Ajwain ke Fayde (Benefits of Carom, ajowan, Trachyspermum ammi)
Rasoi mein upyog hone wali masalo ka aushadhiy mahtav kitna ho sakta hain, Iska steek udaharan hain Ajwain. Ajwain ka sadiyo se gharelu nuskhe ke roop mein chhoti-moti bimariyo ke ilaj ke liye istemal kiya jata raha hain. Ajwain ka vanaspatik naam Trachyspermum ammi hain. Aadiwasi ilako mein Ajwain ko anek herbal nuskho mein apnaya jata hain. chaliye jante hain Ajwain ke kuch desi nuskhe aur iske fayde.
1. Paan ke patte ke saath Ajwain ke beejo ko chabane se Gas, Pet mein marod aur Acidity se nijat mil jati hain. Mana jata hain ki bhuni huyi ajwain ki kareeb 1 Gram matra ko paani mein dalkar chabaya jaye to badhazmi mein turant rahat milti hain.
2. Pet dard hone par ajwain ke daane 10 gram, Sonth 5 Gram aur Kala namak 2 gram ko acchi tarah se mila kar rogi ko gun gune paani ke saath 3 Gram churan din mein 4-5 baar diya jaye , to aaraam milta hain.
3. Asthma ke rogi ko yadi Ajwain ke beej aur Laung ki saman matra ka 5 gram churan har roj diya jaye to kafi fayda hota hain. Ajwain ko kisi mitti ke bartan mein jalakar uska dhooaa bhi diya jaye to asthma ke rogi ko saans lene mein rahat milti hain.
4. Yadi Ajwain ke beejo ko bhun kar ek suti kapde mein lapet liya jaye aur raat ko takiye ke najdeek rakha jaye to Dama, Sardi aur khansi ke rogiyo ko raat mein neend ke samay saans lene mein takhleef nahi hoti hain.
5. Migraine ke rogiyo ko Herbal jankar Ajwain ka dhooaa lene ki salah dete hain. Vaise, Ajwain ko pees kar mathe par lagaya jaye to Seer dard mein aaraam milta hain.
6. Aadiwasi Ajwain, Imli ke beej aur Gud ki saman matra lekar ghee mein acchi tarah se bhun lete hain aur phir iski kuch matra prti din Napunskta ke rogi ko dete hain. In aadiwasiyo ke anusaar yeh mishran Mardana takat badhane ke saath-saath sperm ki sankhya bhi badhane mein madad karta hain. Isse Shighrapatan ki samsya mein bhi labh hota hain.
7. Kundaroo ke phal, Ajwain, Adarak aur kapoor ki saman matra ko lekar koot kar ek suti kapde mein lapet kar halka-halka garam karke sujan wale hisse par dheere-dheere se saikaai ki jaye to sujan khatm ho jati hain.
8. Jinhe raat mein adhik khansi hoti ho, Unhe paan mein ajwain daal kar khana chahiye. Adarak ke ras mein thoda sa ajwain ka churan mila kar lene se khansi mein turant aaraam milta hain.
9. Hyper Acidity hone par 1/2 chammach kachcha jeera aur 1/2 chammach bagair bhuni ajwain ko lene se tezi ke saath aaram milta hain. Aisa har 4 ghante ke antraal par kiya jana chahiye.
Post a Comment