Header Ads

Haath se bhojan kyun karna chahiye?

In India Eating with hands.Aaj kal ke zamane mein chammach aur kante se khana ek status symbol ban gya hain, Jabki haath se bhojan karna Indian culture ka ek important hissa hain. Yehi wajah hain ki India mein aaj bhi jyadatar log haath se khana khana pasand karte hain. Lekin western culture ke effect mein aa kar kai logo ne chhoori, Kante ya Chammach se khana shuru kar diya hain. Kyonki veh yeh nahi jante ki apne haatho se khana khane ke kai healthy fayde hain, Agar aap bhi in swasthya sambandhit faydo se anjan hain toh hum aapko batate hain, Haath se khana khane se hone wale faydo ke baare mein :-

Pachan kriya mein sudhaar hota hain :- Touch hamare sharir ka sabse majboot aksar istemal hone wala experience hain. Jab hum haatho se khana khate hain toh hamara dimaag hamare pet ko yeh sanket deta hain ki hum khana khane wale hain. Isse hamara pet is bhojan ko pachane ke liye bhi taiyaar ho jata hain aur pachan tantra se khana pachaane wale enzymes bahne shuru ho jate hain. Jisse pachan kriya sudharti hain.

Concentration badhata hain :- Haath se khana khane mein aapko khane par dhyaan dena padta hain. Isme aapko khane ko dekhna padta hain aur jo aapke mooh mein ja raha hain, Oos par bhi concentrate karna padta hain. Ise mindful eating bhi kahte hain. Isliye yeh machine ki tarah chammach aur kaante se khana khane  se jyada healthy hain. Mindful eating ke kai fayde hain, Inme se sabse important fayda yeh hain isse khane ke poshak tatv badh jate hain. Jisse pachan kriya sudharti hain aur aapko yeh healthy rakhta hain.

Temperature ka khyaal rahta hain :- Aapke haath acche temperature sensor ka bhi kaam karte hain. Jab aap bhojan ko chhoote hain toh aapko andaaza lag jata ki kitna garam hain aur aap ise apne sharir ki jaroorat ke anusaar temperature par hi khate hain aur yehi sharir ke liye behad faydemand bhi hota hain.

Haatho mein hain praan oorja :- Ayurveda ke anusaar hamare haatho mein praandhaar energy hoti hain. Iska karan yeh hain ki hum sab paanch tatvo se bane hain, Jinhe jeevan oorja bhi kahte hain. Yeh 5 tatv hamare haatho mein mauzood hain. Hamare haatho ka angootha agni ka prateek hain. Tarjani ungali hawa ka prateek hain. Madhyama ungali aakaash ka prateek hain. Anamika ungali prithvi ka prateek hain aur sabse chhoti ungali Jal ka prateek hain. Inme se kisi bhi ek tatv ka asantulan bimari ki wajah ban sakta hain.

Jab hum haath se khana khate hain toh hum ungliyo aur angoothe ko mila kar khana khate hain aur isse jo hast mudra banti hain. Usme hi sharir ko nirog rakhne ki capacity hoti hain. Isliye jab hum khana khate hain toh in saare tatvo ko ek-joot kar lete hain, Jisse bhojan jyada energetic ban jata hain aur yeh healthy bankar hamare praandhar ki energy ko balance karta hain.

Saavdhaani :- Haath se khana khana sachmuch mein health ke liye faydemand hota hain. Lekin aapko hamesha haatho ko khana khane se pahle,  kisi saabun ya handwash se acchi tarah se dho kar saaf kar lena chahiye. Agar aap gande haatho se khana khate hain, toh yeh aapke health ko nuksaan pahucha sakta hain aur aapko bimaar kar sakta hain.