Header Ads

Seb khane ke fayde (Benefits of Apple)

Seb khane ke faydeSeb (Apple) khane ke fayde kya aap jante hain? Seb (Apple) khane se kya fayde (Benefits) hote hain? Agar aap yeh janana chahte hain to yeh post jaroor padhe. Is post mein hum aapko batayenge ki Apple khane se health ko kya-kya fayde hote hain.

"An Apple a day, Keeps the Doctor away" English ka ek bahut hi famous dialogue hain jiske according Daily ek Seb khane se doctor ko door rakha ja sakta hain. Seb swaad mein tasty hone ke saath-saath kai tarah ke poshak tatvo se bhara hua hain. Yeh na kewal bimariyo se ladne mein madad karta hain, Balki aapke sharir ko healthy bhi rakhta hain. Scientific Researches se yeh pata chala hain ki Seb khane se Dil ke rog, Cancer, Diabetes ke saath-saath Dimaagi bimariya jaise Parkinson aur Alzheimer aadi mein bhi bhi aaram milta hain. 

Seb reshe wala phal hain isliye isme Fiber bharpoor matra mein paya jata hain. Seb ko khane se hajma sahi rahta hain. Isme kai acche Anti-Oxidant mauzood hote hain. Apple body mein glucose ke level ko normal karta hain, Jisse Diabetes ke patient ko labh hota hain. Aaiye aur jante hain Seb (Apple) khane ke faydo ke baare mein aur dekhte hain ki kaise yeh karishmaai phal hame healthy rakhta hain. 

Seb ko seedhe hi khaya ja sakta hain ya Fruit Salad ka hissa bhi banaya ja sakta hain. Ise niyamit taur par apnane par anek fayde hain. Ise apni diet ka hissa banane ke liye aap ek tarika apna sakte hain aur veh tarika hain ise Juice ke roop mein istemal karke. Seb ko swasthvardhak phal samjha jata hain. Iske Juice ka upyog bhi duniya bhar mein kafi hota hain. Yeh logo dwara bahut hi pasand kiya jata hain. Yeh bazaar mein ready-made available hain, Lekin ghar par bane Juice ke taur par iska istemal sabse jyada faydemand hain. 

  
Seb (Apple) khane ke fayde :- 

1. Kai health problem ki wajah Motape ko mana jata hain. Jaise heart disease, High Blood pressure, Diabetes jaisi bimariya jyada wajan ke karan hoti hain. Seb mein Fiber high quality ka paya jata hain, Jo wajan kam karne mein madad karta hain.  

2. Seb mein bharpoor matra mein Vitamin A paya jata hain, Jisse aankho ki roshini badhti hain, saath hi aankho mein hone wali anya problems se bhi chhutkara milta hain. 

3. Seb mein baal aur skin ko fayda pahuchane wale gun hote hain. Yeh sharir ko badhti umar ke asar ko chupane mein mahir hain. Apple Juice ko head ki skin par lagane se dandruff se nijat milti hain.

4. Seb mein mauzood Quercetin Vyakti ke cells ko nuksaan pahuchane se bachata hain. Isse cancer ka khatra kam ho jata hain. Aapko jankar hairaani hogi ki seb ek aisa anokha phal hain jisme Tumor aur Cancer jaisi khatarnaak bimari se ladne ki power hoti hain. Seb Fefdo ke hone wale cancer se ladne mein kargar hain. Isme paye jane wale Flavonoids aur Folinic Acid sharir ko tumor se bachaye rakhte hain.

5. Yeh Anemia jaisi bimari ko ilaj bhi karta hain, Kyonki Seb mein Iron kafi acchi matra mein paya jata hain. Agar aap din mein 2 se 3 Apple khate hain to yeh pure din ki iron ki kami ko pura karta hain.

6. Seb mein ghulansheel Fiber paya jata hain jo cholesterol ko kam karta hain. Isme Cholesterol level ko kam karne ka anokhe gun hote hain. Modern lifestyle mein badhe huye cholesterol ki samsya badi hi tezi ke saath phail chuki hain jo ki Dil ki bimariyo ki ahem wajah hoti hain. Is tarah aap Apple Juice peekar aap Dil ko healthy rakhne ka ek asaan upay kar sakte hain.

7. Seb mein Fiber hota hain, Jisse aapke daant healthy rahte hain. Isme Anti-Viral Properties payi jati hain jo bacteria aur virus ko door rakhta hain aur aapke mooh ke thook ki matra  ko bhi badhata hain.

8. Apple mein Vitamin C balanced matra mein hota hain, Saath hi isme Iron aur Boron bhi paya jata hain. In sabhi ke combination se haddiyo mein takat aati hain. Seb mein Flavonoid paya jata hain jo Aurato ko Osteoporosis se bachata hain, Kyonki yeh haddiyo ke thickness ko badhata hain.

