Header Ads

Ashok ke ped ke gharelu nuskhe aur fayde (Benefits of Ashoka Tree in Hindi)

Ashok ke ped ke gharelu nuskhe aur fayde.
Ped-paudhe na sirf environment ko khubsurat banate hain, balki hamare life mein kafi important role ada karte hain. Inse kai jeevan rakshak dawaayein banti hain, jo hamare sharir ko swasth rakhti hain. Inhi mein ek hain Ashok ka ped jo ghar ke aas-paas beauty ko to badhawa deta hain saath hi iske aushadhiya gun ise aur bhi upyogi banate hain. 

Ashok ka ped medicine ke guno se bharpoor hota hain. Ise istemal kar hum kai bimariyo se rahat pa sakte hain. Ashok ka ras kasaila, kadwa aur taseer thandi hoti hain. Aaiye jante hain Ashok ke ped ke faydo ke baare mein :- 

Diabetes :- Diabetes mein Ashok ke sukhe phoolo ke ek chammach churan ka sewan karne se labh milta hain. 

Fode-funsi ;- Ashok ki chhal ke kaadhe mein barabar matra mein Sarso ka tel mila kar fode-funsiyo par lagane se fayda hota hain. 

Sujan aur Jalan :- Sujan aur Jalan mein Ashok ki chhal ka kadha banakar lagane aur peene se labh hota hain. 

Pathari mein rahat :- Iski ek chammach beejo ke churan paani ke saath lene se isse pathari mein bhi aaram milta hain. 

Rakt Pradar :- Rakt Pradar mein iski chhal ka ek chammach churan, Ek cup paani  aur thodi si Shakkar ko ek cup doodh mein milakar garam karke peene se labh milta hain. 

Nikhaare rang ;- Ashok ka ras Rang nikharne wala hota hain. 

Moohase door kare ;- Ashok ki chhal, Nimbu ka ras aur doodh ke mishran ka lep lagane se muhase jaldi theek ho jate hain. 

Leukorrhea :- Ashok ki chhal ke churan mein barabar matra mein Mishri mila kar Gaay ke doodh ke saath ek-ek chammach din mein teen baar kuch hafto tak lene se White discharge mein labh hota hain. Iske alawa Amla, Giloy ke churan ko Ashok ki chhal ke churan ke saath barabar matra mein ubaalkar usme  paani milaye aur Shahad ke saath subah-shaam sewan kare. 

Bukhaar aur Pet dard mein :- Yeh rakt vikar, Pet ke rog, Bukhaar aur jodo ke dard ko door karta hain. Pet ke rog mein Ashok ki pattiyo ke kaadhe mein Jeera mila kar peene se fayda hota hain. 

Peshan na aane ki problem ko door karta hain : -Ashok ke beej paani mein pees kar 2 chammach niyamit roop se lene se Peshab na aane ki problem door hoti hain. 

Dimaag tez kare ;- Ashok ki chhal aur Brahmi ka churan barabar matra mein mila kar 1-1 chammach subah-shaam ek cup doodh ke saath kuch mahino tak lene se dimaag tez hota hain.