Cough se nijaat paane ke tarike.
Turant rahat paane ke liye Allopathic upchar sahi hota hain, Lekin cough ek aisi problem hain jo kafi dino tak chalti hain. Isse nijaat paane ke kuch tarike is tarah hain :-
Shahad :- Shahad ka ek chammach sewan karne se cough ki problem se rahat milti hain.
Hot drink :- Cough ki samsya hone par Hot drink se rahat mil sakti hain Jaise - Garam soup, Garm coffee ya chai.
Perfume ya smoke aadi se doori :- Aap kanhi bhi aisi jagah na baithe, jaha hawa mein ghutan mahsoos ho, Jaise bahut jyada spray kiya gya ho ya phir koi smoking kar raha ho.
Nimbu, Dalchini aur Shahad :- Shahad, Dalchini aur Nimbu ko halka boil kar le aur iss syrup ko pee le. Isse cough asaani se nikal jayega.
Spice Tea :- Chai ko Tulsi, Kali Mirch aur kai tez aur garam masale daal kar pakaye aur garma-garam pee jaye, Isse rahat milegi.
Medicine wali Toffee :- Yeh ek accha gharelu nuskha hain, Jisse aapko koi side-effect bhi nahi hoga. Ise choosne se jakadan door hogi aur gale ko rahat milegi. Matlab yeh vahi toffee hain jo market mein badi asaani se mil jati hain, Jaise Vicks, Honeytus, Stepsills, Swaalin aadi.
Saline Garara :- Garam Saline paani se garara karne se bhi cough mein rahat milti hain.
Brandi :- Brandi se sharir ka temperature sahi aa jata hain jo sharir ko thand se fight karne mein rahat deta hain. Ek chammach Brandi lene se fayda hota hain.
Amla :- Sardi ko door bhagane ke liye sabse accha tarika hain Amla. Ise aap dhoop mein baithkar khaye.
Dry Air se bache :- Sardiyo ke dino mein sukhi hawa chalti hain jo cough ki samsya hone par aur bhi dukhdayi hoti hain. Isliye aap aisi jagah par baithe jaha aapko thodi nami mile aur sookhi hawa se bachaav ho.
Hydrate kare :- Agar aapke sharir mein paani ki kami rahti hain toh cough sharir se nikalne mein problem paida karega. Cough ki samsya hone par garam paani piye.
Garam paani se nahaye :- Agar gale mein cough bahut jyada hain aur aapko jakadan bhi mahsoos hoti hain toh Garam paani shower le le.
Nozzle spray :- Agar aapko bahut jyada samsya ho rahi hain to nozzle spray ka istemal kare. Isse aapko turant rahat milegi.
Masala chaay :- Cough ki samsya hone par masala chaay ka sewan karne se aaram milta hain.
Saline Garlic :- Yeh cough ko door karne ki prachin vidhi hain. Namak ke paani mein lahsun ki kaliyo ko chhil kar daale aur ise piye.
Post a Comment