Header Ads

Doodh peene ke fayde (Benefits of Drinking Milk)

MilkDoodh hamesha se hi hamari diet ka ek aham hissa raha hain. Lekin jab baat fitness ki aati hain to isse jude kuch swaal hamare mann mein uthate hain. Jaise kya doodh peene se mote hote hain ya bazaar mein uplabadh tarah-tarah ke doodh mein se kise apnana chahiye.  Doodh peene kya fayde hain? What is benefit of drinking the Milk?


Doodh motapa badhata hain ? 

Scientist ke kai research se yeh sabit ho chuka hain ki Calcium mein hamare body fat ko burn karne ki power hoti hain. Iske alawa ismein mauzood milk protein bhi fat burn karne mein madad karta hain. Iska matlab hain ki doodh peene se wajan badhta nahi , kam hota hain. Halaki sahi matra ka niyam yaha bhi lagoo hota hain. Yani ki jaroorat se jyaada doodh nuksaandeh hain. 250ml wholemilk (malai yukt doodh) mein kareeb 150 calories hoti hain. Agar aap prayapt matra mein doodh lena chahte hain to aap Skim Milk (Low Fat Milk) accha option sabit ho sakta hain. Kyonki isme whole milk ki tulna mein kam calorie (120 calorie) hoti hain. 


Doodh Muscles banaata hain ?

Agar aap workout karte hain aur apni muscles ko badhana chah rahe hain to aapko doodh jaroor peena chahiye. Doodh mein maujood protein mein 20% whey (Chhachh) aur 80% casein hota hain. Yeh dono high quality protein hain. Inme se 'whey' ko fast protein ke naam se jana jata hain , Kyonki ise khoon jaldi se observe kar leta hain. Vahi casein dheere-dheere pachta hain jisse sharir ko lambe samay tak thodi-thodi matra mein protein milta rahta hain. In do tarah ke proteins ke perfect combination ke karan doodh muscle ke liye acchi drink mana ja sakta hain aur Rojana ek glass Milk workout ke fayde ko badha sakta hain. 



Kitne prakar ke doodh hote hain ? How many Types milk found? 

Bazaar mein doodh ke kai options mauzood hain. Isliye acchi sehat ke liye sabse badhiya vikalp kaun sa hain?

1- Cow Milk 

Gaay (guy) ke doodh ko Omega-3 ke vikalp ke roop mein istemal kiya ja sakta hain. Isse motapa nahi badhata hain, Lekin ise healthy diet ke saath liya jana chahiye. Yeh Protein, Vitamin B aur potassium ka accha source hain. 

2- Goat Milk

Pahadi ilaako mein jyada istemal hone wale bakri ka doodh haddiyo ko kamjor hone se rokta hain, Saath hi metabolism bhi badhaata hain. Kam fat hone ke karan yeh gaay (Guy, Cow) ke doodh se behtra mana jata hain.

3- Soya Milk

Jinhe samanya doodh se allergy ki shikayat hain ya jo doodh ko non-vegetarian ki list mein rakhte hain, Unke liye soya milk accha vikalp hain. Vahi ismein mauzood omega-3 aur 6 bhi kafi faydemand hain. 


4- Coconut Milk

South India mein bahut matra mein istemal hone wala Nariyal ka doodh protein ka bahut hi badhiya source hain. Yeh wajan kam karne aur pachan tantra ko majboot karne mein madadgaar hain. Isi tarah badam doodh bhi faydemand hota hain, jo Low fat hota hain. 


5- Kachcha ya pasteurized  

Kachche aur pasteurized  doodh mein se kise chuna jaye , yeh swaal hamesha vivaado mein raha hain. Organic food ke  supporter kachche doodh ko priority dete hain , Kyonki unka manana hain ki kachche doodh mein Protein, Carbohydrate, Fat, Vitamins aur minerals hote hain jo ki ubaalne par kam ho jate hain. Halaki ki scietist ka kahna hain ki kachche doodh mein bacteria bhi hote hain jo pasteurization ke baad khatm ho jate hain aur doodh ki nutritional value mein koi fark nahi padta hain.


