Header Ads

Sitaphal khane ke fayde (Benefits of Custard Apple)

Photo:- Sitaphal,SharifaSitaphal jise aam bol chal ki bhasha mein Sarifa, Sharifa, Custard Apple, Sugar Apple bhi kahte hain, ise khane ke bade hi fayde hain. Sita Phal ek bada hi tasty fruit hain, Lekin log iske baare mein badi kam jankari rakhte hain. Sita phal (Sharifa) aam taur par August se November ke beech ke period mein aane wala phal hain. Agar Ayurveda ki mane to Sarifa sharir ko thandak pahuchata hain. Yeh Pitshamak, ulti band karne wala, paushtik, Cough aur Virya-vardhak, Maas aur rakt-vardhak, Balvardhak, Dil ke liye bahut hi labhkari hota hain.


Log Sita phal ko Bhagwan Ram aur Mata Sita se jodte hain, Aisi manyta hain ki Mata Sita ne jo phal Bhagwan Ram ko bhent kiya tha, Uska naam Sitaphal pad gya. Agar aap din mein kewal ek Sitaphal ka sewan karte hain to aapko kai saari bimariyo se nijat mil jati hain. Aaiye jante hain ki Sitaphal (Sarifa, Custard Apple) khane se aapko kaun si bimariyo se aap nijat pa sakte hain. 


Phal hi nahi dawaai bhi hain Sitaphal (Sarifa) 

Ganth ka ilaj :- Pakke huye Sitaphal ka guda kootkar potli bandhne par gaanth phoot jate hain. 

Ganjapan door kare :- Iske beej ko Bakri ke doodh ke saath pees kar seer par lep karne se, Seer ke ude huye baal jaldi hi ug jate hain aur dimaag ko bhi thandhak milti hain. 

Joo ka upchar :- Sitaphal ke beejo ka bareek churan bana kar paani se lep taiyaar kare. Raat ko is lep ko baalo mein laga le aur subah hote ise dho le. Do teen din aisa karne se seer ki sabhi juye (Jooyein) mar jati hain. Is baat ka aap hamesha dhyaan rakhe ki Iska Lep aapki aankhon mein nahi padna chahiye, Kyonki Sarifa ke beej se nikalne wala tel Zehareela hota hain, isliye ise baalo mein iska lep lagate waqt aankho ko isse bacha kar rakhna chahiye. 


Majboot dil ke liye :- Jinka Dil kamjor ho, Heart beat jyada ho, High Blood pressure ho, ghabrahat hoti ho, Aise mareezo ke liye Sitaphal ka sewan labhkari hota hain. 


Body ke temperature ko kam kare :- Ve log jinka sharir har waqt jalta rahta hain aur garm rahta hain. Unhe niyamit roop se Sarifa khana chahiye. 


Skin banaye khubsoorat :- Sharifa mein Vitamin A bharpoor matra mein paya jata hain jo skin ko healthy rakhne mein madadgar hota hain. Yeh Skin par aane wale aging ke nishaano se bhi bachata hain. 


Pet ke liye :- Iske ghulansheel Fibers hote hain, Jo pachan kriya (hajme) ke liye behtarin hote hain. 


Aankh, Baal aur Skin ke liye :- Sharifa mein Vitamin A bharpoor matra mein paya jata hain jo hamare aankho, baalo aur skin ke liye bahut hi faydemand hota hain.


Diarrhea mein labhkari :- Jab Sharifa kachcha phal ho tab usay kaat kar sukha de aur pees kar rogi ko khilaye. Isse diarrhea (dast) ki samsya sahi ho jati hain.

Sitaphal (Sharifa) itne guno se bharpoor hain ki shayad hi sharir ka koi hissa aisa ho jise yeh fayda na pahuchata ho. Sitaphal (Sharifa) Khane ke aur fayde aur iske guno (Gun) ke baare mein aur janiye :-

1. Sitaphal (Sharifa) mein Wajan badhane ki capacity hoti hain aur agar aap wajan badhane ke saare jatan karke thakk gye hain to taiyaar ho jayiye ek naye aur meethe upay ke liye. Aapko bas Sitaphal ko apni diet ka hissa banana hain. Aur aap manchaha figure pa sakenge bahut hi jaldi.

2. Sitaphal mein natural Anti-Oxidant Vitamin C bahut adhik matra mein hota hain. Vitamin C mein Sharir ke rogo se ladne ki shakti yani ki immune system ko badhane ki capacity hoti hain, To har roj ek Sitaphal jaroor khayiye aur bimariyo ko door bhagayiye.


3. Kya aap aksar kamjori mahsoos karte hain ? Sitphal aapki yeh preshani door kar sakta hain. Sitaphal bahut hi energy ka source hota hain. Iske sewan se thakaavat aur muscles ki kamjori bilkul mahsoos nahi hoti hain. Bas Sharifa ko apni diet mein jaroor shamil kare.


4. Vitamin B complex se bhara Sharifa dimaag ko thanda karta hain. Yeh aapko chid-chidepan se bacha kar depression ko door rakhta hain. To bas Sitaphal apnayiye aur mansik shanti payiye.


5. Sitaphal aapke daanto ke liye bhi bahut hi faydemand hain. Isko rojana kha kar aap apne daanto aur masoodho mein hone wale dard se chhutkara pa sakte hain.


6. Khoon ki kami yani Anemia se bachan bilkul asaan hain. Sitaphal ka rojana sewan khoon ki kami ko door karta hain aur Ulti aadi ko bhi door karta hain.


7. Sitaphal mein mauzood Magnesium sharir mein Paani ko balance karta hain aur is tarah se yeh jodo mein hone wale acid ko hata deta hain. Yeh Acid gathiya rog hone ka ahem wajah hote hain. Is tarah se Sitaphal Gathiya rog se hame door rakhta hain.


8. Sitaphal mein Sugar ko shokh lene ka gun hota hain. Yeh Sugar level ko normal banaye rakhta hain.


Sitaphal khana shuru kijiye aur lijiye jindagi ka pura maza. Vaise bhi har fruit ke ander Nature ne itne gun bhar diye hain, agar hum in fruits aur vegetables ka sahi tarike se istemal karte hain to hum apne aap ko healthy rakh sakte hain aur saath hi kai saari bimariyo se bhi door rah sakte hain.