Header Ads

Kachche Kele ke fayde aur Nuksaan. (Benefits & Loss of Green Banana)

Kachcha KelaKachcha kela dikhne mein jitna accha hota hain, Utna khane mein bhi. Jyadatar iska sewan Sabzi aur snacks ke liye kiya jata hain. Kela kachcha ho ya pakka, Sehat ke liye bahut hi faydemand hota hain. Ismein mauzood bahut saare vitamins, Minerals, Fibers Blood Sugar control karne ke saath hi cholesterol aur wajan ko kam karne mein madadgar hote hain.


Kachcha kela ke fayde (Benefits of raw banana) 

Starch ka good source hain. 

Resistant starch ek alag tarah ka starch hota hain jo sharir ke liye ek jaroori tatv hain. Yeh sharir ki kai prakar ki antrik kriyaon ko sucharu roop se sampann karne mein aham bhoomika nibhata hain. Kacche kele mein iski kafi adhik matra payi jati hain. Research mein yeh baat samne aayi hain ki bhojan mein Resistant Starch ki matra Diabetes, Apach, Gas aur dil ki bimariyo ke saath hi cholesterol level ko bhi control karti hain. Yeh acche health ke liye bahut hi jaroori hain. Iske saath hi yeh food ko jaroori energy mein badalta hain, Jo wajan kam karne mein bhi kargar hota hain. 

 
Vitamin C ki uchit matra 

Kachche kele ka bhojan mein upyog kar sharir ke liye jaroori vitamin C ki kami ko pura kiya ja sakta hain. Sharir ko swasth rakhne ke liye Vitamin C mahatvpurn bhoomika nibhata hain. Vitamin C anti-oxidants ke taur par kaam karta hain Jo Skin infections se bachane ke saath hi kai bimariyo se ladne mein sahayak hota hain. Iski kami se scurvy, Anemia, Masoodo ke samsya aur Heart related kai samsyaon ka khatra bana rahta hain. 


Fiber ki acchi matra 

Kachche kele mein Fiber ki prayapt matra hoti hain. Ek cup ubale kachche Kele mein 3.6 Gram Fiber paya jata hain, Jo pachan kriya ko durust rakhne mein madad karta hain. Iske saath hi yeh diabetes aur dil ki bimariyo ke khatre ko bhi kam karta hain. Khane mein ise shamil karne se jaldi hi wajan kam kiya ja sakta hain. Sharir ko rojana kareeb 14% Fiber mile to pet sambandhit kai saari bimariya door rahti hain. Kela khane se prayapt matra mein Fiber ki purti ho jati hain.

Potassium ka khazana

Sabhi hari sabziya potassium ka khazana hoti hain. Kachcha Kela bhi unme se ek hain. Jyadatar log apni daily diet mein potassium ki utni matra nahi le pate , Jitni sharir ko jaroorat hoti hain. Din bhar iski kami ko kuch na kuch kha kar pura kar pana mushkil hain. Iske liye jaroori hain Potassium se bharpoor matra wale khadya padarth ka sewan. Kela kha kar iski kami ko pura kiya ja sakta hain. Iski bharpoor matra sharir mein Fluids aur Electrolytes ke balance ko sahi rakhti hain. Saath hi muscles, nervous system bhi sahi dhang se kaam karte hain. 

Vitamin B6 ka source 

Vitamin B6 ki sabse jyada matra kachche Kele mein payi jati hain. Yeh paani mein asaani se ghulne wala vitamin hain, Jo Carbohydrate, Protein aur Metabolism ke liye jimmevar chemicals ke banane ke liye bahut hi jaroori hota hain. Motape ko control karne ke liye bhi kachcha kela bahut hi jyada faydemand hota hain. Vitamin B6 Hemoglobin ke banane mein bhi sahayak hota hain, Jisse Cells tissue aur baki ango ko jaroori matra mein oxygen ki supply ho jati hain. 


Kachche Kela se hone wale Nuksaan 

Kachche Kele mein Pake huye kele ke mukable Anti-oxidants ki matra bahut jyada payi jati hain, Jo kai baar sehat ke liye Nuksaandayak hoti hain. Iske alawa, Isme mauzood Starch ki matra se Gas ki problem bhi ho sakti hain.