Header Ads

Tofu khane ke fayde (Benefits of Tofu)

soyabean paneer
Tofu ko Soybean (Soyabean) Paneer bhi kaha jata hain aur iske khane ke bade hi fayde hain. Ise soyabean ko alag-alag akaar ke tukdo mein baant kar banaya jata hain. Aaj ke samay mein yeh ek controversy product hain. Kuch logo ka kehna hain ki yeh kafi gunkari hota hain, vahi kuch ise nuksaandayak hone ki baat karte hain. Halaki Tofu apne swaad aur khushboo ke karan har tarah ke pakwan mein istemal kiya jata hain.



Sacchai yeh hain ki Tofu aaj hamare bhojan ka ek jaroori ansh ban gya hain. Yeh na sirf sasta hota hain, Balki protein se bhi bharpoor hota hain. Aaj ki is bhaag-daur bhari jindagi mein logo ke paas itna samay kaha ki vah kisi bhi cheez ko khane se pahle unke labh ke baare mein jane. Fast food ka badhta craze isi ka example hain. Yeh saari baatein apni jagah sahi hain, Lekin aapko Tofu (Soyabean Paneer) ke mamle mein isse hone wale health benefits (Swasth labh) ke baare mein jaroor janana chahiye. Tofu  se sharir ko dhero tarah ke fayde pahuchate hain aur kai tarah ke recipes mein iska istemal hota hain.


Tofu ke baare mein kai tarah ke swaal hain. Kya tofu khadya padarth hain? yeh faydemand hain ya nuksaandayak ? Vagairah-vagairah. Jin logo ko Soyabean se Allergy hain, ve Tofu se doori bana sakte hain. Par dusre log hafte mein 2 baar iska sewan kar tasty food ko enjoy kar sakte hain.


Aaiye jante hain Tofu Khane ke fayde (Soya Paneer khane ke fayde) 

1. Tofu se hame kya milta hain ? 

Tofu Protein ka ek behatrin source hain. Kya aap yakeen karenge ki sirf aadhe cup tofu se hame 10 gram protein milta hain. Itna hi nahi is 10 gram protein mein 88 Calorie energy hoti hain. Yeh energy bina tavcha wale Chicken se sirf 45 calorie kam hain. Yahi wajah hain ki tofu ko itna faydemand mana jata hain. Saath hi Tofu mein Zinc, Iron, Selenium, Potassium aur anya kai Vitamins aur minerals paye jate hain.


2. Masahari ka ek accha vikalp

Agar aap shakahari hain to yeh maans ka ek accha vikalp hain. Logo mein galatfahmi hain ki meat ya chicken khane wale log shakahari logo ki tulna mein jyada protein lete hain. Research se yeh pata chala hain ki Tofu ka niyamit aur prayapt sewan karne wale Meat/Chicken khane walo ke protein se mukabla kar sakte hain. Tofu se sharir ko fayda to pahuchta hi hain, Saath hi Non-Veg ka accha option hone ke karan Shakahari logo ke liye kisi vardaan se kam nahi hain.




3. Tofu se milne wale health benefits 

Vaise to Tofu mein kai labhdayak tatv paye jate hain, Par isse kuch khas swasth labh bhi hote hain. Ise khane ka sabse ahem fayda yeh hain ki isse sharir mein Bad cholesterol ka level kam hota hain. Agar aap Meat ki jagah Tofu ka sewan karenge to Triglyceride aur Cholesterol ka level kam ho jayega. Shodh se yeh pata chala hain ki Tofu Masik dharm band ho jane ki sthithi mein faydemand hota hain. Itna hi nahi Tofu umar ke asar ko kam karke haddiyo ko majboot karta hain. Kya itna kuch janane ke baad aap Tofu khana pasand nahi karenge? Khair Faisla aapke haath mein hain.

4. Purak ka kaam 

Tofu In sabse itar Tofu purak ka kaam bhi karta hain. Swasth labh ke alawa Tofu aapko chust-durust banaye rakhta hain. Isme Isoflavones paye jate hain, jo ki jane-mane Anti-oxidants hain. Anti-Oxidants sharir mein paida hone wale free radicals ko khatm karte hain, Jisse aap umar se jyada jawan nazar aate hain. Shodh mein paya gya hain ki agar jyada matra mein Tofu ka sewan kiya jaye to yeh Breast cancer, Cardiovascular Disease aur Osteoporosis ko bhi rokta hain. Yeh bhi paya gya hain ki agar theek-thaak matra main iska upyog kiya jaye to yeh mahilaon ki reedh ki haddi ko majboot karta hain. In sabhi fayde ko dekhte huye Tofu ek gunkari Paneer ke roop mein samne aata hain. To agar aapke mann mein Tofu khane ka vichar aaye to jyada mat sochiyega. Har cheez ki Virodhi (opposite) baatein to hoti hi hain, par aap healthy tofu ka chunav karke apne aap ko tandrust rakh sakte hain.