Header Ads

Ande kyu khane chahiye? Why Eats Eggs in Diet.

Anda sehat ke liye kaise faydemand hota hain. Anda khane se aapko kya-kya labh milte hain, agar aap iske baare mein janana chahte hain, toh is post ko jaroor padhe. Eggs khane isliye jaroori hain kyonki Ek ande mein 6 Gram High Quality wala protein aur sharir ke liye jaroori 9 Amino Acid paye jate hain. Sulfur samet dusre Minerals aur Vitamin hone ke chalte Anda baalo aur nakhoono ke liye accha hota hain.

Aankho ke liye bhi Anda faydemand hota hain. Rojana ek Ande ko apni diet mein shamil karne se Carotenoids ki supply hoti hain, Jisse aankho ke cells ko damage hone se bachaya ja sakta hain. Iske alawa roj ek Anda khane se Motiyabind ka khatra bhi kam hota hain.

Breast cancer ki roktham ke liye bhi Anda behad madadgar hota hain. Ek research ke anusaar hafte mein 6 Ande khane wali mahilaon mein Breast Cancer ka khatra 44% tak kam ho jata hain. Aap mein kam log hi is baat ko jante honge ki Anda khane se sharir ke liye jaroori Fat ki supply kar uski quantity ko control karta hain. Daily ek Ande ka sewan aapke sharir mein Fat ki ek din ki jaroori matra ki purti karta hain.

Ande mein bharpoor matra mein Vitamin D paya jata hain, Jo haddiyo ko majboot banane mein bahut hi jaroori hain. Yeh sharir mein Suraj ki kirano ko sokhne mein madad karta hain, Jisse haddiya majboot banti hain. Anda Protein ka ek accha source hain, Isme Albumin Protein bharpoor matra mein paya jata hain. Yeh sharir mein protein ki kami ko pura karke jaroori poshan deta hain.

Anda poshak tatvo se bharpoor hota hain, Isme Vitamin A, D, B12 aur Riboflavin, Phosphorus aur Folate paya jata hain. Yeh sabhi sharir ki activities ko sucharoo roop se banaye rakhne mein madad karte hain aur dimaag ko majboot kar aankhon ki roshini ko badhate hain.

Anda aapke wajan ko control karne mein madad karta hain. Anda khane ke baad aapki bhookh shant ho jati hain aur aap overeating se bache rahte hain. Ise khane ke baad der tak aapka pet bhara rahta hain aur bhookh nahi lagti hain. Aise mein yeh aapke wajan ko control karne mein aapki madad karta hain.

Anda aapke susti ko door karke aapko energetic bana deta hain. Yeh ek behatrin energy boostar hain. Daily subah ke breakfast mein Ande ko shamil kare aap pura din energetic mahsoos kar sakte hain. Ande ke yellow part mein mauzood Healthy Fats hote hain, Jo body ko energy dene mein help karte hain.

Ek research ke anusaar Anda, Raktvahiniyo mein khoon ka thakka jamne, Heart attack aur stroke ke khatre ko kam karne mein madadgar hain. Iske alawa yeh Kaolin ka accha source hain jo Brain nerves aur heart arteries ki activity ko suchaaroo roop se chalane mein madad karta hain.

Isliye toh T.v. mein bhi Ads aati hain ki Sunday ho ya Monday Roj Khao Ande.