Header Ads

Kaise kare apne gadgets ko clean?

Tips for Cleaning Gadgets in Hindi/Urdu. Kaise saaf karna chahiye apne gadgets like Mobile, T.V., Notebook etc.
Logo ko khana khate waqt bhi Smartphone ko use karne ki aadat hoti hain. Aise mein unka Smartphone jaldi se ganda ho jata hain. Log apne gadgets ko saaf karte hain, lekin kya aapko apne gadgets ko saaf karne ka tarika pata hain? Aaj hum aapko batane ja rahe hain Gadgets ko kaise clean aur saaf karna chahiye? Tips for Cleaning Gadgets in Hindi/Urdu.

Gadgets ko saaf karne ka tarika. :-

• Modern T.V. mein safety ko dekhte huye protecting Coating ki jati hain agar aap Windex ya usse milta-julta koi product use kar rahe hain. To apne T.V. ki safaai karne se pahle uske manual book ko acchi tarah se padh lena chahiye. Television ko hamesha Microfiber cloth se hi saaf karna chahiye. Screen par jami dust ko aap easily saaf kar sakte hain. Aap paani ke saath Liquid soap ka bhi istemal kar sakte hain.


• Agar aap Fitness Wrist Band pahante hain to veh bhi bahut easily gande ho jate hain. Wrist band ko clean karne ke liye sabse pahle usay switch off karde. Phir ek kapde par alcohol ya vinegar lekar halke haathon se wrist band ko saaf kare.


• Kai Smartphone aise hote hain jinke camera lens par cover ka istemal hua hota hain. Yeh cover phone ke camera lens ko surakshit rakhte hain, Lekin phir bhi jab aap mobiles ki safaai kare to badi hi saavdhaani ke saath saaf kare. Agar lens mein dhool ya gandagi chali gyi hain to Micro Fiber Cloth se usay saaf kare. Agar aur jyada cleanness chahiye to aadhe paani mein aadha Alcohol mix karke phone ke camera ko saaf kare.


• Television ka remote ya kisi bhi gadget ke remote ko saaf karne ke liye aap Board saaf karne wali technique ka istemal kare. Water & Alcohol ke mixture se aap apne remote ko easily clean kar sakte hain.


• If you have use White data cable, toh yeh bahut hi jaldi dirty ho jate hain. Aapko Data cables ko saaf karne ke liye Vinegar ya Alcohol ka istemal karna chahiye. Kapde mein Vinegar ya Alcohol laga kar aap Data Cables ko easily clean kar sakte hain.


• Agar aap Notebook use karte hain to aapko iski screen aur keypad dono ko saaf karna aana chahiye. Sabse pahle apne notebook ko shutdown kare. Pahle kapde se Notebook ko baahar ki aor saaf kare. Phir screen par cleaning spray kare. Phir halke kapde se screen ko saaf kare. Keyboard ko saaf karne ke liye kapde par spray kare aur halke haathon se saaf kare.


• Aap apne headphone ko Paani aur Alcohol se saaf kar sakte hain. Iske liye aap ek saaf kapde ya towel ka istemal kare. Halke haatho se headphone ko saaf kare. Leather Headphone ko saaf karne ke liye aap water ka use kare aur ise bhi halke haatho se saaf kare. Ek baat ka aap hamesha dhyaan rakhe ki kabhi bhi headphone ko tezi ke saath nahi ragadna chahiye.


• Apne mobile ko saaf karne se pahle usay sabse pahle switch off karde. Phir phone ki screen par spray maare. Phir kisi saaf kapde se phone ko saaf kare. Aap half water & half Vinegar ko mix karke bhi phone ki safaai kar sakte hain. Aap kisi Smartphone Cleaning Spray ka bhi use kar sakte hain. Phone ko halke kapde se saaf karna chahiye jisse screen par scratch na pade.


• Agar aap Earpode ka use karte hain to unhe bhi kuch time ke baad safaai ki jaroorat padti hain. Aap easily plastic pod ki safaai kar sakte hain. Aap earpod ko saaf karne ke liye toothpaste ka bhi istemal kar sakte hain. Aap kisi Needle kabhi istemal kar sakte hain. Safaai karte time sabse dhyaan rakhne wali cheez hain ki aap apne speaker ko damage na kar de.