Woman ko Kela kyon khana chahiye? Isse unhe kya-kya fayde hote hain?
Modern Lifestyle ke chalte hum sabhi log itne jyada busy ho gye hain ki apni sehat ka khyaal nahi rakh pa rahe hain. Aise mein Kai saare fruits aise hain, jinhe hum kha hi nahi rahe hain. Phal-Fruits ko sahi tarah se na khane par hum sabhi log jaldi bimar pad rahe hain.
Agar ladies ki baat ki jaye to unhe apni routine ke chalte itna jyada time bhi nahi mil pa raha hain ki vey apni sehat ka khyaal rakh sake. Jiski wajah se unhe kai saari bimariya asaani se ho jati hain. Aaj hum mahilaon ko kela yani ki banana kyon khana chahiye? Iske baare mein aapko batayenge. Kela mahilaon ke liye best fruit hain. Isliye har mahila ko kela jaroor khana chahiye.
Kela khane se sharir ekdum fit & fine bana rahta hain. Kele ko khane se kai saari bimariyon se nijat mil jati hain. Vaise to kela har kisi ke liye faydemand hota hain, lekin agar koi lady har din ek kela khati hain, to vah kai saari bimariya hone se bachi rahti hain. Aaiye jante hain ki woman ko Banana khane se kya-kya fayde hote hain. Health Benefits of Banana for Woman in Hindi/Urdu.
Ladies ko kela khane ke fayde :-
1. Banana mein Potassium high quantity mein paya jata hain, Jo ladies ko infertility se bachaye rakhta hain.
2. Kele mein Calcium bharpoor matraa mein paya jata hain, jo aapki haddiyon ko strong banaye rakhne ke liye jaroori hain.
3. Agar aapko weakness yani ki kamjori hain aur sirdard ki problem bhi hain to aapko Kela jaroor khana chahiye. Yeh Kamjori aur sirdard ko door karne mein bahut hi faydemand mana jata hain.
4. Kele ko khane se sharir mein khoon ki kami yani ki Anemia jaisi bimari ko khatm kiya ja sakta hain.
5. Agar motape ko door karna chahti hain to Kela khaye. Isey khane se metabolism rate tez banta hain, jisse motapa kam karne mein madad milti hain.
6. Kele mein Vitamin B6 paya jata hain, jo aapki brain memory ko majboot banata hain. Isliye Kela khane se dimaag tez aur sharp banta hain.
7. Kele ke sewan se skin naturally glow karne lagti hain. Isliye auraton ko kela khane ki salah di jati hain, taaki unki tavcha chamakdaar ban sake.
8. Pregnancy period mein Kela jaroor khana chahiye, Isme folic acid paya jata hain jo maa ke saath uske hone wale bacche dono ke liye faydemand hain.
9. Periods ke dauran hone wali preshaniyon se bachne mein Kela bahut hi madadgar hota hain. Isme Vitamin B6 paya jata hain periods ke dauran hone wali problems se nijaat dilata hain.
Note :- Kele ko kabhi bhi Subah Khali pet nahi khana chahiye. Kyonki Subah Khali pet kela khane se aapko Acidity ki problem ho sakti hain. Isliye Banana ko Breakfast karne ke baad hi khana chahiye.
Post a Comment