Header Ads

Fava Beans khane ke fayde (Benefits of Braod Beans)

Sem ki phalli
Fava Beans jaisa ki naam se pata chalta hain, Hare rang ki phaliyan hoti hain, jo apne kavach ke ander rahti hain. Ise aam bol-chal ki bhasa mein Faba Beans, Fava Beans, Sem ki phalli, Sem, Same, Broad Beans aadi kaha jata hain, ise khane se bahut hi labh milta hain. Sem ki Sabzi khane ke bade hi fayde hain. Phoshak tatvo se bharpoor Fava Beans (Sem) mein Protein aur ghulansheel fiber bharpoor matra mein hote hain. Saath hi isme Fat bahut hi kam hota hain aur isme Vitamins aur Minerals bahut hi acchi matra mein paye jate hain. Jab bhi aap Sem ki sabzi ka sewan karte  hain to yeh aapke Dil ke liye bahut hi faydemand hain aur aapke wajan ko control karne mein aapki help karti hain. 



Sem, Fava Beans ki phali (Sabzi) khane ke fayde (Labh, Benefits) :- 

1. Dil ko healthy rakhta hain :- Isme bharpoor matra mein aise poshak tatv paye jate hain jo Dil ke liye bahut hi faydemand hote hain. Iske alawa Sem mein ghulansheel fiber hote hain. Ghulansheel Fiber yukt aahaar aapke sharir mein blood sugar level aur saath hi Cholesterol level ko control karte hain.

2. Wajan control karta hain :- Abroad Beans mein Protein bharpoor matra mein paya jata hain. 1/4 cup mein 10 gram protein paya jata hain. Sem mein Fibers adhik matra mein paya jata hain aur isme calorie bahut hi kam hoti hain , jiske karan aapka wajan control mein rahta hain. 

3. Poshak tatvo se bharpoor :- Phal aur sabziyo ki tarah Sem ki phali bhi poshak tatvo se bharpoor khadya padarth hain, jiska arth hain ki yeh ek aisi sabzi hain jisme sharir ke liye jaroori sabhi poshak tatv mauzood hote hain aur saath hi isme calorie bhi  kam hoti hain. Saath hi isme Copper aur Iron paye jate hain jo Blood ke red cells ko banane mein madad karte hain. Isme Phosphorus aur Magnesium paye jate hain, Jo ki haddiyo ki majbooti ke liye bahut hi jaroori hain. Magnesium ke saath hi isme Potassium paya jata hain jo blood pressure ke level ko control karta hain.

4. Aapko khush rakhta hain :- Ji, ha yeh special kism ke beans khane se aapko khushi milti hain. Aisa isliye hain kyonki isme Amino acid Jise L-Dopa (Dopamine) kaha jata hain, bharpoor matra mein paya jata hain. Yeh ek chemical hota hain jo aapke mood ko badhiya banaye rakhta hain aur aapko depression se bachata hain.

5. Aapke pet ko bhara rakhta hain :- Isme protein bharpoor matra mein paya jata hain jiske karan yeh ek aisa snacks hain jo aapke pet ko bhara rakhta hain. Jisse aapko bhookh kam lagti hain aur aapko wajan kam karne mein madad milti hain. Masali hui Fava beans ko genhu ke toast par laga kar kha kar to dekhiye.


6. Iron se bharpoor :- Ek cup paki huyi Faba beans mein purusho ki liye rojana jaroori  Iron ki matra ka 32% aur Mahilaon ke liye jaroori rojana Iron ki matra ka 14% hissa paya ja sakta hain. Sharir ko Red blood cells ke nirman ke liye Iron ki sahi matra ki jaroorat padti hain. Jo ki isme bharpoor matra mein paya jata hain.

7. Calcium ka accha source :- Calcium haddiyo aur daanto dono ke vikas ke liye bahut hi jaroori hota hain. Iske alawa jab dil ke kaam karne ki baat aati hain to bhi Calcium ek poshak tatv ban jata hain.


8. Kabz hone se rokta hain :- Fiber Aanto se waste nikaal kar aapke pachan tantra ko sahi rakhta hain.


9. Immune system majboot banaye :- Vitamin C asal mein ek Anti-oxidant hota hain jo Cancer paida karne wale free radicals aur Immune system ki kamiyo ko door karta hain. Sem mein Vitamin C ki acchi khasi matra payi jati hain.


10. Paani ki matra ko balance banaye rakhta hain :- Sem mein potassium paya jata hain. Potassium mein Electrolytes hote hain jo aapke sharir mein Paani aur Acid ke level ko balance karte hain. Jyadatar Paseene ke karan Electrolytes kam ho jate hain, Jinhe sharir mein lagatar paida karna jaroori hota hain.

11. Oxygen lene mein sahayak :- Iron Hemoglobin ka ek mahatvpooran component (Agent) hain. Hemoglobin fefdo aur anya koshikaon mein oxygen pahuchane ke liye jimmevar hota hain. Hemoglobin banane ke liye sharir ko iron ki jaroorat hoti hain.

Keywords :- सेम खाने के फायदे, सेम की फली खाने के लाभ, सेम की सब्जी के लाभ, Sem khane ke fayde in hindi, Benefits of Sem, Fava Beans, Abroad Beans in Hindi, Sem ki phali (Phalli) khane ke fayde.