Header Ads

Hari pattedar sabziya khane ke fayde (Benefits of Green Leafy Vegetables)

Hari Pattedar sabziya khane ke fayde, Benefits of Green Leaves Vegetables, Benefits of Leafy vegetables, Sabzi khane ke fayde, Sabzi khane ke labh, हरी सब्जी खाने के फायदे , पत्तेदार सब्जियों में विटामिन, Hari Sabzi mein Vitamin. Vitamin in Green Vegetables, सब्जीयो के लाभ, हरी सब्जी से सेहत बनाये. Health benefits of green vegetables.health tips in hindi.
Leafy VegetablesHari pattedar sabziya na kewal khane ka swaad badhati hain, Balki sehat ko bhi sahi rakhti hain. Inke kai prakar ke aise tatv mauzood hote hain, Jo na sirf health , Balki skin aur baalo ke liye bhi bahut faydemand hote hain. Pachne mein asaan yeh sabziya pet ko kai tarah ke gambhir bimariyo se bhi bachati hain. Inhe paka kar khane ke alawa kaccha khana ya inka soup peena bhi utna hi faydemand hota hain. Aise hi bahut saari sabziya hain jinke patte bhi sabziyo ke taur par istemal kiye jate hain.



Palak, Bathua, Chaulaai ka saag, Pyaz ka saag, Sarso, Patta Gobhi, Methi aur Muli ke patte khane mein istemal kiye jate hain. Aaiye jante hain in Pattedar sabziyo se hone wale fayde ke baare mein .. .. ..

1. Cancer se bachav :- Ghulansheel Fiber, Calcium aur Iron pet ki androoni safaai karte hain. Isse pachan se sambandhit samsyaen door hoti hain. Sahi pachan, pet se sambandhit kai prakar ki samsyaon se nijat dilata hain. Colon Cancer se bachav ke liye kai prakar ke minerals ka bhojan mein hona bahut hi jaroori hain. Hari pattedar sabziyo mein bharpoor matra mein minerals paye jate hain. Inhe regular use karne se Cancer hone ka khatra kam ho jata hain.


2. Khoon ki kami ko door kare  :- Palak, Sarso se lekar Methi, Muli aur pyaz ke patte Iron ka bahut hi accha source hote hain. Khane ki laparvaahi aur busy schedule aur lifestyle ke chalte sharir mein sabse pahle khoon ki kami honi shuru ho jati hain. Iske baad dheere-dheere kai bimariya sharir mein ghar karne lagti hain. Inse bachne ke liye pattedar sabziyo ka sewan karna labhdayak hota hain. Yeh sharir mein khoon ki kami nahi hone deti hain.

3. Jawan rakhta hain :- In hari sabziyo ko khane mein shamil karne se blood clotting ki samsya nahi hoti hain. Vitmin K ki matra umar badhne ke saath hone wali kai tarah ki samsyaon , Jaise Cardiovascular bimariya, Haddiyo ki toot-foot , Kidney mein hone wale infections ki problems ko door rakhti hain. Kisi bhi hari pattedar sabzi ka sirf 1 cup rojana sewan karne se jaroori Vitamin , Vitamin K ki poorti ho jati hain.


4. Cholesterol kam karta hain :- Hari pattedar sabziyo mein cholesterol ko kam karne ka gun hota hain. Cholesterol ki adhik matra kai bimariyo ka karan hoti hain. Pet mein Acid ki matra Motape ko badhati hain. Lekin hari pattedar sabziyo mein mauzood fiber is samsya se nipatne mein madadgar hota hain. Saath hi yeh Bad Cholesterol ko kam karke , Yeh kabz, Acidity jaisi kai problems se rahat dilati hain.

5. Aankhon ki roshini badhaye :- Jyadatar pattedar sabziya Carotenoids, Lutein aur Zeaxanthin ka khazana hoti hain, Jo sharir ko energy dene ke saath aankhon ki sehat ko bhi banaye rakhti hain. Tez dhoop, dhool aadi ke karan aankhon mein kai tarah ki samsyaen paida hone lagti hain. Inse bachav ke liye hari sabziya bahut hi kargar hoti hain. Lutein aur Zeaxanthin Motiyabind, Aankhon ke sukhepan, Lal hone aur aankhon se paani aane ki samsya se nijat dilate hain. Isse umar badhne ka asar aankhon par nahi padta hain.

6. Energy banaye rakhti hain :- Sarso, Palak, Bathuaa, Methi aadi pattedar sabziyo mein Vitamin B5  sabse adhik matra mein paye jate hain. Yeh khane mein mauzood carbohydrate ko glucose mein badalne ka kaam karta hain, Jisse sharir mein energy bani rahti hain. Inke sewan se thakaan, kamjori jaisi samsyaein koso door rahti hain. Vitamin B asaani se paani mein ghul jata hain, isliye iski matra jyada lene se koi khas fark nahi padta hain.

7. Haddiyo ki majbooti ke liye :- Pattiyo ka kadwapan bhale hi swaad bigadta hain, Lekin yeh sehat ke liye dugna asardar hota hain. Iske kadwepan ka karan isme mauzood Calcium hota hain. Iske rojana sewan se 1000 mg Calcium ki bharpaai ki ja sakti hain. Calcium haddiyo ko majboot banane ke saath daanto ke liye bhi bahut hi jaroori hain. Saath hi umar badhne ke saath Osteoporosis ke khatre ko kam karta hain. Doctors mahilaon ko khas taur par delivery hone ke baad sahi matra mein calcium lene ki salah dete hain. Iske liye hari pattedar sabziyo se behtar option nahi hain.


8. Blood sugar ko control kare :- Potassium blood sugar level ko control karne ka kaam karta hain. Iske liye log khane peene mein kai tarah ke parhez karte hain. Saath hi , Exercise karne ke saath supplements ka istemal karte hain, Lekin is baat se anjaan hote hain ki Hari pattedar sabziyo mein potassium ki kafi matra hoti hain, Jo blood sugar level ko control karne mein sahayak hoti hain.


9. Damakti tavcha ke liye :- In pattiyo mein mauzood anti-oxidants jaise Vitamin C, Lutein aur Zeaxanthin tavcha ke liye bahut hi faydemand hote hain. Vitamin C na sirf jodo ke beech mein liquid bana kar Arthritis jaisi bimari se bachata hain, Balki tavcha ki bhi gaharaai se safaai karke usay chamakdar banata hain. Iske rojana istemal se baalo ko bhi bharpoor poshan milta hain. Baal lambe, ghane, kaale aur majboot bante hain.

10. Motapa kam kare :- Vitamin, kai saare minerals aur Fight-o-Chemicals ki mauzoodagi sehat ke liye bahut hi faydemand hoti hain. Fiber motapa kam karne mein kaam karta hain. Ise khane se bhookh kam lagti hain, Jisse wajan apne-aap kam hone lagta hain.