Header Ads

Acchi neend ke liye jaroori tips (Tips for best sleep ever)

Best Sleep Ever Tips in HindiBhag-daur bhari zindagi aur 24x7 lifestyle mein ek bahut badi problem Anidra duniya ke samne aayi hain. Anindra yani ki neend ka nahi aana ya phir bistar mein kafi der tak pade rahne ke baad badi mushkil ke saath neend aana. Yeh ek aisi problem hain jisse shahri lifestyle bitane wala lagbhag har shkhas joojh raha hain. Aise mein yeh maan liya gya hain ki agar aap 24X7 Life jee rahe to aapko acchi neend naseeb nahi hogi. Jabki aisa bilkul nahi hain. 

Experts ki maane to bhaag-daur aur tamam uthal-puthal wali life mein acchi neend ko apna saathi banaya ja sakta hain. Jankaar batate hain ki sabse pahle hame apne sone ki jagah ko comfortable banana chahiye, phir adhera ya phir halka madhyam roshini kar de. 

To aaiye jante hain acchi neend kaise le ?

1) Lambi neend ko bye-bye :-  Jab bhi aapko sone ka mauka mile, iska yeh matlab nahi hain ki aap jaroorat se jyada lambi neend le. Yeh agli baar aapko sone mein dikkat paida karti hain. Saath hi kai saari bimariyo ko invite bhi karti hain.

2) Chaaye, Coffee ya Energy Drink ;- Kai log sone se pahle Chaai ya coffee ka sewan karte hain. Garm doodh bhi acchi neend laane mein sahayak hota hain, Lekin saath mein yeh jaroori hain ki aap dophar mein kya khate ya peete hain. Iska dhyaan rakha jaye. Yani ki behtar hoga ki aap Dophar ke baad koi energy drink ka sewan na kare. Shaam 4 baje ek cup chaaye aapke liye faydemand sabit ho sakti hain.

3) Sone se pahle khana :- Kabhi bhi khana khane ke theek baad bistar par na jaye. Iske saath hi acchi neend ke liye halka bhojan le. Jyada khana bhi acchi neend ke liye samsya paida kar sakta hain. Raat ko khane mein Pasta, Hari Sabzi, Tamatar ka soup, Chicken aadi khana chahiye, kyonki yeh acchi neend ke liye labhkari hain.

4) Sone se pahle "thodi-thodi" :- Din bhar ki thakaan aur raat mein halke bhojan ke baad Wine ya Alcohol aapke stress level ko kafi kam karta hain. Gahri neend ke liye yeh kafi madad karta hain. Lekin aapko ise ek small limit mein lena chahiye. Kyonki Alcohol aapki health ke liye nuksaandayak hoti hain. Lekin thodi si matra mein lene se yeh acchi neend lene mein madad kar sakti hain. Hamara maksad yeh nahi hain ki aap galat raste par chale jaye. Aap chahe to is alcohol wali tip ko ignore kar sakte hain.

5) Raat mein nahana :- Kai log raat ko sone se pahle nahate hain. Kai iske liye garm paani ka istemal karte hain. Jabki sone se pahle nahana Anindra ko invite karta hain. Sone se pahle hamara sharir ek set temperature tak pahuchta hain, Jabki sone ke theek pahle nahane se isme rukaavat paida hoti hain. Isliye sone se theek pahle nahana nahi chahiye.

6) Sone se pahle Yoga ya exercise ;- Sone se pahle Yoga karna ya kam thakaane wala exercise ya stretching aapke liye labhkari ho sakta hain. Aap is dauran dimaag ko shant karne ke liye meditation bhi kar sakte hain.

7) Phone aur T.V. :- Jaha tak mumkin ho sake sone se pahle Phone aur T.V. ko bye bye kar de. Kai baar log phone par samay dete hain jiske baad unki neend ud jati hain.

8) Kamre ki roshini :- Neend aur roshini ko lekar har kisi ki apni-apni suvidha ho sakti hain. Lekin sabse best yeh hoga ki aap kamre mein madhyam peeli roshini rakhe. Agar aap kitab padhte-padhte sona pasand karte hain to Table Light mein jyada roshini wala bulb na lagaye.

9) Bedroom se theek se lock karde :- Sone se pahle Bedroom ko theek se lock kar de. Isliye aisa nahi hain ki koi aapke kamre mein aa jayega, balki aisa karne se aapka mann shant hoga aur ek security feeling aayegi, jisse aap nishachint ho kar so sakenge.

10) Din beet gya, Jyada na soche :- Kai log bed par jate hi din bhar ki ghatnao aur baato par soch-vichaar karne lag padte hain. Yeh galat hain, Aisa karne se aap swaalo-jawabo mein ulajhte hain. Isse bache aur din tak hi rahne de. Nayi aur acchi subah ke liye mann ko shant rakhe.