Header Ads

Ande Ko kis tarah se khaye taki aapko na ho koi nuksaan balki mile fayda. (How to Eat Eggs)

EggsJin logo ko body banani hoti hain, Ve protein drinks mein kachche Ande milate hain. Egg mein mulyavaan poshan hota hain, Phir chahe wah pakaya hua ho ya phir kachcha. Egg safety centre ki  report ke anusaar Yadi aap kachchi jardi (Yolk) khate hain, To ande ke bacteria se dushit hone ki stithi mein aapke bimar hone ka khatra badh jata hain. Darasal hame kya khana chahiye aur kis tarah se  khana sahi rahta hain, In sabhi baaton ka hame puri jankari nahi hoti hain, Aur ham vaise hi khana shuru kar dete hain, Jaise koi hame bata de. Isliye aaj ham aapko bata rahe hain ki Ande ki jardi kachchi khana sahi hain ya Paki.



1. Bacteria ko nasht kare


Jab aap anda pakate hain, To Jardi ki banavat aur swaad mein badlav aa jata hain. Alag-alag log ise alag-alag tarike se banate hain. Vaise agar iski jardi ko paka kar khaya jaye to iske bheetar mauzood bacteria mar jate hain. 

   
2. Cholesterol ko kam kare 

Ande ki jardi ko kachcha khane ki sifarish nahi ki jati hain, Lekin ise halka sa pakaya gya ho to jardi mein jyada poshak tatv ki mauzoodagi bani rahti hain. Saath hi , Bad cholesterol bhi isse nahi hota hain.

3. Kachcha na khaye Yolk 

Ande ko kabhi kachcha na khaye. Ise ubaal kar khane se Ande mein mauzood Iron aur Biotin ki matra bharpoor milti hain. Saath hi Bacterial Salmonella ke infection ka khatra bhi kam ho jata hain. Ande ko tal kar ya phir doodh mein paka kar khaya ja sakta hain. 


4. Bird Flu se bachav

Bird flu ke shikar bird se 10 dino tak iske virus nikalte rahte hain. Aise mein sahi prakar se Meat aur ande ko paka kar khaya jaye to Bird flu hone ka khatra kam ho jata hain. WHO ke anusaar Chiken aur Anda khane mein koi khatra nahi hain, Bas is baat ka dhyaan rakha jana chahiye ki ise tez aanch par acchi tarah se pakaya gya ho. Ando ko ubalkar ya phir tel mein acchi tarah se  tal kar khana chahiye. 


5. Salmonella Infection se bachav

Dushit bhojan khane se 8 se 72 ghanto ke bheetar manushya mein Salmonella infection ki wajah se dast, pet mein dard ke saath bukhaar ho jata hain. Iske anya lakshan Ulti, Seer dard aur thand lagna bhi hain. Yeh infection Kachcha anda khane se ho sakta hain. Halaki yeh lakshan aamtaur par 4 se 7 din mein kam ho jate hain. 


6. Safe Handling ke tips

Yadi aap ando ko freeze mein bahut kam tapmaan par rakhte hain aur Unhe acchi tarah se pakate hain, To bacteria se bimar hone ka khatra nahi rah jayega. Saath hi inhe kharidne se pahle acchi tarah se check karle ki yeh gande na ho aur saath hi inke size mein koi kharabi na ho. Inhe jitna jaldi ho sake to refrigerate kare. Aisa karne se bacteria ka badhna kam ho jata hain. 


7. kin logo ko anda nahi khana chahiye.

Ve log jinhe High Blood pressure, Diabetes aur heart se related bimariya ho, unhe ande ka peela wala hissa (yolk ya jardi) kisi bhi halat (Kachcha ya pakka) nahi khana chahiye. Isme Cholesterol bahut adhik matra mein hota hain, Jo Heart ko nuksaan pahucha sakta hain. 



Anda khane ke fayde :- 

○  Ande ko protein, Calcium aur Omega-3 ka accha source mana jata hain. Yeh sabhi poshak tatv hamare shari ke liye jaroori hote hain. Protein se hamari maanspeshiya majboot hoti hain. Omega-3 se body mein accha cholesterol ka nirman hota hain. Iske alawa Calcium se daant aur haddiya majboot banti hain.

Ande khane se aapke sharir ko jaroori amino acid milta hain, Jisse sharir mein stamina badhta hain. 

○ Ande mein Vitamin A paya jata hain. Jo balo ko majboot banane ke saath Aankhon ki roshini ko badhata hain. 


○ Ande mein milne wala Folic acid aur Vitamin B12 Breast cancer se bachata hain. Vitamin B12 Dimag ko majbooti deta hain aur yaaddast ko bhi badhata hain. 

 ☼  Ande ki Jardi mein Vitamin D hota hain, Jo haddiyo ko majboot banata hain. Saath hi body ki immunity power ko bhi badhata hain. 

○  Pregnant women ko apne khane mein Ande ko jaroor shamil karna chahiye. Yeh bhroon ke vikasit hone mein madad karta hain. 

○ Wajan ko lekar chintit rahne wale logo ko ande ka safed hissa hi khana chahiye, Ismein Fat nahi hota hain.
 
 

Anda Khane ke Nuksaan 

► Anda khane se pahle yeh check karle ki wah theek tarah se pakaya gya ho, Kyonki adh pake ande se salmonella infection ka khatra rahta hain. Ande ko theek tarah se nahi pakane par isse sujan, ulti aur pet ki kai problems ho sakti hain.

Ande ka jyada sewan karne wale logo mein cancer hone ka darr rahta hain. Ek research ke anusaar, Hafte mein teen se jyada ande khane se protest cancer hone ka khatra badh jata hain. 


► Jin logo ko High Blood pressure, Diabetes aur heart se related bimariya ho, unhe ande ka peela wala hissa (yolk ya jardi) kisi bhi halat (Kachcha ya pakka) nahi khana chahiye. Isme Cholesterol bahut adhik matra mein hota hain, Jo Heart ko nuksaan pahucha sakta hain.


► Bahut Ande khane se lakwa, Napunsakta, Pairon mein dard aur motape ki samsya ho sakti hain.