Paneer khane ke fayde (Benefits of Paneer In Hindi).
Shakahari khane mein agar kuch special banana ho toh hamare yaha sabse pahle naam aata hain paneer ka. Paneer na sirf tasty hota hain, balki yeh sehat ke liye bahut hi faydemand bhi mana jata hain. Paneer khane ke kya-kya fayde aur benefits hote hain aur jyada paneer khane se kya nuksaan hote hain aaiye jante hain.
• Skin ke liye accha :- Chehre par chamak laani ho toh paneer ka sewan kare. Paneer mein Vitamin B hota hain. Vitamin B ke sewan se healthy aur glowing skin milti hain. Paneer ko niyamit roop se apni diet mein shamil kare, aap kuch hi dino mein fark mahsoos karenge.
• Healthy teeth :- Jab majboot daanto ki baat aati hain, toh calcium sabse jaroori hain. Paneer mein Calcium high quality mein milta hain. Paneer mein Lactose bahut hi kam matra mein paya jata hain. Lactose ek aisa padarth hota hain jo khane se nikalta hain aur daanto ko kharab karta hain. Paneer salvia ke pravaah ko badhata hain aur daanto se acid aur sugar ko saaf karta hain.
• Gathiya se rahat :- Gathiya rog hone ki sabse badi wajah body mein calcium ki kami ka hona hain. Paneer is rog se peedit mareezo ke liye best upay hain. Is bimari ka ilaj protein, calcium, vitamin aur high quality minerals ka sewan karna hain, jo ki yeh sabhi cheeze paneer mein mauzood hoti hain.
• Haddiyo ko banaye majboot :- Paneer kai poshak tatvo se bharpoor hota hain. Strong bones ke liye Calcium ki jaroorat hoti hain aur paneer mein Protein aur Calcium dono hi high quality mein mauzood hote hain. Paneer mein vitamin A, Phosphorus aur Zinc bhi paya jata hain. Vitamin B bhi paneer mein paya jata hain. Khastaur par baccho, pregnant women aur buzurgo ki haddiyo ko majboot karne mein paneer madad karta hain.
• Tension ko kam kare :- Raat ko neend nahi aati ya phir aap tanaav grast hain toh sone se pahle aap paneer ka sewan kare, neend acchi aayegi. Yeh isliye hota hain kyonki paneer mein Tryptophan Amino Acid paya jata hain, jo tension kam karne aur neend ko badhane mein madadgar hain.
• Body ki immunity badhaye :- Paneer ka sewan karne se sharir ki rog-pratirodhak shamta badhti hain. Rog-pratirodhak kshamta badhti hain toh bimariyo se ladne ki sharir ki power bhi badhti hain.
Paneer khana sehat ke liye faydemand toh hain. Lekin jyada paneer khana aapke liye nuksaandeh bhi saabit ho sakta hain. Paneer mein high quality ka Fat mauzood hota hain, jo cholesterol ko badhata hain. Cholesterol ka badhna aapke dil ke liye khatra bhi paida kar sakta hain. Saath hi agar aap wajan kam karne ki soch rahi hain toh aapko paneer nahi khana chahiye.
Raw-Milk cheese par Ban :-
Kuch desho mein Raw-Milk yani ki kacche doodh se banane wale cheese par rok lagi huyi hain. Vahi kuch desho mein health standards ke anusaar raw-milk ka istemal cheese mein nahi karne ki salah di jati hain.
Darasal doctors ka yeh manana hain ki kacche doodh mein bacteria hone ki ashanka jyada hoti hain. Jabki pasteurised doodh mein bacteria nahi hote hain. Lihaaza jyadatar desho mein pasteurized doodh se bane paneer ka istemal kiya jata hain. Halaki India mein paneer gaay, bhains ke doodh se hi banta hain jo pasteurized karke ya phir ubaalkar hi banaya jata hain.
Cheese peela kyon hota hain ?
Paneer kai baar gahra ya halke peele rang ka hota hain. Aisa isme mauzood Annatto ki wajah se hota hain. Bharat mein jaha gaay ya bhains ke doodh se paneer banaya jata hain, vaha isme peelapan jyada nahi hota hain.
Vaise bhi janwaro ke doodh se bane paneer mein peelepan ki wajah isme paya jane wala carotenoid padarth hain jo Fat ke contact mein aane se peelapan deta hain. Ab jaha kai janwaro ke doodh mein Vasa yani ki Fat ki matra 4% ya isse kam hoti hain jaise ki Bakri ya Bhed ke doodh ke saath Carotenoid apna asar nahi chhod pata hain. Aise mein inke doodh se bane paneer mein peelapan nahi hota hain.
Paneer ko kaccha, Salad ya Sabzi bana kar kisi bhi roop mein khaya ja sakta hain. Lekin iski sabzi banate samay ise pakana nahi chahiye varna iske poshak tatvo mein kami ho jati hain.
Post a Comment