9. Seb Gurde ki pathari (Kidney Stone) ko banane se rokta hain. Kyonki isme Cider Vinegar acchi matra mein hota hain.

 10. Isme mauzood Vitamin C se Immune system bhi strong banta hain. Apple ko rojana khane se body mein germs aur bacteria se ladne ki shakti badh jati hain. Red Apple mein  Quercetin naam ka Anti-oxidant paya jata hain, haal hi mein huye researches se yeh pata chala hain ki Quercetin aapke immune system ko majboot karta hain.

11. Seb mein paya jane wala Pectin, sharir mein Galacturonic acid ki kami ko pura karta hain aur insuline ke upyog ko kam karta hain. Jisse Diabetes ke patients ko bahut hi aaram milta hain.

 12. Hum apni rojmarra ki zindagi mein thoda-bahut zehareela khana khate hain. Jise hamara Liver is zehar ko saaf karta hain aur Liver ko majboot rakhne ke liye rojana ek Seb jaroor khaye, Kyonki isme Anti-oxidant paye jate hain. Apple mein mauzood alkalinity Liver ko sharir ki safaai karne mein madad karta hain. Seb mein sharir ke PH level ko control karne ka gun hota hain. Iski bahari parat mein mauzood Pectine se pachan tantra durust hota hain.

13. Apple Energy ka ek bahut hi accha source hain, Chunki yeh fefdo ke liye oxygen ki supply karne mein madad karta hain. Isliye aapko workout karne se pahle kuch Seb khane ki salah di jati hain. Yeh aapki capcity ko badhata hain aur aapki energy level mein bhi ijafa karta hain.


14. Bowel Syndrome Kabz, Diarrhea aur pet dard jaisa hota hain, Jisse bachne ke liye doctors Dairy products aur Fat vale food se door rahne ki salah dete hain aur Fiber wali diet ko apnane ki advise dete hain. Apple ke sewan karne se aap Bowel Syndrome se bache rah sakte hain.

15. Apple Juice Dama ke mareezo ke bahut hi jyada fayda pahuchata hain. Isme Dame ke attack ko rokne ki capacity hoti hain. Isme paya jane wala Flavonoids Fefdo (Lungs) ko takatwar banata hain. Researches se yeh proof ho chuka hain ki jo log Apple ka juice niyamit roop se peete hain unhe Fefde se related bimariya hone ka khatra kafi kam hota hain.

16. Seb brain ki bimariya jaise ki Alzheimer ki roktham karne mein bhi kargar hain, Kyonki yeh Free Radicals damage se brain cells ki raksha karta hain jo ki Alzheimer hone ki ahem wajah banti hain.

17. Apple mein Anti-Oxidants bharpoor matra mein hote hain. Isme paye jane wale Polyphenols aur Flavonoids  heart ke health ke liye bahut hi faydemand hain. Iske alawa yeh aapke sharir ke liye jaroori Minerals aur Potassium tatvo ka behtarin source hain. Din mein ek baar Apple juice peene se dil ko sahi tarah se kaam karne mein asaani ho jati hain.

18. Seb mein bahut hi acchi matra mein Fiber paya jata hain jo ki pachan mein madad karta hain. Aur agar Seb ko uske Chhilko ke saath khaya jaye to Kabz bhi theek ho jata hain. Pachan tantra ko sudharne ke liye Seb jaroor khaye. Pachan mein gadbadi paida hoti hain to Badi Aant jaroorat se jyada paani sokh leti hain. Apple mein sorbitol hota hain, jisse is problem ko door kiya ja sakta hain. Yeh tatv Badi Aant se paani lekar aapke toilet (Potty) ko asaan banata hain. Seb fiber ka godown mana jata hain. Yeh  kabz ya dast jo chhote baccho ko ho jata hain, usse unhe bachata hain.


Apple mein jaroori poshak tatvo ki bharmaar hain aur yehi wajah hain ki jyadatar health experts ek seb har din khane ki salah dete hain. Bahut se log ise juice ke taur par peena pasand karte hain.

Kisi bhi roop mein Seb ke istemal karte samay aapko dhyaan dena hain ki jo Apple (Seb) aap khane ja rahe hain vo Taza (Fresh) ho. Iske beej ko fenk dena chahiye, kyonki yeh health ke liye nuksaandeh hote hain. Iske istemal se body ko vitamins aur minerals ki supply hoti hain. Bas shuru kar dijiye yeh easty steps aur khahiye rojana ek seb aur rakhiye doctor ko door.