Header Ads

Smartphone ki Safety ke liye kuch basic tips.

Mobile SafetyAaj kal smartphone modern life ka ek part ban chuke hain. Jaroorato ke saath yeh fashion ka pratik bhi kahe jate hain. Aise mein inka khyaal aur Inki suraksha karna chunauti bhara kaam lagta hain. Kai baar chhoti-chhoti laparwahi se aapke mehange smartphone kuch hi samay mein purane aur dikhne mein gande lagne lagte hain. Jisse is aam si problem se log preshan ho jate hain, Lekin agar Smartphone ki suraksha par in baato ka dhayaan rakha jaye to Phone ki umar lambi aur yeh hamesha dekhne mein naya ka naya hi rahega. 



Aaiye jante hain smartphones ki safety ke liye kuch tips 


Display ki safai 

Akasar hi smartphone ke kuch din use ke baad uski display par dust ya kuch khas tarah ke scratch pad jate hain. Aise mein log usay rumaal, Table cloth, T-shirt ya phir towel aadi se saaf karne lag padte hain. Jabki yeh bilkul hi galat idea hain. Aise mein smartphone ko saaf karne ke liye MicroFiber Cloth ka istemal kare. Sabse khas baat hain ki Micro fiber cloth ki keemat bas 100 Rupaye ke aas-paas hain aur iske saath ek liquid bhi milta hain. Jisse screen par nishaan nahi padte hain.


Screen Guard 

Smartphone ki safety ke liye Screen guard ka aham role hain. Yeh aapke phone ki suraksha karne ke saath usay lambi umar dete hain. Lekin akasar log chhote-chhote dukano se sasta screen guard lagwa lete hain, Jo mehange phone ki khas suraksha nahi kar pate hain. Aise mein Screen guard lagvate samay yeh dhayaan de ki aap kaun sa screen guard lagva rahe hain. Agar screen guard accha hoga to phone ke girane pad bhi uski screen par koi khas asar nahi padta hain.


Mobile Carry 

Mobile carry karna matlab mobile ko kaise apne saath rakhna hain, yeh sabse bada challenge hain. Akasar log mobile ko apni paint ya jeans ki pocket mein rakh lete hain. Aise mein jab wah in smartphone ko apni jeb se bahar nikalte hain to unhe in fitting wali jeb mein mushakkat ka samna karna padta hain. Iske alawa log Table ya kisi door par mobile phone rakh dete hain. Isse phone ki body par asar padta hain. Aise mein saaf hain ki aap Mobile pouch ka istemal kare, jise aap apni belt mein laga sakte hain. Isse aapke phone ki suraksha badhti hain aur chori hone ka khatra bhi kam ho jata hain.


Battery charge

Smartphone ki khubsoorti ke saath hi uski battery bhi khubsoorti ka ek part hain. Aksar log Smartphone ki thodi si battery khali hone par usay charging mein laga dete hain. Jab ki 50% battery kam ho jaye tab jakar battery ko charge karna chahiye. Iske alawa log saste ya kisi aur company ke charger se battery charge karne lagte hain, Jo ki smartphone ki hitt mein nahi hain. Aise mein koshish kare ki charger Usi company ka ho to phone ki battery acche se charge hoti hain aur jaldi kharab nahi hoti hain.


Sukhne ka intezaar 

Kai baar baarish ke samay smartphone bheeg jata hain. Aise mein sabse pahle usay sukha le. Agar us par screen guard laga hain to usay nikal le aur phir dheere se pankhe ki hawa mein tab tak sukha kare, jab tak uska saara paani sukh na jaye. Uski battery bhi alag nikal kar rakh de. Phone ka paani sukhne ke baad hi usay charging par lagaye warna phone ke jalne ka khatra bana rahta hain.