Header Ads

1G, 2G, 3G, 4G aur 5G mein antar kya hain.

1G,2G,3G,4G,5GHaal ke dino mein 4G technique kafi charcha mein hain. Mobile Service provider companies 4G sewa launch karne ki soch rahi hain. Ek taraf jaha Reliance Geo desh bhar mein bade paimaane par saal ke aakhir tak 4G service launch karne wali hain. Vahi, Airtel ne desh bhar ke kai hisso mein yeh sewa Launch bhi kar di hain, Jabki Vodafone apne network ko update karne ka kaam kar rahi hain. Ummeed hain ki agle 2-3 Mahino mein Vodafone bhi 4G service ko launch kar degi. To aaiye jante hain Mobile service ki Techniques aur kya kya difference hain in alag-alag generation ki mobile taknik mein :- 

1G :- 1G takneek duniya mein wireless phones ki pahli technique mani jati hain. Yeh taknik pahli baar 1980 mein samne aayi aur 1992-93 tak iska istemal kiya jata raha. Isme Data ki speed 2.4 KBPS thi. Is takneek ki sabse badi khami iski roaming ka na hona tha. Pahli baar America mein 1G mobile system ne is technique ka upyog kiya tha. Is technique mein Mobile phone par voice ki quality kafi kharab thi, Saath hi yeh battery bhi bahut khapat karti thi. Is technique par chalne wale Mobile bhi kafi heavy hua karte thay. Yeh Analog system par aadhaarit takneek thi.

2G :- 2G takneek ki shurvaat 1991 mein Finland mein hui. Yeh Global System For Mobile Communication par adhaarit takneek hain jise short form mein GSM Technology kaha jata hain. Is takneek mein pahli baar digital signal ka istemal kiya gya. Is technique ke jariye phone calls ke ilawa picture message, Text Message aur Multimedia message bheja jane laga. Is technique ki sabse badi khoobi yeh thi ki ise istemal karne se kafi kam energy consume hoti  hain aur Phone ki battery kafi jyada chalti hain. Is takneek par data ke aane-jane ki speed 50,000 Bits per second tak ho sakti hain. Yeh takneek mukhya roop se aawaaz ke signal ko broadcast karta hain. 2G Takneek se Download aur Upload ki maximum speed 236 KBPS (Kilo Byte per Second) hoti hain. Iske advance version ko 2.5 G aur 2.7G ka naam diya gya tha, Data ke exchange ki speed bhi badh gyi thi.

3G :- 3G takneek ki shuruvat 2001 mein Japan mein hui. Is takneek ka Standardization International Telecommunication Union (ITU) ne kiya tha. Is technique ke madhyam se text, pictures aur Video ke alawa Mobile television aur Video Conferencing ya Video Call kiya ja sakta hain. Is takneek ne duniya mein kranti la di  aur Mobile phone ki agli generation yani ki smartphone ko badhawa diya. 3G Takneek mein data ki speed 40 Lakh Bits per second tak hoti hain. 3G Takneek ka jor mukhya roop se Data transfer par hain. 2G takneek ke mukable 3G ki ek ahem khasiyat yeh hain ki yeh data ke aadan-pradaan ke liye adhik surakshit hain. 3G Takneek mein maximum download speed 21 MBPS aur Upload Speed 5.7 MBPS hoti hain. Is technique ne Mobile phones ke liye App banane ka rasta khol diya.

4G :- 4G Takneek ki shuruvat saal 2010 ke aakhir mein hui. Ise Mobile Technique ki 4th generation kaha jata hain. Is takneek ke jariye 100 MBPS se lekar 1 GBPS tak ki speed se data ko download-upload kiya ja sakta hain. Yeh global roaming ko support karta hain. Yeh technique 3G takneek ke mukable kanhi sasti takneek hain. Saath hi isme security features bhi jyada hain. Halaki ki is takneek ki kuch khamiya bhi hain. Jaise 3G ke mukable kanhi jyada battery khapat karta hain. 4G takneek se less mobile mein hard hardware system ki jaroorat hoti hain, Isliye 3G phones ke mukable 4G phone mahnge hote hain. 4G Takneek ki basic Infrastructure ko taiyaar karne mein mehnge gadgets lagane padte hain. Halaki ki jaise-jaise takneek aam hoti chali jayegi, Phone aur Network Equipment dono ki keemato mein kami aayegi. Philhaal 4G Takneek Duniya ke kafi kam desho mein available hain, Jinme jyadatar development Countries shamil hain, Lekin khushi ki baat yeh hain ki yeh takneek Bharat mein bhi mauzood hain. 3G takneek ki sabse badi khami jaha iske data ka minimum speed 2.5G ke barabar hona hain. Vahi 4G takneek ki sabse badi khoobi yeh hain ki isme kharab se kharab network mein bhi kam se kam 54 MBPS ki speed mil sakti hain.

5G ;- 5G takneek ki shuruvaat saal 2010 mein hui. Ise Mobile network ki 5th generation kaha jata hain. Yeh " Wireless World Wide Web" Mobile internet ko dhyaan mein rakh kar banaya gya hain. Is technique mein bade paimaane par data ka aadan-pradaan kiya ja sakta hain. Isme HD quality ka video ke saath Multimedia newspaper broadcast ki ja sakti hain. Saath hi is takneek se video calling ke  sectors mein revolution aa jayegi. Is takneek mein ultra High Definition Quality ki Voice ka broadcast kiya ja sakta hain. Is takneek mein 1GBPS se adhik data ki aawajahi ho sakti hain, halaki abhi tak iski maximum speed define nahi ki gayi hain, Kyonki yeh abhi concept ke daur mein hain aur is par kaam chal raha hain. Is technique ki sabse badi khoobi real time ke bade se bada data transfer karna hoga. Saath hi yeh takneek Augmented Reality ke sector mein naya rasta kholegi, Yani ki is technique se aap phone call par bilkul aamne-saamne baat kar paane mein saksham honge. Alag-Alag science fiction aur kahaniyo mein jaise koi aadmi aapke saamne aabhasi roop mein hazir ho jata hain aur aap usse aamne-saamne baat karne ke layak ho jate hain. Kahne ka matlab yeh hain ki aapke samne ek hoo-b-hoo oos vyakti ka full size video aa jayega maano veh aapke saamne hi khada hain. Is takneek se aisa karna possible ho sakega. Anumaan ke mutabik 5G takneek saal 2020 tak dharalle se istemal ki jane lagegi. Philhaal Britain ki Capital London mein 2020 tak is takneek ko lagane ki taiyaari chal rahi hain.