Header Ads

Neem ke fayde (Benefits of Neem)

NeemNeem ka swaad jitna kadwa hota hain, Utna hi yeh swasth ke liye faydemand hota hain. Neem kai bimariyo ko door karne mein madad karta hain. Neem hamare sharir, tavcha aur baalo ke liye bahut hi faydemand hain. Bahut hi kadwa hone ke karan Neem ka sewan sidhe nahi kiya ja sakta hain. Neem ka kadwapan puri tarah se door to nahi kiya ja sakta , Par kam jaroor kiya ja sakta hain. Neem ke kadwepan ko door kar iska fayda uthane ke liye iska paani piye. Neem ke paani mein paye jane wale swasthvardhak guno ke baare mein janiye. 



1. Khoon saaf kare :- 

Agar kisi vyakti ka khoon saaf na ho , To iske karan kai prakar ki problems hone lagti hain. Sharir ki immunity power kamjor ho jati hain aur bimariyo ke infection hone ka khatra kafi badh jata hain. Neem ka paani ek raktashodhak aushidhi hain. Yeh LDL yani Bad cholesterol ko kam karne mein madad karta hain. Saath hi kuch samay tak lagatar Neem ke paani ke sewan se fode-funsiyo aur skin se related bimariyo se chhutkara milta hain. 


2. Bimaariyo ka upchar 

Neem ka paani Malaria aur Piliya jaisi bimariya hone par faydemand hain. Apne Anti-Bacterial guno ke karan Yeh Malaria ke jimmevaar virus ko badhne se rokta hain aur saath hi liver ko majboot banata hain. Piliya hone par Neem ki pattiyo ke ras ko shahad ke saath mila kar sewan karne se yeh rog theek ho jata hain.


3. Chicken Pox ke dhabbe mitaye

Chicken Pox ke dhabbe bahut hi kharab hote hain aur yeh jaldi smapt nahi hote hain. Chicken pox ke nishaan ko saaf karne ke liye Neem ke ras ka massage kare. Niyamit roop se Neem ki ras se chehre par massage karne se kuch hi dino mein Chicken pox ke dhabbe door ho jayenge. Iske alawa Neem ka Juice Skin se related diseases   jaise eczema aur small pox ke hone ki sambhavna ko kam karta hain.

4. Aankhon ke liye faydemand 

Mobile aur computer ke adhik istemal se aankhon ko kafi nuksaan pahuchta hain. Nazar kamjor ho jati hain. Aankhon ki roshini badhane ke liye Neem ke ras 2 boonde aankhon mein daale, Isse roshini badhegi. Agar aapki aankon mein Conjunctivitis rog ho gya hain, To Neem ke paani ke prayog se vah theek ho jata hain.

 
5. Madhumeh se bachaye


Diabetes ek kharatnaak bimari hain aur aniyamit dincharya ke karan iske mareezo ki sankhya lagatar badh rahi hain.  Blood mein sugar ki matra badhne se diabetes ki bimari hoti hain. Agar aap rojana Neem ka juice piyenge to aapke blood ka sugar level nahi badhega aur madhumeh jaisi bimari nahi hogi. Madhumeh ke rogi bhi Neem ka juice peekar apne blood sugar level ko normal kar sakte hain.


6. Pyria mein faydemand

Masoodo se khoon aane aur pyria hone par neem ke tane ki bheetari chhal ya patto ko paani mein dalkar kulla karne se fayda hota hain. Isse masude aur daant majboot hote hain. Neem ke phulo ka kadha banakar peene se bhi daanto ki bimariyo mein fayda hota hain. Neem ka daatun roj karne se daanto ke ander paye jane wale bacteria khatm ho jate hain. Kul mila kar neem ka kisi bhi tarike se prayog daanto ke liye faydemand hota hain.




7. Garbhavstha mein piye

Neem ka paani pregnancy ke dauraan peene se samay-samay par yoni mein hone wala dard kam ho jata hain. Prasav ke dauran hone wale dard ko kam karne ke liye Neem ke ras ka massage karna faydemand hota hain. Delivery ke baad mahila ko agar kuch dino tak neem ka paani diya jaye to uska khoon saaf hota hain aur infection se bachav hota hain.


8. Chehre ke liye faydemand 

Neem ka paani chehre ko nikhaarne aur keel-muhanso ki samsya ko door karne ke liye bahut hi prabhavkari hain. Muhanso ki samsya hone par Neem ka ras chehre par lagaye, Isse Pimples ki problems door hoti hain. Agar chehre par neem ke paani ka massage kiya jaye to Chehre ka moisture barkarar rahta hain aur skin glow karne lagti hain. Yeh Natural tarike se skin ko glow karne mein madad karta hain. Iska side-effect bhi nahi hota hain.