Header Ads

Khubani khane ke fayde (Benefits ko Apricot)

ApricotGarmiyo mein phalo ki khoob demand rahti hain. Kai log taste ke liye inhe khate hain, to kai faydo ke liye. In phalo mein Khubani bhi ek hain, Jisme aushadhiya gun mauzood hota hain. Sehat aur tavcha ke liye yeh bahut hi labhdayak mana jata hain. Khubani khane se sehat ko  kya fayde ho sakte hain , Aaiye jante hain.



Liver ki bimari ko door rakhe. 

Khubani kha kar liver ko surkshit rakha ja sakta hain. Kharab Khan-pan ka sabse jyada aur jaldi asar liver par padta hain, Jisse Hepatic Steatosis bimari hone ki sambhavna sabse jyada rahti hain. Lekin Khubani Liver ki androoni safaai karke is bimari ko door rakhti hain.

Aankhon ki roshini badhata hain. 

Aankhon ke liye sabse jyada jaroori Vitamin A khubani mein bharpoor matra mein paya jata hain. Sirf 1 cup kati huyi khubani ko kha kar 60% tak Vitamin A ki kami ko pura kiya ja sakta hain. Saath hi umar badhne ke saath aankhon mein hone wali kai prakar ki bimari, Aankhon ka sukhapan, Aankho mein paani aane ki samsya ko door kiya ja sakta hain. 


Sujan ki samsya se rahat

Khubani mein kai saare Flavonoids ek saath mauzood hote hain jo Anti-Inflammatory ka kaam karte hain. Kai saari researches mein yeh baat samne aayi hain Khubani mein mauzood  Catechins kisi bhi prakar ki sujan (Chahe wo jodo mein ho ya kisi chot ke karan ho ) mein rahat dilati hain.


Pachan sahi rakhe 

Ek chhoti si Khubani ko kha kar lagbhag 3% Fiber ki matra li ja sakti hain. Isme mauzood ghulansheel Fibers  pachan kriya sahi rakhte hain. Saath hi kai prakar ke pet se related problems ko bhi door rakhte hain. Isme khane mein mauzood jaroori nutrients ko observe karne ki capacity hain.


Cholesterol ko kam karti hain. 

Ghulansheel Fibers blood cholesterol ko kam karne ka kaam karte hain. Yeh pet aur aant dono ke liye faydemand hain. Cholesterol badhne ka sabse jyada asar heart par hota hain. Dil ki bimariyo ka karan badha hua cholesterol hi hain. Fiber ki acchi matra kai saari bimariyo ko door karne mein madadgar hoti hain.


Dil ki bimari ko door rakhe 

Khubani kafi hud tak dil ki bimariyo ko bhi door rakhti hain. Khubani mein Anti-Oxidants jaise Carotenoids aur Flavnoids mauzood hote hain, Jo cholesterol ki matra ko kam karte hain. Saath hi khubani mein bahut saare alag-alag tarah ke nutrients bhi mauzood hote hain jo motapa, Diabetes jaisi bimariyo ko door rakhte hain. 


Anemia se bachata hain. 

Khubani mein ek aisa Iron paya jata hain jo body mein dheere-dheere observe hota hain. Isse wah lambe samay tak body mein bana rahta hain. Isse Anemia ki problem nahi hoti hain. Khane mein laparvaahi aur busy lifestyle ke chalte kai baar khane ki jaroori cheeze paas hote huye bhi usay kha nahi pate. Isi karan khoon ki kami ho jati hain, To is samsya se bachne ke liye Khubani ka sewan jaroor kare, Saath hi Vitamins se bharpoor fruits ka bhi sewan kare. 


Cancer door rakhe

Cancer ki sambhavna ko Khubani ke kuch tukde kha kar door kiya ja sakta hain. Iska Juice, Shake ya kaccha khana bhi bahut faydemand hota hain. Anti-Oxidants ki matra DNA ko damage hone se rokti hain.