Header Ads

Baasi Khana ke hote hain yeh nuksaan.

Baasi khana khane ke nuksaan.
Aaj kal busy lifestyle aur bhaag-daur wali zindagi ke chalte log baasi khana zyada khane lage hain. Aisa kaam-kaaji logo ke saath aksar dekha jata hain. Agar aap raat ka bacha khana subah khate hain toh aapko yeh jaan lena chahiye ki baasi khana hamare sehat ko nuksaan pahucha sakta hain. Raat ka bacha khucha khana subah khane se isme bacteria paida ho jate hain, jo kai bimariyo ki wajah ban sakte hain. Agar aap yeh sochte hain ki Baasi khane mein nutrients pahle ki tarah hoga aur yeh poshak tatvo se pahle ki tarah bharpoor  hoga, toh yeh aapki galatfahmi hain. Baasi khane se inme poshak tatvo ki kami ho jati hain. 

Iske saath hi agar aap meat-machhli ke shaukin hain toh usay fridge ke ander hamesha cover karke  rakhe. Taazaa (fresh) khana kitna  bhi simple ya be-swaad kyon na ho, lekin veh baasi (Stale food) khane se lakh guna accha hota hain. Toh aaiye jante hain ki Baasi khana khane se hame kya-kya nuksaan ho sakte hain. (Side-effects of eating  stale food in Hindi/Urdu). 

○ Pet mein dard :- Baasi khana khane se pet mein dard, gas aur acidity ho sakta hain. Agar aap bahut jyada fridge mein rakha hua khana khate hain toh aapko pet dard ki shikayat ho sakti hain. 

○ Dast lagna :- Yeh problem kisi na kisi tarah se food poisoning se judi huyi hain. Isse sharir mein paani ki kami ho jati hain, isliye aapko taazaa bhojan karna chahiye. 

○ Halka bukhaar aana :- Bacterial infection ki wajah se halka bukhaar aur body unhealthy ho sakti hain. Agar aapko yeh lakshan dikhe toh turant doctor se consult kare. 

○ Ultiya hona :- Chahe  Baasi khana dekhne mein kitna bhi accha dikhayi kyon na de, Lekin usme bacteria mauzood rahte hain. Agar khana ek ya 2 din purana  ho toh aapko ultiya ho sakti hain. Yeh bacteria dwara paida kiye gye  toxins aur chemical ki wajah se hota hain. 

○ Food Poisoning :-  Kai saari researches mein yeh baat saamne aayi hain ki baasi khane mein 40 F se 140 F ke beech mein bacteria panpane lagte hain. Agar aap aisa khana khate hain jo 2 ghanto se bankar taiyaar hain aur fridge mein nahi rakha gya hain, toh usme bacteria hone ke chances badh jate hain, jisse  food  poisoning bhi ho sakti hain. 

○ Pet ki problems paida kare ;- Baasi khane mein bacteria hone ki wajah se pet ki problems ho sakti hain. Iske alawa pet mein pahuchne wale bacteria khane ko sadhaana shuru kar dete hain, Jisse haajme mein dikkat aati hain. Kabhi bhi baasi khana na khaye.