Header Ads

Smartphone choose karne se pahle in baato ka rakhe dhyaan, Best Smartphone chunana hoga asaan.

Smartphones
Market mein in dino competition itna badh gya hain ki companies ek se badhkar ek features aur design wale smartphone launch kar rahi hain. Yeh sabhi handset apni-apni khasiyat ke chalte popular hain. Aise mein jo log naya smartphone khareedne ja rahe hain unke saamne sabse badi samsya yeh aati hain ki, kaun sa smartphone Sabse accha smartphone  hain ?  To aaiye jante hain smartphone kharidne se pahle kin-kin baato ka khyaal rakhna chahiye. .....



1. Operating System :- Kisi bhi smartphone mein OS yani ki Operating system ka sabse aham roll hota hain. Yeh OS hi ek sadharan smartphone ko smart banata hain. To jab bhi aap naya smartphone khareed rahe hain, to uske OS par ek nazar jaroor dale. 

- Android OS :- Agar aap acchi Google service chahte hain, to iske liye Android OS kafi behtarin hain. Isme users ko sabhi Google services jaise :- Gmail, Map, Hangout, YouTube aadi ki suvidha milegi. Iske saath hi Google Play store par lakho Apps maujood hain. Jisse users apni marzi aur jaroorat ke hisab se oon Apps ko apne smartphone mein install kar sakte hain. Is OS ki ek aur khasiyat yeh hain ki , Android Handset ko aap apne PC mein asaani ke saath connect kar sakte hain. USB cable ke jariye File transfer ki ja sakti hain. Vahi in handset ki kimat 4,000 se lekar 50,000 tak hain. Aise mein aap apni pocket ke hisab se Android ka koi bhi handset khareed sakte hain. Gaurtalab hain ki is samay market mein latest Android Lollipop OS Handset bikri ke liye available hain. 

- Windows Phone :- Windows OS ke smartphone users kam milenge. Is handset mein aapko Android ki tarah Apps ki bharmaar nahi milegi. Windows OS par based sabhi smartphone mein jaroorat ke hisab se kuch App Pre-Installed hote hain.Vaise agar aap ek accha hardware wala phone khareedna chahte hain to uske liye windows se behtar koi nahi hain. Yeh OS Microsoft dwara banaya gya hain, Jismein Maps, Drive+ aur navigation jaisi service milegi.

- iOS :- Yeh Os sirf iPhone mein milta hain. Apple dwara taiyaar kiya gya yeh Os kafi behtarin hain. User interface se lekar app store tak sabhi features kafi behtarin hain. Halaki isme aapko Android ki tarah Free mein jyadatar Apps nahi milega. Isme jyadatar apps payable hain. Vaise Operation quality ki baat kare to iOS se accha koi OS nahi hain. Lekin iske handset mahnge hone ki wajah se aam janta ke beech utna jyada popular nahi hain. iOS wale handset ki kimat lag-bhag 50,000 Rupaye ke aas-paas hain. Isi ke chalte ise kam log hi khareed pate hain.

 
2. Processor :- Kisi bhi smartphone ke smoothly work karne ke peeche processor ka kafi yogdaan hota hain. Market mein Dual Core, Quad Core aur Octa Core processor wale smartphone mil jayenge. Ab yaha dhyaan rakhna jaroori hain ki, Inme se kaun sa processor sabse best hain. Vaise normally baat kare to Octa Core processor ko kafi tez mana jata hain. Lekin Processor ki performance Handset ke OS par depend karti hain. Dual Core wala iOS handset Quad Core wale Android smartphone se kafi behtar hota hain. Aise mein jab bhi smartphone khareede, to Processor ko uske OS ke saath compare karle.  Sirf Processor bada hone se phone accha nahi mana jayega.


3. Display :- Kisi smartphone ki display ko check karne ka sabse accha tarika yeh hain ki, usay different angle se dekha jaye. Yani ki Display ke colour ko change karte huye uski Visibility Condition ko check kiya ja sakta hain. Agar aap Fablet lena chahte hain, Isme Full HD (1080p) display honi chahiye. Vahi 5inch ki display ke liye HD (720p) screen best mani jati hain. Halaki users WVGA (800 x 480 px) se kam resolution wale smartphone ko avoid kar sakte hain. AMOLED aur IPS technology wali display best mani jati hain.

 4. RAM :- Market mein 1 GB se lekar 4 GB RAM ke smartphone milte hain. Aise mein apni jaroorat ke hisab se handset kharide. Vaise aamtaur par 2GB RAM wale smartphone ko kafi accha mana jata hain.


5. Storage :- Kisi smartphone mein storage sabse aham part hota hain. Market mein 4 GB Se lekar 64GB tak ki storage power wale handset maujood hain. Aise mein apni jaroorat ke hisab se memory ko chunana hoga. Agar aap E-Mail, Social Network, Photographs, Video aur Music aadi ka jyada istemal karte hain, to iske liye 4GB storage prayapt hain. Vahi agar koi user dher saare App aur Game ikattha karke rakhna chahta hain , Uske liye 8-16 GB tak ka smartphone best option hain. Halaki agar kisi handset mein storage power kam hain, to usay SD card Chip laga kar storage ko badhaya ja sakta hain.


6. Size :- 4 inch se lekar 5 inch tak ke smartphone ko best mana jata hain. Game khelna ho ya phir movie dekhna 4-5 inch ka smartphone kafi hain. Agar aapka smartphone 5 inch se bada hoga, to usay ek haath mein carry karne mein badi preshani hogi. Iske saath hi badi screen wale phone kafi heavy hote hain, Aise mein 4 ya 4.5 inch ka smartphone users ke liye best hain.

7.  Camera :- Agar aap photography ka shauk rakhte hain, to iske liye smartphone mein ek accha camera hona bahut hi jaroori hain. Kisi bhi smartphone mein 5-8 Megapixel ka rear camera best mana jata hain. Iske alawa photo ke liye LED Flash hona bhi bahut hi jaroori hain. Vahi agar aap Selfie lovers hain, to jis smartphone mein front camera accha ho , vah aapke liye behtarin sabit ho sakta hain.

8. Battery :- Agar smartphone ki baat kare , To isme battery back up ka role aham nahi hota hain. Kyonki market mein jitne bhi smartphone hain, Sabhi ki battery lagbhag 16-20 ghante ke aaspaas chalti hain. Vaise 2000 mAh ki battery standard mani jati hain. Iske saath hi battery ka kharch hona bhi is baat par nirbhar karta hain , ki uski screen kitni badi hain, Screen jitni badi hogi, Battery utni adhik kharch hogi. Halaki market mein kai smartphone companies 24 ghante ka battery backup dene ka wada karti hain, jo galat hain, aapko yaha yeh dhyaan rakhna hoga ki agar smartphone mein internet chal raha hain to battery ka kharch hona lajmi hain.