Skimmed milk yani ki malai rahit doodh hi kyon? 

Cream yukt doodh ki tulna mein Malai rahit doodh peena sehat ke lihaj se adhik faydemand mana jata hain. US ke agricultural Department ki mane to Skim milk peene se Cardiovascular bimariyo ka khatra kam ho jata hain. Malai rahit doodh mein vasa ki matra kam hoti hain. Yani ki yeh cholesterol kam karne ke liye accha aahaar hain. Malai rahit doodh mein fat nahi hota hain, Lekin baaki sabhi jaroori paushtik tatv hote hain. 

  
Aaiye jante hain Skim Milk peene ke kya fayde hote hain. 

1. Haddiyo ko majboot banaye 

Umar badhne ke saath haddiyo ka ghantav kam hone lagta hain. Jise barkarar rakhne ke liye doodh ka sewan jaroori hain. Malaai rahit doodh mein calcium, phosphorus aur protein ke saath vitamin D bharpoor matra mein paya jata hain, jo haddiyo ko majboot banata hain.

2. Haddiyo ki bimari se bachav

Badhti umar ke saath haddiyo ki bimari hone ka khatra badh jata hain ,  aur 40 ke umar ke baad osteoporosis, Gout, Gathiya aadi hone ki sambhavna hoti hain. Lekin aap roj 1 glass malaai rahit doodh ka sewan karte hain to Osteoporosis ki aashanka kam ho jati hain. Isme paya jana wala calcium aur phosphorus daanto ke swasth ke liye bhi faydemand hain. Ismein bharpoo matra mein paya jane wala protein casein daanto ke liye bahut hi upyogi hain. Kyonki yeh daanto ke enamel par  patli parat bana leta hain. Jo daanto aur masudo ko swasth rakhne mein sahayak hoti hain. 

3- Dimaag ke liye faydemand 

Dimaag ko swasth aur tez banaye rakhne ke liye skimmed milk ka sewan aap rojana kare. Dimaag ko chust-durust banane ke liye rojana 1 glass doodh ka sewan faydemand hota hain. Aisa karne se aapki dimag ki capacity tez hogi. Yeh kai research se sabit ho chuka hain ki doodh mein na kewal paushtik tatv hote hain , Balki isse buddhi par positive asar padta hain aur mentally capacity badhti hain. 


4- Tanav se bachaye. 

Vartmaan aniyamit dincharya aur aswasth khan-pan ke saath kaam ki adhikta ke karan tanav aana lajmi hain. Isse bachne ke liye skim milk ka sewan kijiye. Raat mein sone se pahle 1 Glass gunguna doodh peene se maanspeshiyo aur naso ko araam milta hain aur neend achchi aati hain. Isse tension door hota hain. 


5- Tavcha nikhaare 

Skimmed Milk ke sewan se skin mein natural roop se nikhaar aata hain. Darasal Skim Milk mein calcium, protein aur chiknaai hoti hain , jisse tavcha par kasaav aata hain aur jhurriya kam hoti hain. Doodh mein paya jane wala Lactic Acid exfoliate aur enzyme ki  tarah kaam karta hain, jo Skin ko komal banaata hain. Isme Amino Acid hota hain , jo chehre ko nami pradaan karta hain. 


 
6- Wajan kam karta hain

Samanya Doodh mein fat adhik hota hain. Iske sewan se cholesterol ki matra badhti hain. Parinaam swaroop wajan bhi badhta hain. Jabki skimmed milk mein fat na ke barabar hota hain aur sabhi paushtik tatv maujood hote hain. Aise mein wajan kam karne ke liye iska sewan karna faydemand hain. Iske alawa cancer se bachav, dil ki bimariyo se bachav, aankhon ki roshini badhane ke liye doodh ka sewan kijiye.