Header Ads

Baingan khane ke fayde (Benefits of Brinjal)

BRINJALBaingan khane ke fayde (Began/ Brinjal / Bengan khane ke benefits) ke baare mein agar aap janana chahte hain to is post ko jaroor padhe. Baingan ko aubergine aur Eggplant ke naam se bhi jana jata hain. Isme kai tarah ke poshak tatv paye jate hain. Kai tarah ke health benefits ke karan Baingan kai logo ki favorite sabzi hain. Kuch researches mein yeh baat samne aayi hain ki Baingan mein kisi dusre plant ke compare mein jyada Nicotine paya jata hain. 


Aise mein yeh question jaroor dimaag mein aata hain ki Baingan kya swasth ke liye labhkari hain ? Par hum aapko bata dete hain ki Nicotine ki kafi kam matra isme payi jati hain aur isse sharir ko koi nuksaan nahi pahuchta hain. Ek baar aap Baingan se hone wale labh ko jan jayenge to aapke mann mein iske acche ya bure hone ka swaal hi nahi paida hoga. 


Aaiye hum aapko Baingan se hone wale health benefits ke baare mein batate hain. Ise janane ke baad aap jaroor hi apni diet mein Baingan ko shamil karenge. 


Baingan Ke Gun :- 

1. Free Radicals se bachata hain :- Free Radicals har tarah ke cell ko damage karne ke liye jimmevar hota hain. Baingan mein bharpoor matra mein Anti-Oxidants paye jate hain, Jisse yeh Free Radicals se ladta hain. Baingan mein paye jane wale Anti-Oxidant mein Chlorogenic Acid mukhya hain jo Free Radicals par asar karke bimari ko rokta hain. 

2. Healthy heart ke liye :- Baingan ke niyamit sewan se cholesterol level ko kam kiya ja sakta hain. Saath hi yeh blood pressure ko normal rakhne mein help karta hain. Jab cholesterol level aur Blood pressure normal rahta hain to isse dil ki bimari ka khatra kam ho jata hain. 


3. Healthy Brain :- Yeh Baingan khane ka sabse bada fayda hain. Baingan mein Phytonutrients paye jate hain jo Cell membrains ko kisi bhi tarh ke nuksaan se bachate hain. Saath hi isse brain memory power bhi badhti hain. 

4. Extra Iron ko hataye :- Baingan ke niyamit sewan se extra Iron kam hoga. Polycythemia ke mareez ke liye yeh kafi labhkari hota hain. Baingan mein Nasunin nam ka ek tatv paya jata hain jo extra iron ko hatane mein madad karta hain.

5. Bacteria ko rakhe door :- Baingan aapko bacteria se door rakhkar aapko infection aadi se bachata hain. Ismein bharpoor matra mein Vitamin C paya jata hain, Jo ki infection se protect karne mein aapki madad karta hain. Aap Baingan ko apni diet mein shamil karke iska fayda utha sakte hain.

6. Immune System ko kare majboot :- Baingan aapke immune system ko bhi majboot karta hain. Isse aap healthy rahne ke saath hi fit bhi rahenge. Isme paye jane wale Fight-o-nutrients aur Vitamin C body ko bahut hi fayda pahuchate hain.

7. Smoking Chhudaaye :- Smoking ki aadat chhodne ke liye agar aap natural Nicotine replacement therapy ke baare mein soch rahe hain to Baingan iska ek behtrin option hain. Aisa isliye hain kyonki Baingan mein Nicotine paya jata hain.

8. Healthy Skin :- Baingan mein Minerals, Vitamin aur Fibers paye jate hain. Yeh Detoxification karne mein madad karta hain, jisse skin glow karne lagti hain. Baingan mein paya jane wala Anthocynin ek powerful Anti-Aging Agent hota hain.

9. Hair Care :- Baingan khane se sar ki skin hydrate rahegi. Baingan mein paye jane wale kuch enzyme hair follicles ko courage karte hain, jisse baal badhne ke saath saath healthy bhi rahte hain.

10. Hydrate Skin :- Yeh Baingan khane ka sabse bada fayda hain. Baingan mein kafi matra mein paani paya jata hain. Jisse aapki tavcha hydrate bani rahti hain. Saath hi baingan ke sewan se aap Dry skin aur isse judi problems se nijaat pa sakti hain.