Header Ads

Shahad ke Fayde (Benefits of Honey)

HoneyAgar aap Shahad (Honey) ke fayde janana chahte hain toh yeh post aapke kaam ki hain. Shahad jise aam bol chal ki bhasha mein Madhu ya honey bhi kaha jata hain, iske prayog se hamare sharir ke kai rog door ho jate hain. Jaha iska istemal natural beauty paane ke liye kiya jata hain, vahi ise motapa kam karne ke liye Nimbu Paani ke saath mila kar piya jata hain. Shahad se Sharir Swasth, sudaul aur sunder banta hain. Aaj hum aapko Honey ke Natural Guno ke baare mein bata rahe hain , Jo sharir ki charbi ko kaise door karta hain. 

Aaiye jante hain Shahad ke fayde (Benefits of Honey in Hindi) :-

Shahad se is tarah door kare motapa


→ Shahad sharir ki charbi ko badi hi tezi ke saath galaata hain. Iske alawa Dieting karte waqt agar aap shahad ko apne aahaar mein shamil karenge to aapke sharir ko poshan milega aur Dieting se hone wale nuksaan se bhi aap bach jayenge. 


→ Jyadatar Shahad ko pani ke saath mila kar lena chahiye. Shahad ko gun gune paani ke saath peene se jaldi charbi ghat jati hain aur saath hi jyada mehnat bhi nahi karni padti hain. 


→ Shahad aur Nimbu ka mishran Weight Lose plan ke liye bahut hi labhkari hain. Agar aap rojana Nimbu ke ras aur shahad ko mila kar gun gune paani ke saath piyenge to din bhar aap active rahne ke saath saath wajan par bhi control kar sakenge.


→ Agar aapko Jyada bhookh lagti hain to Doodh ke saath Shahad ki Kuch boonde mila kar rojana piye. Isse na kewal aapka pet bharega balki sharir ko jaroori poshan bhi milega. 


→ Agar aap shahad ko apne bhojan mein shamil karna chahte hain to iski kuch boondo ko dahi mein dalkar khaye. Isse aap pure din bhar active bane rahenge. 


→ Kai log jo dieting karte hain, Ve salad mein sweetener ki jagah honey ka prayog kar sakte hain. Bas kuch boonde shahad ki daale aur healthy salad khaye. Yeh ek bahut hi healthy snacks sabit ho sakta hain. 


→ Agar Jaldi motapa kam karna hain to khana khane ke baad garam paani mein shahad aur nimbu ka ras dal kar peene se calorie burn hoti hain. Saath hi workout karne ke turant baad bhi ise peene se energy milti hain aur sharir active rahta hain. 


→ Shahad anya product ke mukable wajan ko kam karne mein jaldi asar karta hain. Iske sath hi yeh dieting karte waqt sharir ko bharpoor poshan deta hain.


→ Sahad ka prayog paani ke saath karna jyada faydemand hota hain. Agar Garm paani ho to aur bhi jaldi wajan kam hota hain. 


→ Nimbu aur Shahad ko ek saath lene se wajan bahut hi jaldi kam ho jata hain. Yeh bahut hi badhiya nuskha hain. Agar aap roj Garam Paani, Shahad aur Nimbu ko mila kar peete hain to bahut hi jald aapka wajan kam ho jayega. 


→ Kya aapko Pata hain ki shahad khane se gussa control mein rahta hain. Ji haan, Shahad ko Doodh mein mila kar peene se gussa control hota hain. 


→  Shahad ko Oatmeal mein mila kar nashte mein khane se wajan kam hota hain. 


Sunder baal Khubsoorati mein chand chaar laga dete hain. Lekin jab baalo ki dekh bhal mein laparwahi barti jati hain, to balo ki kai tarah ki problem paida ho jati hain. Balo ka jhadna bhi ek aisi hi samsya hain, jo kisi ko bhi tension mein daal sakti hain. Aaj har dusre vyakti ko balon ki samsya hain, Ise door karne ke liye aap shahad ka prayog kar sakte hain. Baalo ki samsya yani ki hair problems ko door karne mein Shahad bahut hi accha mana gya hain.


Paryog :- Shahad sabhi jagah asaani ke saath mil jata hain. Anek aushadhiya guno ke karan shahad ko guno ki khan aur sharir ke liye amrit ka darja diya jata hain. Shahad se balo ko jhadne se bhi roka ja sakta hain. Is bimari se bachne ke liye Dalchini aur Shahad ka pryog kiya jata hain.  Baal jhadte ho to Jaitoon ke tel  mein 1 chammach shahad aur 1 Chammach DalChini ke powder ka paste banaye. Nahane se pahle is paste ko Seer par laga le. 15 Minutes baad ise garam paani se dhoye. Aisa karne par kuch hi dino mein baalo ke jhadne ki samsya door ho jati hain.



Shayad kuch hi log jante honge ki lambi umar ke liye kisi khas jadi-buti ki jaroorat nahi hain. Balki usay shudhh Shahad ke rojana sewan se paya ja sakta hain. Ab to scientist ne bhi shahad ke gunkari vishestaon ko swikar kar rahe hain. Doctors bhi apne kai patients ko shahad khane ki salah de rahe hain. Kyonki shahad upyogi dawa se bhi adhik gunkari hota hain. 


Shahad ke gun aur dharm ke vishay mein yeh mana jata hain ki shahad jitna purana hoga utna hi gun dharm me shreshth hoga. Is prakar ke shahad mein lauh tatv bahut adhik matra mein paya jata hain. 

Shahad ke kuch khas fayde aur bhi hain jaise, Shahad khane se aapko yeh benefits hote hain.

¶  Shahad kewal 5 minutes mein sharir mein bach jata hain. 


¶ Yeh Jeevan shakti ka bhandaar hain. 


¶ Isme Glucose aur fructose bharpoor matra mein paya jata hain. 


¶ Shahad ki tasir garm hoti hain. 


¶ Subah-sham ko shahad garm paani mein mila kar lene charbi kam hoti hain. 


¶ Aankhon mein shahad ki 1 boond rojana dalne se aankhon ki roshini badhti hain. 

¶  Adarak ka ras mein shahad mila kar peene se khansi-Jukam theek ho jate hain. 

¶  Nimbu aur Shahad ke ras se chechak ke daag theek ho jate hain. 


¶ Shahad ke niyamit sewan se dil aur dimaag ki shakti badhti hain.