Header Ads

Heart ko healthy rakhne mein help karte hain yeh masale.

Heart ko healthy rakhne mein help karte hain yeh masale.
Kya aapko maloom hain ki dil ko healthy banaye rakhne mein rasoi mein paye jane wale kuch aam masaale bahut hi faydemand mane jate hain. Aaiye jante hain aise 5 masale (spices) ke bare mein jinse aapka heart strong banta hain.


Heart ko healthy rakhne wale 5 top spices :-


1. Kali Mirch :- Black Pepper Cardio protective action ko activate karne ka kaam karti hain. Yeh na sirf Oxidative damage se bachaati hain, balki cardio function ko bhi increase karti hain.

2. Lahsun :- Badha hua cholesterol level heart disease hone ka important reason hota hain. Apni diet mein Lahsun ko shamil karke aap cholesterol level ko control mein rakhte hain. Lahsun mein Allicin naam ka antioxidant hota hain jo na sirf cholesterol level ko control karta hain, balki blood pressure ko bhi control mein rakhta hain. Isliye agar aap heart problems se bachna chahte hain to Lahsun ko jaroor khaye.

3. Dhaniya ke Beej :- Coriander Seeds mein Antioxidant bahut hi acchi quantity mein paya jata hain. Isme paye jane wali properties Free Radicals cells se dil ko bachaane ka kaam karti hain. Cholesterol level ko kam karne, Blood flow ko badhaane mein dhaniye ke beej kafi helpful mane jate hain.

4. Dalchini :- Khane mein Dalchini ke istemal se blood flow behtar banta hain. Jisse khoon ka thakka banne ka khatra kafi kam ho jata hain. Heart disease se bachne ke liye rojana chutki bhar dalchini ka istemal jaroor karna chahiye.

5. Haldi :- Haldi mein Anti-Oxidant bharpoor matraa mein paye jate hain jo blood cholesterol level ko kam karne mein madad karte hain. Isse alawa yeh diabetes se bachaane mein bhi kargar maani jati hain.