post a Comment