Header Ads

Aankhon ke liye Best foods (Best foods for Healthy Eyes)

healthy Diet for healthy EyesManav sharir mein aankhon ka sabse mahtavpuran sthan hain. Yeh bahut jaroori hain ki hum iski dekhbhaal sahi roop se kare varna agar yeh kharab ho gyi to aap jindagi bhar ke liye apahiz ho jayenge. Lihaza aankhon ko nirogi aur swasth rakhna bahut hi jaroori hain. Par bahut se aise log hain jo body building karke sharir ko to balwan bana lete hain magar aankhon ko kharab hone se nahi bacha pate hain.


Aajkal bacchon ki aankhe bhi badi tezi se kharab ho rahi hain aur aisa kewal unki badalti huye routine ki wajah se hain, Kyonki pahle bacche park aur sadak aadi par bahar khelne ke liye chale bhi  jate thay, Ab to computers par lagatar game khelne aur paas se t.v. dekhne ki wajah se vah apni aankho ki roshini ko khote ja rahe hain.


Aankhon ko nirog rakhne ke liye Vitamin A, B, C aur D vishesh labhkari hote hain. Aapko din mein 2 phal aur khoob saari hair sabziya to jaroor khani chahiye kyonki isme jaroori vitamins aur Minerals bhari matra mein paye jate hain. Yadi sharir mein Vitamin A ki kami ho gyi hain to aapko Ratondhi aur dhoondhla dikhaai padne lagega, Kai baar to insaan Andha bhi ho jata hain.


Vitamin A sahi matra mein lene se aankhon ki roshini bani rahti hain. Aaiye jante hain ki aankhon ki roshini ko banaye rakhne ke liye kaun se aahaar lene chahiye.

Healthy Eyes ke liye kya khaye :-

1. Hari Pattedar sabziya :- Palak ka saag, Patta gobhi aur Hari pattedar sabziyo mein Carotenoids paya jata hain, Jo peele rang ka padarth hota hain.Yeh Macula (Retina ke area jo ki central vision ke liye jimmevar hota hain) ko bachata hain. 

2. Vitamin A,C aur B vale aahar :- Aise phal aur sabziya jinme adhik matra mein Vitamin A,C aur Beta Carotene shamil hota hain, Unhe apni diet mein shamil kare. Peele rang ki sabziya hame din ki roshini mein theek dekhne ki power deti hain. 




3. Lahsun aur pyaz :- Lahsun aur Pyaz mein sulfur bhari matra mein paya jata hain jo aankhon ke liye anti-oxidants paida karta hain. 

4. Soya Milk :- Soya Milk mein Fat kam aur protein adhik hota hain. Isme jaroori Fatty Acid, Vitamin E aur Sujan kam karne wale tatv hote hain. 


5. Anda :- Ande mein Amino Acid, Protein, Sulfur, Lactine, Luetene, Sistene aur Vitamin B2 hota hain. Vitamin B cell ke repair karne mein badi bhoomika nibhata hain.


6. Gajar aur Shimla Mirch :- Hari, Lal, Peeli aur Narangi rang ki sabziyo mein accha poshan paya jata hain aur inme Vitamin C aur A hota hain, Jo ki ek Anti-oxidants hote hain. Anti-oxidants se aankhon ki suraksha hoti hain. 

7. Mewe : Mewa khane se high Vitamin milta hain jo Cholesterol ko low rakhta hain aur saath hi cellular membrane mein balance banaye rakhta hain. Saath hi yeh liver mein se Vitamin A ko aankhon ke prayog ke liye istemal karne ke liye usay bahar nikalta hain. 


8. Dairy Products :- Doodh, Butter, Malai, Cheese aur Paneer aadi mein Vitamin A ki acchi matra payi jati hain. Yadi aankhon mein Vitamin A ki kami ho gyi hain to raat ke samay dhoondhla dikhayi dene lagta hain. Iski kami aapko andha tak bana sakti hain. 


9. Machhali (Fish) :- Machhali mein Omega-3 Fatty Acid hota hain jo ki chhoti-chhoti khoon ki naliyo ko kharab hone se bachata hain. Koshish kare ki hafte mein do din machhli jaroor khaye.