Header Ads

Mehndi ke upyog, Desi nuskhe aur Fayde (Benefits of Henna)

MehndiMehndi ek aisa kudrati paudha hain, Jiske patto, Phoolo, beejo aur chhalo mein aushadhiya gun paye jate hain. Festivals aur utsavo ke pahle din suhagin striyo ke liye hatheliyo par mehndi ka shringar, Sundarta aur saumyata ka parteek mana jata hain. Prachin kaal se hatheliyo par mehndi lagane ki pratha rahi hain. Ayurvedik gartho mein iske rog-nivarak guno ki mahima ka varnan milta hain. 



Sach puchhiye to Mehndi saundarya mein char chand laga deti hain. Kisi dulhan ke shingaar mehndi ke bagair adhura hi lagta hain. Shaadi hi nahi, Balki Rakhi, Teej, Holi, Eid, Deepawali aur Karwa Chauth jaise kai mahatavpurn tyoharo par mehndi lagana Sunder aur shubh mana jata hain. Mehndi jaha hatheli aur baalo ki sundarta ko nikharti hain, Vahi swasth ke liye bhi bahut labhkari hain. Aaiye jante hain Mehndi ke fayde ke baare mein :- 


Mehndi ke upyog aur Nuskhe 

1. Mehndi ke patto mein aise tatv paye jate hain, Jinse khane ko kharab karne wale Bacteria khatm ho jate hain, Isliye haatho par mehndi lagane se Bacteria bhojan par koi prabhav nahi daal pate hain.

2. High Blood pressure ke rogiyo ke talwe aur hatheliyo par mehndi ka lep samay-samay par lagana faydemand hota hain. Isse Anidra door ho kar blood pressure normal hone lagta hain. 

3. Taza hari pattiyo ko paani ke saath pees kar sharir par lep karne se adhik labh hota hain. Isse garmi ki jalan se aaram milta hain. Talwo par lep karne se naksir band ho jati hain. 


4. Mehndi ke phool uttejak, Dil ko shakti dene wale hote hain. Iska kadha heart ki safety ke liye aur neend lane ke liye upyog kiya jata hain. 


5. Mehndi ke beejo ka upyog Bukhaar aur Mansik rogo ke liye kiya jata hain. Khooni Dast mein bhi Mehndi ke beejo ka istemal kiya jata hain. 


6. Mehndi ki chhal ka prayog Piliya, Badhe huye Jigar aur tilli, Pathari, Jalan, Kusth Rog aur Charm Rogo mein kiya jata hain. 

7. Mehndi ke patte Sirdard, Khansi, Jukaam, Khujali, Kusth Rog, Netr, Tilli aur Masik dharm sambandhi rogo mein labhkari hote hain. 


8. Mehndi ke powder mein jara sa Nimbu ka ras mila kar haatho aur pairo ke nakhoono par iska lep karne se naakhono ka khurdurapan khatm ho kar unme chamak aa jati hain. Pairo mein jalan aur Aidiyo ke phatne par yeh lep faydemand hota hain. 


9. Jali huyi ya Chhale padi huyi jagah par mehndi ka churan Shahad mein mila kar turant laga dene se rahat milti hain. 

10. Mooh ke chhalo aur gale ki sujan mein mehndi ke patto ke kadhe se kulla karne se labh hota hain. Mehndi ke patto ke Juice ko  Mishri ke saath  mila kar peene se peshab saaf aata hain.