Header Ads

Juon se chhutkara paane ke gharelu nuskhe (Home Remedies for Head Lice)

Juon se nijat paane ka tarikaEk mahine mein ek Joo 50 se 100 tak Ande de sakti hain, 10 dino ke bheetar in Ando mein se Juyein nikalne lagti hain jo Khoon pee kar jinda rahti hain. Isliye sirf Juon se nahi balki inke ando se bhi jise aam bolchal ki bhasha mein Leekh kaha jata hain, Unse bhi mukti paana bahut hi jaroori hain. Baccho mein sabse aam bimari hain unke baalo mein juyein hona hain. Yeh samsya 3 se 12 saal tak ke baccho mein payi jati hain.

Vaise baalo mein Juyein hona jyada khatarnaak to nahi hain aur na hi yeh kisi bimari ki wajah banti hain, Lekin jab Juon ki wajah se baalo mein jab khujali hoti hain, to bacche ka mann padhai mein nahi lagta hain aur veh sahi tarah se so bhi nahi pata hain aur chid-chida bhi ho jata hain. Jab yeh khujali jyada badh jati hain to baalo ki jado mein funsiya hone ka sambhavna hoti hain. Yadi iska jaldi ilaj na kiya jaye to yeh aage chalkar bhayankar roop dharan kar sakti hain.

Agar bacche ke sar mein juye hain, to kuch dino tak usay school na bheje, taki baki baccho mein veh na phail sake, Isi tarah agar kisi bacche ke baare mein pata chalta hain, to uske parents ko jaroor aagaah kare. Baccho ke baalo mein joo ki samsya se sabhi maayein preshan rahti hain. Inhe nikaalna bahut hi mushkil hota hain. Halaki ki kuch Shampoo aur Tel iske liye bazaar mein mauzood hain, Lekin unme chemicals mile hote hain. Inse baccho ke baal kharab ho jate hain. Kuch logo ka manana yeh hain ki Selfie ke karan bhi Juyein phail rahi hain, Halaki Iske koi proof nahi hain Lekin ho sake to seer ek dusre se milaane se bache. Aaj aise hi kuch asardar gharelu nuskhe aur upay ke baare mein batayenge jisse Joo ki samsya ko khatm kiya ja sakta hain.

Juyein khatm karne ke tarike, Home Remedies for Louse, Lice. Juon ka ilaj, Joo ka ilaj, Juyein khatm karne hain. Joouon ko hatane ka tarika. tips for Lice. Dheel aur Leekh marne ka tarika aur gharelu nuskhe. 

1. Lahsun aur Nimbu ka ras :- Lahsun Juon ko maarne mein bahut hi asardar hoti hain. Nimbu Juon se lekar unke Ando tak ko khatm kar deti hain. Lahsun ki kali ko pees le aur usme Nimbu ka ras mila kar paste bana le. Oos paste ko baalo par lagakar 20-30 minutes ke liye chhod de. Baalo ko kisi kapde ya shower Cap se dhak kar rakhe. Iske baad Mild shampoo se dho le.


2. Kapoor aur Nariyal Tel :- Yeh nuskha bahut hi sasta aur asaan hain. Nariyal ka Tel juon ko maarne mein kargar hain. Aur kapoor Juon ko apne Anti-Parasitic gun ke karan maarta hain. Isse baalo ki quality bhi acchi ho jati hain. Nariyal ke tel mein Kapoor ko pees kar acchi tarah se mila le aur ise acchi tarah se baalo ki jado mein lagaye.

3. Pyaaz ka ras :- Juon ko maarne ke liye aisi cheezo ka istemal kiya jata hain, Jinse unka dum ghoot jaye, Pyaaz ka ras nikaal kar 10 minutes tak baalo mein lagaye, Muli ke ras ka bhi istemal kiya ja sakta hain.

4. Neem Tel :- Neem ka Anti-Bacterial aur Anti-Microbial gun Juon se chhutkara dilata hain. Neem ko pees kar iska ras nikaal le. Ise aur bhi jyada asardar banane ke liye Tulsi ki pattiyo ka ras bhi mila sakte hain. Ise baalo ko aadha ghante tak laga kar rakhne ke baad paani se dho le.

5. Petroleum Jelly :- Petroleum Jelly (Vaseline) ka upyog aam taur par Hontho aur skin ki khushki ko door karne ke liye kiya jata hain, Par baalo mein laga kar juon se mukti mil sakti hain. Raat mein baalo mein Vaseline lotion laga kar soye aur Subah baal dhone se pahle kanghi kar juyein hata le.

6. Sitaphal ke beej (Sharifa ke beej) :- Yeh phal juon ke ilaj ke liye behtarin option hain. Iske beej ko sukha kar pees le aur paste bana baalo mein acchi tarah se laga le. Isme besan milane par yeh baalo ke liye aur bhi accha ho jata hain.

7. Vinegar ya Sirka :- Sirka ka Astringent gun Joouon ko khatm karta hain. Rooi se sirke ko bacche ke scalp par acchi tarah se laga kar raat bhar kapde se baandh kar chhod de. Agle din subah shampoor se dho le. 

8. Methi :- Methi ka Anti-Fungal, Anti-Bacterial gun Juon se chhutkara dilane mein madad karte hain. Methi ko raat bhar bhigo kar rakhne ke baad usay pees le aur phir is paste ko baalo mein aadhe ghante tak laga kar rakhe. Iske baad baalo ko dho le.

Sirf Juye maarna hi kafi nahi hain, Unhe baalo se nikaalna bhi jaroori hain, Koi bhi tarika apnao par Juon wali kanghi istemal karna na bhoole. Agar ghar mein kisi ke sar mein juyein hain to oos vyakti ki kanghi aur tauliye ka istemal na kare.

Agar gharelu nuskho se asar hota na dikhe to Juyein maarne wale shampoo ka istemal kare, Lekin dhyaan rahe inse nuksaan bhi ho sakta hain. Inhe kam se kam 10 minutes tak baalo par laga kar rakhna jaroori hain. Shampoo ke sahi istemal ke liye Doctor ki salah jaroor le.