Kheera khane se hote hain yeh gajab ke fayde.
Kheera (Cucumber) hamare acche swasthya ke liye bahut hi faydemand mana jata hain. Kheera khane ke bahut jyada fayde hote hain. Kheere ke bina Salad adhura mana jata hain. Benefits of Cucumber in Hindi/Urdu.
Kheere mein 96% paani hota hain. Saath hi isme Erepsin enzyme hota hain, jo aapke sharir mein protein ko hajam karne mein madad karta hain. Saath hi isme Vitamin A, B1, B6, C, D, Potassium, Phosphorus, Iron bhi bharpoor matra mein paye jate hain.
Kheera gas, Kabz, Acidity , Chhati ki jalan aur cancer jaisi gambhir bimariyo se nijat dilata hain. Agar aap motape se preshan hain toh Kheera aapke liye faydemand saabit ho sakta hain. Iske liye Kheere mein Namak, Kali Mirch aur Nimbu daal kar khane se yeh tasty toh lagta hi hain saath hi khana pachane mein bhi madad karta hain. Janiye Kheera hamare health ke liye kaise faydemand hain.
♦ Aankho ki roshini badhata hain :- Chhilke samet Kheera khane se aankho ki roshini acchi rahti hain, Kyonki iske Chhilke mein Beta-Carotene hota hain, Jo aankho ki roshini ke liye khas taur par faydemand mana gya hain.
♦ Motape se nijat dilata hain :- Agar aap apna motapa kam karna chahte hain toh Kheera aapke liye madadgar saabit ho sakta hain. Lekin Kheere ko Chhilke samet hi khana padega.
♦ Cancer se bachav kare :- Kheere mein secoisolariciresinol, Lariciresinol aur pinoresinol naam ke tatv paye jate hain, Jo ki cancer se aapki raksha karte hain. Kheera Breast cancer ko rokne ke liye sabse jyada faydemand mana gya hain.
♦ Diabetes aur Blood Pressure ko control kare :- Niyamit roop se kheere ka sewan karne se aapko Diabetes aur Blood pressure mein fayda milta hain. Kheere mein aise tatv paye jate hain jo pancreas ko activate karte hain. Jisse sharir mein insulin banti hain. Jo ki diabetes se aapko bachata hain. Isme jyada matra mein Calcium, Potassium paya jata hain jo aapke blood pressure ko control mein rakhta hain.
♦ Baalo aur Skin ki dekhbhaal karta hain :- Kheere mein Silicon aur Sulphur bharpoor matra mein paya jata hain, Jo ki baalo ko badhane mein madad karta hain. Iske liye aapko Ise gajar aur palak ke juice ke saath bhi mila kar le sakte hain. Saath hi chehre par iska istemal facemask ke taur par karne se chehre mein kasaav aata hain aur tanning se nijat milti hain.
♦ Mooh ki badboo door kare :- Agar aapke mooh se badboo aa rahi hain, toh kuch minutes ke liye apne mooh mein kheere ka tukda rakh le. Isse aapke mooh ke bacteria mar jayenge, Jisse mooh se badboo aani dheere-dheere band ho jayegi. Ayurveda ke anusaar Pet mein garmi hone ki wajah se mooh se badboo aati hain. Isliye pet ko thanda rakhne ke liye Kheere ka sewan kare.
♦ Aankho ke neeche sujan se dilaye rahat :- Kheere mein Ascorbic acid aur caffiec acid naam ke 2 tatv paye jate hain, Jo aapke sharir mein paani ki kami ko pura karte hain. Jisse aapke aankho ke neeche ki sujan chali jati hain.
♦ Masoodhe healthy rakhta hain :- Kheera khane se masoodho ki bimari kam hoti hain. Kheere ke ek tukde ko jeebh se mooh ke upari hisse par aadha minute tak roke. Aise mein kheere se nikalne wala Phytochemical mooh ki durgandh ko khatm karta hain.
♦ Pachan ko theek rakhta hain :- Kheere mein bharpoor matra mein Fiber paya jata hain, Jiski wajah se yeh pet ki har problem se hame nijat dilata hain. Saath hi yeh aapke pet ko saaf bhi karta hain.
♦ Periods Problems mein rahat dilaye :- Kheere ka niyamit sewan karne se yeh periods ki samsyaon se nijat dilata hain. Agar kisi ko problem ho rahi ho to iske liye Dahi mein Kheere ko kaskar, Kala Namak, Pudina, Kali Mirch, Hing aur Jeera daal kar rayta bana le aur iska sewan kare.

Post a Comment