Header Ads

Dry fruits bhi ho sakte hain sehat ke liye hanikarak.

Dry FruitsSukhe mewe ya Dry Fruits hamare dimaag ke liye tonic ka kaam karte hain. Vasa aur Cholesterol ki matra kam hone se yeh dil ke liye bhi upyogi hote hain. Lekin agar inhe sahi tarike se na khaya jaye to kabhi kabhi yeh sehat ke liye nuksaandayak ho sakte hain. 



Darasal sukhe mewe ki taasri garm hoti hain. Isliye inhe bhigo kar khaya jana chahiye. Kisi bhi Dry Fruit ko khane se pahle 6-8 ghante paani mein bhigo kar rakhna chahiye. Lekin dhyaan rahe ki jis paani mein aapne inhe bhigoya hain, us paani ka aap dobara prayog naa kare, Kyonki ismein Chhilke ki upari parat par mauzood dooshit kan shesh rah jate hain. Mewe se bane product ko khane ki bajaye inhe aise hi khana chahiye. 


Tab naa khaye Dry fruits

Dry fruits High protein ka source hote hain. Isliye jinhe Kidney rog, High Blood pressure, High Cholesterol yaa pachan se sambandhit koi bimari ho unhe doctor ki salah se dry fruits khane chahiye. 


Vikalp :- Yeh kafi mehnge hote hain. Isliye inki jagah par aap Moongfali, Ankurit aanaaz, Til, Soyabean, Daal aur alsi ka pryog kar sakte hain.